AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

VIRASAT

SAWAL

BADA BETA BAAP KE SATH TIJARAT ME SATH DETA HAI AUR BAP KOI MAKAN KHAREEDE AUR US KA DASTAWEZ BADE BETE KE NAAM PAR BANAYE AUR BAAP KA INTIQAL HO JAYE TO WOH MAKAN KIS KA SHUMAR HOGA US MAKAN ME SE DUSRE BHAI BAHNON KO HISSA MILEGA?

Jawab

Bap ne makan khareeda tha isliye asal khareednewala to baap hai bete ke naam par kisi maslihat se sirf dastawez bana dene se beta malik nahi hoga jab tak us ko hiba-bakhshish kar ke us ko malik na banaye.
Lihaza bap ke intiqal ke bad dusre bhai bahnon ko bhi us me se hissa milega

Mahmoodul fatawa 16/39

SAWAL

VIRASAT KA MAL KIYA KIYA HAI?

MAIYYAT KE TARAKAH-WARSAH ME KIYA KIYA CHEEZ DAKHIL HAI ?

Jawab

Marnewale ke intiqal ke waqt apni milkiyat me jo kuchh transfer honewali aur transfer na honewali malo jaidad  naqd rupyah, zewarat, kapde aur kisi bhi tarah ka chhota bada saman chhodta hai chahe soi dhaga hee ho shareeat ke aetibar se woh sab us ka tarakah hai. Intiqal ke waqt us ke badan par jo kapde hon woh bhi us me dakhil hain yahan tak ke maiyat jeb me ek ilaychi bhi padi ho to kisi shakhs ko ye jaiz nahi ke sab haqdaron ki ijazat ke bagair us ko munh me dal le, kiyun ke woh ek admi ka hissa nahi aur maiyyat ke jo qarze kisi ke zimme reh gaye hon aur maiyyat ki wafat ke baad wasool hon woh bhi tarakah me dakhil hain
AHKAME MAIYYIT SAFA 145

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free