SUNNAT
SAWAL
MUKHTALIF HAALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM
NIKAH KARNA KAB FARZ,WAJIB, SUNNAT,HARAAM AUR MAKROOH HOTA HAI?
Jawab
Farz :-
Kisi shakhs per shahwat ka is qadar galba ho k agar nikaah na kare to zarur zinaakari me mubtala ho ja’ega,
Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur mahar per haqeeqatan ya hukman qudrat bhi haasil he,
Shar’an us per farz he k shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat kare
Wajib: –
Agar kisi per shahwat ka galba he k shaadi na kare to zina me mubtila hone ka khauf he, lekin yaqeen nahi,
Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,
Aise shakhs per shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib he
Sunnat :–
Agar koi shakhs nikaah ke qabil ho gaya, naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur hambistari per bhi qudrat he, nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aise shakhs ke liye nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he,
Kyuki yeh rasulullah sallallahu alayhi wasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,
Aur shaadi se earaaz karne walo per aap sallallahu alayhi wasallam ne radd farmaya he,
Lihaza aisa shakhs itteba e sunnat ki niyyat se apni ismat ki hifazat aur saaleh aulaad ke husool ki niyyat se shaadi kare to ajro sawab hoga
haraam :--
Agar kisi shakhs me bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,
maslan na mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hikman qaadir nahi, neez mijaz ki sakhti vagairah,
Kisi vajah se usko yaqeen he ke bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
To aise shakhs ke liye nikah karna haraam hai,
Makrooh tehrimi :--
Jis shakhs ko bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he ke zulm ho ja’ega,
To aise shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho nikaah karna makrooh e tehrimi hai
Izduwaji zindagi ke sharee masaildurre mukhtar 7/3
SAWAL
MUNCHH ME ASAL SUNNAT KYA HAI?
JAWAB
MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE,
(Fatawa mahmoodiyyah ba hawala shami 2/550 kitabul jinayat)
Bahrur raaiq 3/19)
HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI
(Muslim Shareef 1/129 Babu Khasaile Fitrat)
HONTHO KE BAAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE
(YE BHI SAHEEH HAI)AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI, BAZON NE BIDAT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AEHTIYAT HAI.
(Mirqat Bahishti Zewar 224)
SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE
( Fatawa Alamgiri)
SAWAL
DADHI KITNI KAATNA DURUST HAI..?
JAWAB
DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.
KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI, USE KATNA HARAM HAI.
HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI, WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.
(Al Minhal 1/187)
BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.
GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.
( Faizul Bari 4/380)
(Darhi Aur Anbiyaa Ki Sunnaten Safa 70,74)
GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.
(Ahsanul Fatawa 8/76)
DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.
ALLAH SABHI MUSLMANO KO IS SE BACHNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYEN AMEEN.
WUZU ME HAATHON KI UNGLIYON KA KHILAAL KARNA KAB SUNNAT HAI..?
1: SHURU ME HAATH DHOTE WAQT..?
2: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE SE PEHLE..?
3: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE KE BAAD YAANE SAR KA MASAH KARNE SE PEHLE..?
4: SAR KA MASAH KARNE KE BAAD..?
SAHIH JAWAB=
3: WUZU KA DUSRA FARZ YAANE HAATH KOHNIYON SAMET DHONE KE BAAD YAANE SAR KA MASAH KARNE SE PEHLE HAATHON KI UNGLIYON KA KHILAAL KARNA SUNNAT HAI.
FATAWA MAHMOODIYAH 5/50 BAHAWALA SHAMI 1/17
QUESTION & ANSWER BY
HZ. MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SAHAB
(USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT)
AUR BHI SUNNATON KE MUTALLIQ SWAAL-JAWAB RAKHE JAYENGE INSHA ALLAH, ABHI WEBSITE KA KAAM CHALU HAI