AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

VILADAT aur AQEEQAH

 

SAWAL

BACHCHE KI VILADAT PAR KIYA -KIYA KARNA CHAHIYE?

Jawab

Bachche ki viladat par sab se pehle us ke dayen kan me azan aur bayen kan me iqamat kahi jaye.
Fir tahneek kari jaye jis ka matlab wa tareeqah sawal no. 533 me guzar chuka.
Fir satwen din us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba radeeyallahu anhum ya awliyaa e kiram rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye fir us ke sar ke bal mundwaye jaye aur us bal ke wazan ke barabar sona ya chandi ya us ki qeemat sadqah ki jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.
Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar ke din aqeeqah kare
ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.
Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail hai jo qurbani ke janwar aur gosht ke hai.

Hadyah e khawatin aur
bahishti zewar se makhooz.
 

AQEEQA KE SILSILE ME BAAZ HINDUWANA RASME KUFR V SHIRK TAK PAHUNCHA SAKTI HAI'N

SAWAL
HAMARE ILAAQE ME AURTE'N YE KEHTI HAI KE AGAR UNKE YAHAA'N LADKA PAIDA HUA TO WO USKE SAR KE BAAL MAKHSOOS JAGAHA PER UTARWAENGE AUR BAKRE KI QURBANI BHI WAHA'N JAAKAR KARENGE,
AUR LADKA PAIDA HONE KE BAAD KAI MAAH TAK USKE BAAL UTARWANE SE PEHLE APNE UPAR GOSHT KHANA HARAAM SAMAJHTI HAI, AUR FIR KISI DIN MARD AUR AURATEN DHOL BAAJE KE SAATH US JAGAHA JAAKAR LADKE KE BAAL UTARWATE HAI, AUR BAKRA ZIBAH KARKE WAHAN HI GOSHT PAKA KAR KHATE HAI,

QURAN HADEES KI ROSHNI ME ISKI VAZAHAT KARE ??

Jawab
ye ek hinduwana rasm he aur chuki isme fasaad aqeeda shamil he, isliye aitqadi bid'at he, jo baaz soorato me kufr v shirk tak pahuncha sakti he,

Chunache baaz logo'n ka aqeeda ye hota he k ye bachcha falaa'n buzurg ne diya he, isliye ye log us buzurg ke mazaar per niyaaz chadhane ki mannat maante hai, aur mannat poori karne ke liye us mazaar par jaa kar bachche ke baal utaarte hai, waha'n qurbani karte hai, aur doosri bahut si khurafaat karte hai, musalnano ko eisi khurafaat se bachna chahiye,

Aapke masail aur unka hal,,,
jild-4, safa no 241

Baaz log is tarah shirk to nahi karte lekin aqeeqa ke naam par wo tamaam kaam karte hai ke neki barbaad gunah laazim ke misdaak ban jate hai,

Maslan bachchon ko baaje gaaje ke saath juloos nikalna, naach gaana karna,  photography, videography karwana, pehrawni ki rasm karna, fir gift, tohfo'n ke naam per logo'n ka lifafa ( jisme rupia -paisa rakha hota he)dena,
allah hamari hifazat kare.

 

SAWAL

BIRTH DAY MANANE KA HUKM

BIRTHDAY MANANA KAISA HAI .?
US ME GIFT-TOHFA DENE KA KIYA HUKM HAI?

Jawab

Saalgirah manane ki rasm angrezo ki ijaad he aur gair sharai, najaa’iz he,

Saalgirah manana najaa’iz he isliye is fizool kaam me shirkat bhi fizool he,

Tohfa dena ek achchhi baat he lekin saalgirah ki bina per dena bid’at he,

Agar koi saalgirah me dawat de to samjhaish ke saath inkaar karna behtar he,

Inkaar karna ajeeb lagta he kyuki dilo dimag me angreziyat ras bas gayi he, islam aur islami tehzeeb nikal chuki he,

Isi tarah naye saal ki aamad ki khushi manayi jati he, ye bhi angrezo ki rasm he, musalman jahalat ki vajah se manate hai,

Aapke masail aur unka hal,,
jild-8, safa-127

AQEEQAH KE MASAIL

SAWAL

A. Ladke ke do bakre ki jaga ek bakra kaat sakte hai?

B. Pehle din bachche ka naam rakh sakte hai?

C. Gosht ko kiya karna behtar hai?

 

JAWAB

A. Haan, ladke ki janib Se ek bakrah ka bhi aqeeqah kar sakte hai

B. haan, pehle din bhi naam rakh sakte hai

C. gosht ko tin hisse

1.reshtedar

2.dost ahbab ka

3.fuqaraa wa

masakeen ko taqseem karna chahiye, in Sab ko paka kar rasmo riwaj ki pabandi ke bagair

shareeat ke mutabiq dawat ho sakti hai to paka kar dawat karna behtar warna kachcha gosht

hee taqseem kare.

HADYAH E KHAWATIN WA BAHISHTEE ZEWAR SE MAKHOOZ

 

TAHNEEK

SAWAL

Mere yahan bachcha paida huwa shareeat me bachcha paida ho to kya karna chahiye?

 

JAWAB

1.Bachcha paida ho use tahneek karaaee jaye yani ghutti dee jaye yani kisi nek salih ya

buzrug shakhsh se khajoor chabwaee jaye aur won khajoor bachche ke taalu  par chipka dee

jaye bachcheke  pet me sab se pehle us nek admi ka luaab-thukwali giza jayegi Jis ka asar

Us ki puri zindagi par padega Is Ki shareeat me badi aehmiyat hai aajkal is sunnat par

amal karnewale bahut hee kam log hai.

HADYAH E KHAWATIN

BAHISHTI ZEWAR

 

SAWAL

Bachche ki viladat par kiya -kiya karna chahiye?

 

JAWAB

Bachche ki viladat par Sab se pehle us ke dayen kan me azan aur bayen kan me iqamat kahi

jaye.

Fir tahneek kari jaye Jis ka matlab wa tareeqah sawal no. 533 me guzar chuka.

Fir satwen din Us ka nam anbiya alahimus salaam, sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ya awliyaa e

kiram Rahmatullahi alayhim ke namon me se koi nam rakha jaye Fir Us ke sar ke bal

mundwaye jaye aur us bal ke wazan Ke barabar sona ya chandi Ya Us ki qeemat sadqah ki

jaye aur dil chahe to us bachche ke sar par zafraan mala jaye.

Fir satwen din aqeeqah kiya jaye ya satwen ka khiyal karte huwe 14ve din ya 21ve din

aqeeqah kiya jaye masalan bachcha peer ke din paidah huwa hai to itwar Ke din aqeeqah

kare

Ladka ho to do bakre ya bade me do hisse aur ladki ho to ek bakra ya bade me ek hissa

rakhe aqeeqah ki barkat se bachche se aafat bala tal jati hai.

Aqeeqah ke janwar aur gosht ke wahee sharten aur masail Hai jo qurbani ke janwar aur

gosht ke hai.

HADYAH E KHAWATIN AUR

BAHISHTI ZEWAR SE MAKHOOZ.

 

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free