AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

ROZA-RAMZAN

SAWAL


Shash eid ke 6 roze kab rakhna shurooa karna chahiye? 

6 lagatar rakhna zarooree hai ya alag alag bhi chal sakte hai? 


JAWAB


Pure sawwal ke maheene me kabhi bhi rakh sakte hai. 

Alag alag-fasla kar ke rakhna behtar hai musalsal lagataar rakhna bhi makrooh nahi. 


>fatawa darul uloom 6/491 bahawala shaming


SAWAL


Ramzan ka roza todne Ka kaffarah kiya hai? 


JAWAB


Ramzan ka ada roza bila sharee uzr toda To Us ka kaffarh ye hai ke do 2 maheene lagatar -musalsal roze rakhe agar is ki taqat na ho to 60 santh miskeeno-faqeeron ko do waqt pet bhar khana khilaye. Dono waqt wohi faqeer hona zarooree hain ya 60 sath faqeeron me se har ek ko pone do kilo gehun Ya us ki qeemat ya qeemat Ke barabar chawal, aata,bajra, juwar wagairah de den. 



>BAHISHTEE ZEWAR HISSA 3 AUR 


>TALEEMUL ISLAM HISSA 4 KAFFAREH KE BAYAN SE MAKHOOZ

60 MISKEEN NA HO TO SAWAL


(A) Agar santh faqeer na mile to kaffarh ada karne ki asan shakal kiya hai? 

(B) Ek faqeer ek din me zayadah din ka ya 60 din ka kaffarh de to jaiz hai? 

(C) 1 faqeer ko pone do kilo se kam anaj ya pone do kilo ki qeemat se kam diya aur baqee dusre faqeer ko diya to kaffarah ada hoga? 


JAWAB


(A) Agar 60 faqeer na mile to Ek hee faqeer ko ya balig (gareeb) talibe ilm ko bitha kar 60 din tak bhar pet dono waqt khana khilaya jaye ya 60 din tak us gareeb ko pone do kilo gehun ya us ki qeemat dee jaye.


(B) Ek faqeer ko ek din me pone do kilo se zayadah gehun ya 60 din ke gehun ek sath dina Ya ek din se zayadah ya 60 din ke kaffarah ki qeemat dena jaiz nahi agar ek din ke kaffarah se zayada anaj ya zayadah qeemat dee to bhi ek hee din ka kaffarah Ada hoga.

Baqee din ka dobarah Ada kare


(C) Kisi faqeer ko kaffarh pone do kilo se kam diya Ya us ki qeemat Se kam dee to kaffarah ada na hoga ek faqeer sadqah e fitr ki miqdar ka pura anaj ya puri qeemat dena zarooree hai. 


>masaile roza safa 94 bahawala

>fatawa darul uloom 6/451

>Shami 2/163

>bahishti zewar 3/16



SAWAL

Roza todne ke woh kon see sooraten hai jin me qaza ke sath kaffarah bhi dena wajib hai? Aur woh kon see sooraten hai jin me sirf qaza hai kaffarah nahi ?

 

JAWAB

Woh sooraten jin se kaffarah aur qaza dono wajib hai wo ye hai,

 

1. ramzan ke adaa roze me bila uzr janbujhkar aesee cheez khana jo giza-khane ke taur par ya dawai ke taur hee khayi jati ho ya kaamil lazzat ke taur par ho istiamal hoti ho kha pee lena ya istiamal karna.

Is maloom huwa ke kachcha khana khane se,bidi pene se,lagane ki dawa nigal jane se, hath se mani nikalne se (aese par allah ki laanat hai),bv se sirf chimtne ya bosa lene sse inzal ho gaya to kaffarah nahi. in cheezon gizaiyat, dawaiyyat, kamil nafa kamil lazzat nahi.

2. janbujh kar sohbat karna.

3.ankh me dawa lagai ya ulti hui fir ye samjhkar ke roza toot gaya halanke in dono Se roza nahi toota tha Fir bhi janbujhkar khaa pee liya.

 

Woh shaklen jin me qaza hai kaffarah nahi hai wo ye hai,

1. nafal roza, ramzan ka qaza roza Ya kisi sharee uzr jaise bimari, sakht taklif, safar ki wajha se roza tod diya to kaffarah wajib nahi

>masaile roza

>ilmul fuqah jild som se makhooz

 

SAWAL

Shash eid ke roze me ramzan ke qaza rozon ki niyyat kare to dono ada ho jayenge?

 

JAWAB

Mazkoorah surat me sirf nafl shash eid ka roza ada hoga ramzan ka qaza roza ada na hoga lihaza koi ek hi niyyat kare.

>fatawa darul uloom qadeem 3/40

>Bahawala masaile roza 164

 

EID MUBARAK KEHNA

 

aaj kal log eid ke mavqah par eid mubarak kehte hai is ka kya hukm hai is ka koi shareeat me suboot hai?

JAWAB

 

Lafze eid mubarak ko sunnat aur zarooree samjhe bagair in alfaaz se mubarak badi dene me koi haraj nahi.

Mustahab ye hai ke niche ke lafzon se mubarak baadi dee jaye.

Hazrat wasilah RADEEYALLAHU ANHU  farmate hai ke mene nabie kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM se eid ke din mulaqat ki hai aut mene kaha

TAQABALLAHU MINNAA WA MINK

allah hamare aur tumhare nek amal qabool farmaen.

Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya han zaroor TAQABALLAH MINNAA WA MINK

(sunane bayhaqi lil kubraa hadees no.6088) allamah albaani Rahmatullahi alayhi ne is hadees ki tayeed ki hai

Aur sahibe hilyah ne aur muhaqeeq ibne ameerul haaj ne ne saheeh sandon ke sath bahot se asaare sahaba naqal kiye hai aur mubarak ke mavqeh par barkat ki duaa dena bhi sabit hai is se EID MUBARAK kehna jaiz hai

(muhaqqaq wa mudalal jadeed masaail (mufti jaafar sahab rahmani ki) safa 101 ba hawala raddul muhtar alaa durril mukhtar 3/47 kitabus salat)

 khairul fatawa 3/124

fatawa haqqaniyah 2/70

 

FITRA KITNA?

SAWAL

 

Fitra kitna aur kyaa de ?

JAWAB

 

Sadkqa e fitr me har qism ka galla (anaaj) aur  qeemat dena jaiz hai,

 

Uski tafsil ye hai

Agar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 750 gram) dena chahiye,

 

Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 500 gram) jav ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,

 

Aur agar qeemat de to pone do kilo gehun ya saade teen kilo jav ki keemat deni chahiye,

 

(Aaj ke hisaab se 50 rupiye adaa karne honge)

 

Sab se behtar fitra ye hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kismis (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyada hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,

 

Hadis me hai ke

ALLAH TUMHE ZIYADA DE TO TUM BHI ZIYADA DO.

 

COMAN FITRA GEHUN KI QEEMAT RS 50 [year 2015]

SUPER FITRA KHAJOOR KI QEEMAT RS 260 [year 2015]

HIGH-FI FITRA KISHMISH KI QEEMAT RS 1260 [year 2015]

 

Masaile roza 416, ba hawala ilmul fiqah 4/53

 

SAWAL

MUSAFHA AUR MUAANAQAH KAB KARE?

 

JAWAB

jab bhi musalman bhai se mulaqat ho sab se pehle use salam kare fir musafahaa kare pehal karne wale par allah ki 90 rahmate utarti hai aur dusre par 10 aur juda hone se pehle allah taala dono ki magfirat farma dete hain (mazahire haq) musafahaa salam ka takmilah hai yani us se salam mukammal hota hai aur salam ke baad karna chahiye

Eid ke din namaz ke baad masjid me musafahaa shiyon ki mushabahat ki wajha se manaa hai masjid ke bahar agar mulaqat na hui ho to mulaqat ki niyyat se musafaa kare.eid ki khas sunnat aur tareeqah samjh kar na kare

Aur muaanaqah safar se aane ke baad ya pehli baar mulaqat ho rahi ho to muaanaqah karna chahiye eid ki makhsoos rasm samjhkar muaanaqah na kare

Mulla ali qari Rahmatullahi alayhi likha hai fir bhi koi musafeh ke liye hath barhaye to hath na khinche hath khinchne me us ki zillat hogi aur use taklif pahonchegi aur ye haraam hai us waqt musaafa kar le fir piyar muhabbat se samjha de garz nafrat ka mahol paida ho aesi koi surat ikhtiyar na kare.

Ham aehle sunnat wa jamaat hain jo ibadat huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM aur tabieen aur tabe tabieen Rahmatullahi alayhi jis tarah jis darje me sabit hogi usee tarah ham amal karenge to hi sunnat ada hogi aur sawab milega apni taraf se zarabarabar kami beshi hamare akabireen ko gawara nahi hai aur yahi sirate mustaqeem sidha aur najat ka rasta hai.

masaile adabo mulaqat 83 se 86


 

RAMZAN KA AAKHRI JUMA AIK GALAT HADIS KI TARDID

 

Assalamu alaikum ww,

 

Pichle kuch saalo se Jese hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa ha ki

 

"jis aadmi ki zindagi me  bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski tadad bhi na maalum ho to agar wo ramazan k aakhri jumuah ko 4 rakat qaza e umri ki niyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichli qaza namazo ka kaffarah ho jayega......."

 

Awwal to ye baat masail k aitibaar se bilkul durust nahi hai kyunki qaza namazo ko pura parhna aikdam zaruri hai, 

 

Niz is hadis k baare me Ulama e hadis k aqwaal bhi dekh le:

 

 قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: "حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً........

 

 

 

(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)

 

Hazrat Allahma A.Hai luchnowi ra frmate hai ki Mulla Ali Qari Ra ne use aikdam batil aur juthi likha hai,

 

 وقال الشيخ الشوكاني: "حديث من صلى في آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.

 

هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة.........

 

(الفوائد المجموعة ص 54)


 

Allahma shawkani ra frmate hai ki ye hadis aikdam juthi hai jisme koi shak nahi,muje un kitabo me bhi nahi mili jisme mozu(juthi) ahaadis ko jama kia gaya hai 

 

Khulasa e kalam ye ki ye aikdam juthi hadis hai lihaza

 

 

1. Aise hadiso ko social media me felane se bachna chahiye wrna Aap saw ki is riwayat ka hum bhi misdak ban jayenge ki

 

(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده من النار)رواه البخاري


 

"jisne meri janib jaan buj ker  juthi baat(hadis) mansub ki wo apna thikana jahannum me talash kr le"

 

2. Deen ki koi bhi baat kisi moatabar aamile deen se puche bina social media me hargiz na felaye.

 

Allah taala humse deen ki sahih samaj ata frmaye.

 

Jazakallahu khairan

 

By

 

(Shaikhul hadis) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db

 

Presented by

www.attablig.com

 

AITIKAF KE SHARAIT AUR MASAIL

SAWAL

 

Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai?

Bimarpursi karne nikal sakte hai?

Niyyat kese kare?

kiya  masnoon aitikaf toot jaye to kitni din ki qaza karni padegi? Aur chadare(pardah) lagana zarooree hai?

 

JAWAB

 

Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha,

 

Motakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi,

 

haa! Agar apni tibbi Zaroorat ( bimaari) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he,

 

Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he , wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,

 

Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,

 

Motakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he,

 

Aitkaaf me chadar (pardah) lagana zaroori nahi,

 

Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha,

 

Har Din ka Aitkaaf ek mustakil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise Ikhtyar kiya he,

 

Aapke Masail aur Unka Hal,3/323


 

SAWAL

Wo Cheezen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain? 

 

JAWAB

1- taza Miswaak karna 

2- Sar ya Munchho per Tel lagana

3- injection ya teeka lagwana, 

4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana

5- Khushbu lagana,

6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho

7- Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna

8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,

9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho 

10 - Sote hue ahatlaam ho Jana

11- Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye

12. dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona

13. Phool ya itr ki khushbu sunghna

14. bhiga huwa rumal sar par lapetna

15. bimari ki wajha se gulucoz, blud chadhana

16. oxizon lena

17. naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye

18. raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena 

19. thuk, balgam nigalna

20. paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana

21. bila ikhtitar khud ba khud traffic, khane, loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana

22. kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana

23. baam ya cream lagana

24. badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna

25. kamzor admi ka bv ko buri nazar se dekhne ya bv se sohbat ke tasawwur ki wajha se inzal-mani ka nikal jana. 

Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga

26. bv ko bosa lena

27. miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho

28. zere naaf ya bagal ke baal katna

28. heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna basharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.

29. khun test karana

30. dayalisis karana 

31. janabat ki halat me sahri karna aur subsh sadiq ke baad gusl karna

32. nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kan me chala jana

33 . kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade

34. gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye

35 .pichhe ke raste me masse par ya zakham par dawai lagana

36. sahri ka waqt khatm hone aelan ya roze ke time tebal ke waqt bad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah hai

 

kitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa 

masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa



SAWAL
Roza kin cheezon se fasid ho jata hai? 

 

 

JAWAB

 

Wo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho jata hai woh niche likha gaya hain

1- Kaan aur Naak me dawa dalna.

2- Qasdan ( Jaan bujhkar) moonh bharkar qai-vomit karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan-janbujhkar lota Lena. 

3- Kulli karte huwe halaq me paani ka chala Jana,( us waqt Roza bhi yaad ho )

4- Aurat ko chhoone aur bosa lene se inzaal ho Jana-mani nikal jana. 

5- Lobaan ya agarbatti ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana

6- Bidi,sigarate,huqqah pina

7- Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha, pee liya

8- Raat samajhkar subah sadiq ke baad Sahri kha Lena,suba

9- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he,iftaar kar liya-kisi taqweem ya app me dekhkar waqt hote hi iftar kar liya baad me pata chala ghadi aage thi aur suraj guroob hone me 2 minute baqi thi.(akabireen ke mamool ke khilaf is se bilkul time par iftar karne ki baat karnewale ibrat le)

10 - Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati,Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera

11- baaf-stim-bhanp lena,

12- mushtzani -hath se mani nikalna

13- amah ke mareez ka inhilar-pamp istiamal karna.

14- munh me paan-gutkha daba kar so jana yahan tak ke subah sadiq ho jaye.

15- naksir fute aur naak ka khun halaq me chala jaye.

16- dant-masoodon ka khun agar itna zayada ho ke woh thuk par galib aajaye yani thuk ko laal kar de ya thuk ke barabar-sarabar ho jaye aur woh thuk pet me chala jaye agar thuk me khun kam ho yani khun ka maza halaq me maloom na ho to roza fasid na hoga

17- inama lena yani pet ki safai ke liye pichhe ke raste se dawai charhaana

18- mard ki peshab ki nali me koi dawai dali jaye aur woh masaane tak pahonch jaye. Agar masane tak na pahonche to roza fasid nahi hoga

19- aurat ka apni sharmgah me koi dawai dalna 

20- aurat ki sharmgah me doctorni ka chekap ke liye bhigahuwa ya dawai wala hath ya mashin dalna agar hath ya mashin par dawa na ho to roza fasid na hoga

21- danton me gosht ka resha, supari wagairah ka tukda atka huwa tha aur use se munh se bahar nikale bagair zuban ya khila se nikalkar munh ke andar hi andar nigal liya ya khud bakhud halaq me chala gaya to dekhi agar woh cheez chane ki miqdar se zayada hai ya chane ke barabar hai to roza fasid ho gaya agar chane se kam hai to fasid nahi huwa agar munh se bahar nikala fir nigal gaya to har hal me roza fasid hoga chahe chane ke barabar ho ya us se bhi kam ho

 

Kitabul masail 2/ safa 85 se 91

masaile roza safa 63,64

 

SAWAL

Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM Kin cheezon se Iftar fasrmate aur kin cheezon Iftar karna makrooh hai?

 

JAWAB

Aap aag se paki hui chizo se iftaar shuru na Farmate

Hazrat Anas rd. Farmate hai ke

Aap sallallahu alaihi wasallam Khajoor se iftaar Farmate Ya Fir aesi chiz se Jo aag se paki hui na ho Maslan Paani dudh chhuhare Wagera

 ○musnade abi Yaala

○majmuaa/185

○sabilhudaa/8/415

○targeeb/1420

 

Paki hui chiz se go iftaar karna jaaiz hai Par Sunnat ke khilaaf hai

Aap khajoor dudh pani se iftaar Ka aagaz karte

Arbaabe Tahqeeq ne Bataan kiya hai ke

Khususan garmi ke zamane me Na khane aur pine ki wajah se jigar me khushki peda hoti hai Is liye Behtar ye hai ke pani ke chand ghunt se jigar ko tar kar liyaa jayeTab pet me koi gizaa dali jaaye


SAWAL

SAFAR KI HALAT ME ROZA RAKHNA AFZAL HE YA NA RAKHNA AFZAL HE.?

 

JAWAB

JO AADMI APNE SHAHAR YA GANV KI SARHAD-BORDER SE SAVA SATTTAR (77.25 )KILO MITAR KE SAFAR KA IRADA KARKE NIKLE VAH SHARAN MUSAFIR HE AUR MUSAFIR KO     

SAFAR KI HALAT ME ROZA RAKHANE AUR NA RAKHANE DONO KI IJAZAT HE.AGAR ROZA RAKHANE ME TAKLEEF AUR KAMZORI KA ANDESHAA HO YA SATHIYON KO TAKLEEF AUR PARESHANI HOTI HO TO ROZA NA RAKHANA AFZAL HE.GHAR PAHONCHA KAR QAZA KARLE.AUR AGAR KAMZORI AUR TAKLEEF KA DAR NA HO TO ROZA RAKHANA AFZAL HE. 

( FATAWA RAHIMIYA JILD 4 SAFA 56.FATAWA DINIYYA GUJRATI)

SAWAL

ROZE KE MAKROOHAT KIYA KIYA HAI ?


JAWAB

1. BILA UZAR KISI CHEEZ KA CHABANA. ALBATTA KISI AURAT KA SHOHAR BAD MIJAZ HO AUR KHANA KHARAB HONE PAR USKE GUSSE HONE KA ANDESHA HO TO USE NAMAK ZABAN KI NOK PAR RAKH KAR CHAKHANE KI IJAZAT HE.
ISI TARAH AGAR CHHOTE BACHCHE KO ROTI CHABA KAR KHILANE KI ZARURAT HO AUR ROZEDAR AURAT KE ALAVA VAHAN US ZARURAT KA PURA KARNEVALA KOI NA HO TO VAH USE CHABA KAR DE SAKTI HE.LEKIN YE EHTIYAT HONA CHAHIYE KE AESA KARNE ME NAMAK YA ROTI KA KOI HISSA HALAQ KE NICHE NA UTARNE PAYE.VARNA ROZA JATA RAHE GA.BILA UZR CHAKHNA MAKROOH HAI

2. ROZE KI HALAT ME TUTHPEST ISTIMAL KARNA.KOILA YA KOI MANJAN DANTO ME MALNA.

3.  AURAT KA IS TARAH HONT PAR SURKHI LIPSTIC LAGANA KE USKE PET ME CHALE JANEKA ANDESHA HO.

4.ROZE KI HALAT ME BIVI SE DIL LAGI KARNA BHI MAKRUH HE.JABKE JIMAA-SOHBAT YA INZAL-MANI NIKALNE KA KHOF HO.

5. ROZE ME HAR AESA KAAM KARNA MAKRUH HE JIS SE IS QADAR KAMZORI KA ANDESHA HO KE ROZA TORHNA PAREGA.

6. NAK ME PANI CHARHANE AUR KULLI KARNE ME MUBALAG -HAD SE ZAYADATI KARNA.

7. SAHARI ME ITNI TAKHEER KARNA KE WAQT ME SHAK PEDA HO JAYE.

8. NAHANE KI HAJAT HO JANE PAR JANBUJHA KAR SUBAH SADIQ KE BAD TAK GUSAL ME TAKHEER KARNA.

9. BEQARARI AUR GHABRAHAT ROZE KA BOJ HONA ZAHIR KARNA.

10. MUH ME THOOK JAMA KARKE NIGALNA.
WESE BILA JAMA KIYE NIGALNA MAKOOH NAHI

11.ROZE KI HALAT ME KISI BHI QISAM KE GUNAH KA KAM KARNA CHAHE ZABAN SEHO YA DUSRE AAZAA SE HO.

12. BIVI KA SHOHAR KI IJAZAT KE BAGAIR NAFL ROZA RAKHNA.HAN SHOHAR SAFAR, AEHRAAM ME YA BIMAR HO TO MAKROOH NAHI.

?(KITABUL MASAIL 2/95 ?SAVME MAHMUD SAFA 30 31)



???????

 

ज़कात के आसान मसाइल

???????


सवाल- जकात के लुगवी मानी क्या हैं ? 

जवाब- पाकी, बडोतरी


सवाल- जकात की शरई तारीफ.? 

जवाब- मखसूस माल का मखसूस शराइत के साथ. किसी जकात के मुस्तहिक को मालिक बनाना


सवाल-कितना सोना हो तो जकात फर्ज होती है? 

जवाब- साढे सात तोला या उस से ज्यादा


सवाल-कितनी चांदी हो तो जकात फर्ज होती है ? 

जवाब- साढ़े बावन तोले या उससे अधिक 


सवाल - कितने रुपिये हो तो जकात फर्ज होती है 

जवाब- हाजते असलिया के इलावा साढ़े बावन तोले चांदी की कीमत हो तो जकात फर्ज होती है 


सवाल- हाजते असलिया के इलावा. कुछ सोना. कुछ चांदी. कुछ नगद हो. और सबको मिलाने पर चांदी का निसाब पूरा हो तो क्या जकात फर्ज होगी ? 

जवाब- जी हां


सवाल - क्या चरने वाले जानवरों की जकात फर्ज है ? 

जवाब - जी हां 


सवाल - क्या उशरी (बागायत) जमीन की पैदावार पर भी जकात है ? 

जवाब - जी हां 


सवाल - किसी साहिबे निसाब को दर्मियानी साल 35000 की आमदनी हुई तो क्या ये रकम भी माले निसाब मे शामिल होगी ? 

जवाब - जी हां 


सवाल - इस्तिमाल वाले जेवरात पर जकात है या नही ? 

जवाब - जी हां है


सवाल - जकात अंग्रेजी महीने के हिसाब से निकाली जाये या कमरी (उर्दू)? 

जवाब - कमरी (उर्दू) महीने के हिसाब से 


सवाल - बेचने की निय्यत से करीदे गये प्लॉट पर जकात वाजिब होगी ? 

जवाब - जि हां वाजिब होगी


सवाल - प्लॉट खरीदते वक्त बेचने की निय्यत न थी. बाद मे बेचने का इरादा हुवा तो उस पर जकात वाजिब होगी या नही ? 

जवाब - जब बिक जाये तो वाजिब होगी


सवाल - जो प्लॉट मकान बनाने के लिये खरीदा गया हो उस पर जकात है या नही ? 

जवाब - जी नहीं 


सवाल जो मकान किराया पर दिया उसकी जकात का क्या हुक्म है ? 

जवाब - उसका किराया निसाब को पहूंचे तो उसकी जकात वाजिब होगी


सवाल - किसी को बताये बगैर उसे जकात दें तो जकात अदा होगी या नही ? 

जवाब - अदा हो जायेगी


सवाल- मुलाज़िम ने इजाफी तनखॉह मांगी. मालिक ने जकात की निय्यत से इजाफा किया तो क्या मालिक की जकात अदा होगी ? 

जवाब - जकात अदा न होगी


सवाल - इनकम टॅक्स देने से जकात अदा होगी ? 

जवाब - जी नहीं 


सवाल - क्या अपने मां बाप, बेटा बेटी को या शोहर बीवी एक दुसरे को जकात दे सकते हैं ? 

जकात - जी नहीं 


सवाल - साहीबे निसाब को जकात देने से जकात अदा होगी ? 

जवाब - नहीं 


सवाल - भाई बहन चचा भतीजे मामू भांजे खाला को जकात देना कैसा ? 

जवाब - जाईज व बेहतर


सवाल - किसको जकात नही दे सकते? 

जवाब - हुजूर अलैहिस्सलाम के खानदान (हाशमी हजरात) को जकात नही दे सकते. 

इसी तरह जो हजरते अली, हजरते अक़ील, हजरते जाफर, हजरते अब्बास और हारिस बिन अब्दुल मुत्तलिब की नस्ल से हो उसे जकात नही दे सकते


सवाल - अगर सय्यद (बज़ाहिर) गरीब और जरूरतमंद हो तो उनकी खिदमत कैसे करें? 

जवाब - तोहफे और हदिया के जरीये (सय्यदों को जकात सदका न दें. और कोई सय्यद हरग़िज जकात सदका न लें) 


सवाल - सय्यदों को जकात क्यों नही दी जाती? 

जवाब - वो आली नसब हैं

और जकात माल का मैल होता है


सवाल - मालदार बीवी का शोहर दूसरे से जकात ले सकता है या नही? 

जवाब - ले सकता है 


सवाल - गैर मुस्लिम को जकात दे सकते हैं? 

जवाब - नही


सवाल - दीनी मदरसों मे जकात देना जाइज है या नही? 

जवाब - जाइज व बेहतर है


सवाल - साहिबे निसाब लोग खुद को मोहताज जाहिर करके जकात वसुलते हैं उन पर क्या हुक्म है ? 

जवाब - उनको जकात लेना हराम है


सवाल- बारिश के पानी से सैराब जमीन की पैदावार पर कितना हिस्सा अल्लाह की राह मे देना वाजिब है ? 

इसी तरह खूद सैराब की हुई जमीन की पैदावार पर कितना कितना हिस्सा वाजिब है ? 

जवाब - बारिश के पाणी की पैदावार पर दसवां हिस्सा. और खुद सैराब की गई जमीन की पैदावार पर बीसवां हिस्सा 


सवाल - एक मुल्क की करन्सी से जकात निकाल कर दूसरे मुल्क भेजी जाये तो जकात की अदायगी मे किस मुल्क की करन्सी का एतिबार किया जाये ? 

जवाब - जिष मुल्क से जकात निकाली गई. 


सवाल - हाजते असलिया किसे कहते हैं.? 

जवाब - रिहाइशी मकान, पहनने के कपडे, घर का जरूरी सामान, खाने पीने की अशिया, सवारी, आलिम की किताबें 


सवाल - जकात कब वाजिब होती है.? 

जवाब - निसाब पर क़मरी (उर्दू) साल गुजर जाये तो जकात वाजिब होती है 


सवाल-अगर किसी शख्स का किसी फक़ीर (गरीब) पर कर्ज हो और वो उसे जकात की निय्यत से माफ करदे तो जकात अदा होगी या नही ? 

जवाब - जी नहीं 


सवाल - सोना चांदी की जकात मे सोना चांदी का तुकडा ही देना होगा या उसकी रकम.? 

जवाब - इख्तियार है


सवाल - मसारिफे जकात मे फकीर किसे कहते हैं? 

जवाब - वो शख्स जो निसाब से कम का मालिक हो. 


सवाल - मसारिफे जकात में मिस्कीन किसे कहते हैं? 

जवाब - जो बिल्कुल किसी चीज का मालिक न हो 


सवाल - मसारिफे जकात में आमिल किसे कहते हैं ? 

जवाब - वो शख्स जिसे बादशाहे इस्लाम ने जकात व उश्र वसूलने पर मुक़र्रर किया हो 


सवाल - मसारिफे जकात मे मकरूज किसे कहते है? 

जवाब - जिसके जिम्मे कर्ज हो. कर्ज की अदायगी के बाद निसाबे कामिल का मालिक न रहता हो 


सवाल - मसारिफे जकात मे फी सबीलिल्लाह से क्या मुराद है? 

जवाब - ये वो लोग होते हैं जो अल्लाह की राह मे लगे होते हैं. या वो हुज्जाज जो हज के लिये तो निकले मगर जादे राह के खत्म होने से काबतुल्लाह तक न पहुंच पाये. इसी तरह राहे खुदा के मुजाहिद



सवाल - मुसाफिर पर जकात की कितनी रकम खर्च की जाये ? 

जवाब - इतनी रकम की वो अपने वतन आसानी से पहुंच जाये


सवाल - काफिर को जकात देना जाइज है या नहीं? 

जवाब - जाइज नही


सवाल - मालिके निसाब जकात की रकम अपने असल यानी की बाप दादा (उपर तक) और इसी तरह अपनी फुरूअ यानी बेटा पोता (नीचे तक) पर खर्च कर सकता है या नही ? 

जवाब - नहीं 


सवाल - मस्जिद या मदरसा की तामीर, रासता या पुल की तामीर मे जकात दे सकते हैं या नहीं ? 

जवाब - नहीं दे सकते


सवाल - मैयत को कफनाने या मैयत का कर्ज चुकाने मे जकात की रकम सर्फ करना जाइज है या नहीं ? 

जवाब - जाइज नही


सवाल - जकात की रकम रिश्तेदारों, पडोसियों पर सर्फ करना कैसा ? 

जवाब - जाइज व बेहतर है


सवाल - एक ही शख्स को पूरी जकात देना कैसा ? 

जवाब - मकरूह है


सवाल - जो जमीन तिजारत के लिये ली जाती है क्या उस पर जकात फर्ज है ? 

जवाब - जी हां 


सवाल - गैर मुस्लिम गरीब को जकात दी तो अदा होगी या नहीं ? 

जवाब - अदा न होगी


सवाल - क्या मदरसे के मोहतमिम या नाजिमे आला वगैरा (जो तलबा के वकील होते हैं उन) को जकात दे सकते है ? 

जवाब - हां दे सकते हैं 


सवाल - मुस्तहिके जकात भाई बहन की शादी मे जकात दे सकते हैं ? 

जवाब - हां दे सकते हैं 


सवाल - सोने की जकात खरीदते वक्त की कीमत के हिसाब से होगी या मौजुदा कीमत.? 

जवाब - मौजुदा कीमत के हिसाब से


सवाल - क्या ना बालिग बेटा या बेटी के माल पर भी जकात फर्ज है ? 

जवाब - नहीं 


सवाल - मस्जिद के इमाम या मुअज्ज़िन की तन्खॉह जकात से दी जा सकती है ? 

जवाब - नहीं 


सवाल - क्या लडकी जकात की रकम अपने वालिदैन को दे सकती है ? 

जवाब - नहीं 


सवाल - क्या सय्यद. सय्यद को जकात दे सकते हैं ? 

जवाब - नहीं

-------------------


✅ तमाम जवाबात सहीह है.


®मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन साहब.©

उस्तादे दारुल ऊलूम रामपुरा सूरत.


???????



AEHTALAM, BIVI SE SOHBAT AUR HAIZ KE BAAD BAGAIR GUSL KE ROZA RAKHNA KESA HAI?? 

⭕SAWAL⭕


AURAT RAMZANUL-MUBARAK ME SAHARI KE WAQT HAIZ SE PAAK HO GAEE. LEKIN GUSAL NAHI KIYA YA KISI KO AEHTALAM HUWA YA BIVI SE SOHBAT KI AUR GUSAL KARNE ME SEHRI CHHUT JANE KA ANDESHA HO TO KIYA YE SAB BAGER GUSAL KE ROZA RAKH SAKTE HAIN YA NAHI.?


?JAWAB?


AGAR AURAT SAHARI KA WAQT KHATAM HONE SE KUCHA DER PEHLE PAAK HO GAEE TO USPAR ROZA RAKHANA FARAZ HO GAYA.

AUR YE JUNOOBEE NAAPAK HAZRAT BHI WUZU KAR LE TO BEHTAR HAI AUR BAGAIR GUSL KE BHI ROZA SHUROOA KAR SAKTE HAI. 


(KHAYRUL-FATAWA JILD 4 SAFA 69.WA UMDATUL FIQAH)

~~~~~~~~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

ROZE ME PANI, AANSU, PASINA, BARISH KA QATRA HALAQ ME CHALE JAANE KA HUKM

SAWAL

ROZE KI HALAT ME BARISH, BARAF KA QATRA HALAQ ME CHALA GAYA YA KULLI KARTE WAQT PANI HALAQ ME CHALA GAYA YA AANSU AUR PASEENE KE QATRE ITNI ZIYADA MIQDAR ME THEN KE SAARE MUH ME USKI NAMKINIYAT-KHAREPAN KA AEHSAS HONE LAGA TO ROZE KA KIYA HUKM HE.?

KAM MIQDAR KA HUKM BHI BATA DEN

 

JAWAB

 

IN TINO SURTO ME ROZA RAKHNA YAAD THA AUR YE CHEEZEN HALAQ ME BHI MAHSOOS HUI TO ROZA FASID HO JAYEGA.KIYUN KE IS SE BACHNA MUMKIN THA CHAHE JAN BUJHAKAR HO YA ANJANE ME HO.HAN BARISH,ANSU AUR PASEENE KE DO QATRE MUNH ME CHALE JAYE TO US SE BACHNA MUSHKIL HAI LIHAZA IS ME QAZA BHI VAJIB NAHI YANI ROZA BHI NA TOOTEGA.

 


(FIQHI ZAWABIT JILD 1 SAFA 127.MASAILE RAMAZAN SAFA 98 )


SAWAL


ULTI, VOAMIT HONE SE KIYA ROZA TOOT JATA HAI.?


JAWAB

MUH BHARKAR JAN BUJHA KAR VOAMIT, ULTI KARNE SE ROZA TOOT JATA HE. LEKIN AGAR JANBUJH KAR NA KARE AUR BAZATE KHUD VOAMIT AANE SE ROZA NAHI TUTTA HAI. CHAHE VOAMIT, ULTI MUNH BHAR KAR HO.
BAZON KO WUZU KE MASLE SE GALAT FAHMI HO GAI HAI. MUNH BHAR KAR ULTI ,VOAMIT KARNE SE WUZU TOOT JATA HAI, ROZA NAHI TOOTTA. ISE YAAD RAKHE.

(FATAWA DINIYYA GUJARATI JILD 2 SAFA 609 AUR NOORUL IZAAH SE MAKHOOZ)

 

SAWAL

ROZE KI HALAT ME INJECTION RAKHAWANA, BLOOD, GULUCOZ KA BAATLA CHADHA SAKTE HAIN YA NAHI.?

JAWAB

ROZE KI HALAT ME INJECTION RAKHANA, BLOOD, GULUCOZ CHADHANA BILA KISI HARAJ KE JAIZ HE. KYUN KE YE CHEEZEN BADAN ME RAKHAI JATI HE AESEE HAI JO RAGON ME PAHONCHTI HAIN, BARAHE RAST (DIRECT) PET YA DIMAG ME NAHI JATI HAIN, ISLIYE ROZE KI HALAT ME YE CHEEZEN RAKHANA JAIZ HAIN.

(FATAWA DEENIYYA GUJARATI JILD 2 SAFA 606.

FATAWA USMANI 2 -186 SE MAKHOOZ)


SAWAL

KIN HAALTO ME ROZA NA RAKHANA MABAH-JAIZ HE.?


JAWAB

1. MAREEZ.JIS KO GALIB GUMAN YA TAJRABAH BIMAREE BADHNE KA YA DER SE ACHCHHE HONE KA HO.
YA MUSALMAN MAHIR DOCTOR NE MANA KIYA HO.SIRF WAHAM YA MAAMULI BIMARI ME KAM HIMMATI SE ROZA CHHODE KI SHAREEAT ME IJAZAT NAHI. 

2.  MUSAFIR (APNE SHAHAR-CITY KI SARHAD SE 77.25 KM DOOR JA SAFAR KARNEWALA) 

3. HAMILA AURAT JIS KO APNE YA BACHCHE SIHHAT PAR KHATRA HO. 

4. DUDHA PILANE VALI AURAT.

5. TEMARDAR ( BIMAR KI DEKHABHAL KARNEVALA) JABKE USKE ROZA RAKHANE SE MAREEZ KA NUQSAN HO.

6. NIHAYAT KAMZOR.

7. BHUK PIYAS SE MAJABOOR.

8. MUJHAHID FEE SABEELILLAH.JABKE USKE ROZE SE JIHAD ME NUQSAN HOTA HO.

9. PAGALPAN AUR BEHOSHI ME MUBTALA SHAKHS
UPAR BATAYE GAYE MAZOORON KE LIYE UZRON KI BINA PAR ROZA NA RAKHANA MABAH-JAIZ HE.JAB UNKA UZAR KHATM HO JAYE TO ROZE KI QAZA KARLE.

HAN, AGAR KOI AESA BANDA HO JISE ROZA RAKHNE PAR QUDRAT HI NA RAHE TO USKE LIYE HUKM YE HE KE HAR ROZE KE BADLE ME FIDYA (AEK SADQAYE FITAR KI MIQDAR ) DE DIYA KARE.

(KITABUL-MASAIL AUR UNKA HAL JILD 2 SAFA 146.)


SAWAAL
Dawai kha kar ayyam rokne wali aurat Ka Roza


Ramzaan Sharif me baaz khawateen
Daway vagera kha kar apne Ayyam-haiz, m.c. ko rok leti hai
Esi tarha Ramzan Sharif k pure roze rakh leti hai
Aur fakhriyana batati hai ke hamne pure maah k roze Rekhe kiya Aesa karna shar'an jaaiz hai

 


Jawab

Ye to waazeh hai ke
Jab tak ayyam-haiz shuru nahi hoga
Aurat pak hi shumaar hogi
Aur
Uska Ramzan ke Roze rakhna saheeh hoga

Raha ye ke
Rokna saheeh hai ya nahi ??

To shar"an rokne par koi pabandi to hai nai

Magar. Shart ye hai ke
Ye hai ke ye fel aurat ki sehat ke liye muzeer-nuqsandenawal ho to jaaiz nahi (lekeen roze fir bhi ada ho jayenge sihhat ko nuqsan pahoncgane ka gunah hoga) 

Aap k masaail aur unka hal 3/278 se makhooz


 

SAWAL

Roze ki halat me vicks balm laga sakte hai ?

Jawab
Bila karahat laga sakte hai, roza nahi tootega. 
[kitabul fatawa 3/394]


SAWAL

Motakif bidi cigarette pine ke liye baahar nikal sakta hai ?

jawab 
agar aesi adat ho gai ho ke us ke bagair chen na aata ho ya us ke bagair ijabat-pakhana hee na hota ho to nikal sakta hai lekeen pine ke baad munh ki badbu door kare.
Aur sigarette,Bidi ke bagair chal sakta hai to na nikle behtar ye hai ke peshab-pakhne ki zaroorat ke liye nikle to raste me ya sath me ye zaroorat bhi puri kar le 
[kitabul fatawa 3/455]
[fatawa mahmoodiyah 10/239 se makhooz]


SAWAL


Ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi? 
Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare?
 


JAWAB

Faqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai, 
1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi? 
2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai (is jahalat ke daur me darhi katane wale ki imamat jaiz hai aesi galat fahmi felne Ka bhi andesha hai) 
(Ahsanul fatawa 3/262)

Faqeehun nafs mufti kifayatullah rh.likhte hain Agar dusra is behtar imam mil sakta hai to use imam na banaya jaye 
kifayatul mufti 3/87

Aesa imam sakht gunehgar hai us ke pichhe namaz makroohe tahreemi hai aur woh wajibul ihanat (be izzati) hai us ko imam banane me us ki tazeem hai isliye us ko imam banana jaiz hee nahi
imdadul muftiyyeen 1/261bahawala shami 1/276

Agar koi aesa shakhs zabardasti imam ban gaya ya trastiyon ne bana diya aur hatane par qudratna na ho to kisi dusri masjid me nek-salih imam talash kare agar na mile to jamaat na chhode balke us fasiq ke pichhe hee namaz parh le us ka azab aur wabal masjid ke muntazimeen -zimmedaron par hoga 
ahsanul fatawa 3/26

Us ko imam banana makrooh hai albattah agar woh khud imam bankar namaz parhawe to namaz ho jayegi agarche woh sawab na mile jo muttaqee imam ke pichhe parhne se milta hai.
fatawa mahmoodiya 7/43

Iseetarah agar sab muqtadi darhi munde ho to darhi mundane wala imam ban jaye 
kifayatul mufti 3/57

masaile imamat 58 se 60 ka khulasa


?SAWAL?

Eid ke din mubarak baadi dete waqt ya Eid ke din khastaur par musafahaa karna kesa hai ?


♻JAWAB♻

>Musafah to mulaqat ke shurooh me salam aur Us ke jawab ke baad masnoon hai,

>namaz ke baad musafah rawafiz-shiyon ka tareeqah hai,

>kisi bhi namaz ke baad ya khas eid ke din sahaba rd. musafah nahi kiya karte the,

>logon ne musafah eid ka ek amal samajh liya hai isliye bidat aur makrooh hai

>mulaqat ke baad eid ki mubarak badi zaban se dena mustahab hai, is ke liye musafaa shart nahi

>lekeen aaj kal log sath sath namaz padhte Hai
(ek ghar me rehte hai,
ek hee gaadi me aaye the, ek saath aaye the) 
namaz ke salam ke baad ek dusre ko dekhte bhi hai, khutba sunte hai aur us ke baad jab khade hote hai to musafah aur muaanaqah karte hai ye kon sa mavqah hai!! 

*Fatawa raheemiyah jadeed puree tafseelee bahas 10/122 se 126 ka khulasah


IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA


AHAM WAZAHAT

KYA 15 RAMAZAN KO DHAMAKA HOGA ..???

Sawal -
Har jagah ye khabar chal rahi hai ki is saal 15 Ramzan shab e juma ko Subah ki namaz k baad ek dhamaka hoga aur 1 bhayanak awaaz sunai degi. 

Is silsile me ek hadees ka hawala bhi diya jaa raha hai jis ka mazmun hai ki is tarikh ko Subah ki namaz padh kr Gharon me dakhil ho jau, darwaze band kar lo aur jab awaaz aaye to fauran sajde me gir jao aur سبحان القدوس kahe aur jo aisa na karega wo Halaaak ho jayega. 

 

Is silsile me Musalmano me tashweesh aur khauf hai isliye is tarikh k mutallik Ulama e Ikram se darkhwast hai ki mukammal wazahat kar dein... 

 

Jawab -
Ahadees e Paak me Qayamat se pehle pehle bohot se waqiat aur hawadis k pesh aane ki khabar di gayi hai jo hadees ki Mashoor Kitabon me Muhaddiseen ne zikr kiye hain jaise Yajooj Masood, Dajjal wagera ka nikalna, Isa alayhi Salaam ka nuzul wagera. 

Lekin sawal me zikr ki gayi hadees jo awaam me falayi ja rhi hai, kisi Moattabar aur sahi hadees ki Kitabon me maujood nhi hai "Musnad E Shasi 2/262" per Kitab ul fitan "Naeem bin Hammad 1/228" k hawale se ba rivayat Abdullah Bin Masood raz ye hadees zikr ki gayi hai, lekin mahireen e hadees k yahan iska hadees hona tasleem nhi kiya gaya balki Mohadiseen ne saaf lafzon me is rivayat ko be-bunyad, Mauzoo aur batil qarar diya hai chunanche 

 

Allama Zahabi rah ne kitab ul fitan li Naeem bin Hammad k bare me likha hai, 

"Is kitab se daleel pakdna kisi k lye jayez nhi Kitab ul Fitan me Musannif ne Ajeeb aur Ajnabi Gair Moattabar rivayaten likhi hain aur ye rivayat manghadat hai aur Musalma naami ravi Na Qaabile Aitebaar hai". 

(Al mauzua 1/347)

 

Allma Uqaili rah ne farmaya, "is hadees ki koi asal kisi Moattabar ravi se sabit nhi hai". 

(Al zoafa Al kabeer 3/52)

 

Allam ibn e jawzi rah ne farmaya, 

"Ye hadees Jaali جعلی aur Rasool Sallallahualayhi wa sallam ki taraf is ki nisbat manghadat hai ". 

(Al mauzuaa't 3/191)

 

In rivayaat ko bayan krna jayez nhi aur Inke zariye awam ke ander dehshat peda krna Musalmano ko taklif dena hai aur mahool kharab krna bhi hai. Islye aisi mauzoo (manghadat) rivayaton ko Aam karna Shar'an jayez nahi. 

 

Allama Sulaiman ibn e Nasirul Alwan likhte hain ki, 

In Ahadees ko Aam krna Shara'n 2 wajah se jayez nhi

1- ye rivayaten Nabi sallallahualayhi wa sallam se Sahih sanad se sabit nahi aur Aslaaf aisi munkar rivayaton k bayan karne se manaa karte hain aur jo aisi rivayaton ko failaye Usko saza ka mustahiq qarar dete hain. 

 

2- In rivayaton ko bayan krna Musalmano ko bila wajah khauf me dalna hai aur Nabi sallallahualayhi wa sallam ne Irshad farmaya k "kisi Musalman ko jayez nhi k khwaa ma khwah kisi Musalman ko khauf zada kare". 

Khulasa - 

1) Mazkura Hadess Sabit nhi 

2) is be bunyad rivayat ko sahih hadees samajh kr failana, Musalmano ko khauf o hiras me dalna Jayez nhi.

 

 

Nasihat-

Albatta qurbe qayamat k nit naye fitno aur hadisaat se hifazat k lye hamesha duaon ka ahtemaam krna chayye Aur ye khayal o tarz k Jab koi musibat tute fir waqti taur per bedaar hon aur fir Khawab e Gaflat me mast ho jayen ye Momin Ka tariqa nhi. Allah paak pure Momineen ki hifazat farmaye air dunya wa aakhirat k Azaan o hawadis se aman o amaan me rakhe. 

Aameen. 

 

Ba shukriyah : Islamic ilmi Acadamy, Kanpur (UP)

 

 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free