AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

BIDAT


SAWAL

BAAL MUBARAK

BAAL MUBARAK KE DEKHNE (ZIYARAT KARNE )KA KYA HUKM HAI?

Jawab

Hadees shareef se sabit hai ke huzoor salallahu alayhi wasallam ne apne baal mubarak sahaba ​radeeyallahu anhum  ko taqseem farmaye the.
Fatawa ibne taymiyah me hai huzoor salallahu alayhi wasallam ne apne baal mundwakar aadhe sar ke baal abu talha radiyallhu anhu ko diye aur aadhe logon ke darmiyan taqseem farma diye.
Agar kisi ke paas ho to tajjub ki baat nahi.agar us ki saheeh aur qabile aetimad sanad (puri chain ho ke ham tak kis kis ke zariye pahoncha) ho to us ki ta'azeem-ziyarat karna bahot badi khush naseebee hai.
Agar sanad na ho aur banawati hone ka bhi yaqeen na ho to khamoshi ikhtiyar ki jaye na us ki tasdeeq kare-(sachcha samjhe) na takzeeb-(jhutlaye).na ta'azeem kare na tauheen kare.
Baal mubarak aur dusre nabavi tabarrukat khairo barkat ko vajib karnewale hain aur us ki ziyarat se ajro sawab milta hai.
Use dekhne me mardo aur aurato ka melap na ho hazrat aaishah radiyallahu anha apne zamane ki aurto ke mutalliq farmati hai ke rasoolullah sallallahu alyhi wasallam is zamane ki aurto ko dekhte to un ko masjid me jane se manaa farmate.
Lihaza aurto ko jamaa na kiya jaye.
(tabarrukate mubarakah ko hamare gunehgar hath na lagaye jaye.sirf ziyarat par bas kiya jaye.)

tabbarukat se barkat hasil karne ka saheeh aur jaiz tareeqah yeh hai ke khas tareekh tay kiye bagair logon ko jamaa karne ka ehtimam kiye bagair jab dil chahe ziyarat kare karaye.
Sahaba ke zamane me dastoor tha ke kisi nazar wagairah ki takleef ho jati to ummul mumineen hazrat umme salmah radiyallahu anha ke paas pani ka piyalah bhej diya jata.aap ke paas baal mubarak the.unko chandi ki nalki me mahfooz rakha tha.pani me us nalki ko dal dete the.aur woh pani mareez ko pilaya jata tha.
( qustalani sharhe bukhari j.8/ s.382)
hazrat asmaa radiyallahu anha ke paas huzoor salallahu alayhi wasallam ka kurta mubarak tha.farmati hai ke ham use pani me dhokar woh pani apne bimaron ko bagarze  shifa mareez ko pila diya karte hain.

(saheeh muslim 2/190)

( fatawa raheemiyyah jadeed babul ambiyaa
jild 3/safa 40 se 42 ka khulasa urdu ki asani ke sath)
ham aehle sunnat wal jamaat tabarrukat se barkat hasil hone ko mante hai.lekeen use sab kucch na samjhe.najat to aamal se hogi bila amal wa ittiba e nabi sallallahu alaihi wasallam sirf zahiri muhabbat ka dhong aur muhabbat ke dawe kafi nahi.

Gair muqallid-naam ke aehle hadees asal wahabi tabbarukat se barkat hasil karne ko nahi mante.
Allah hame sachchi aur kamil muhabbato ishqe rasol salallahu alayhe wasallam naseeb farmayen.ameen

 

SAWAL

12 RABIUL AWWAL KO KYA KAREN ?

KAL EIDMILADUN NABI KO KYA KARNA CHAHIYE SHARIAT ME IS BARE ME KYA RAHNOOMAEE HAI?

Jawab

Huzoor salallahu alaihi wasallam ki wiladat aur wafat ki tareekh me sakht ikhtilaf hai isliye ke in dono dino me har saal kuchh bhi karne ka ihtimaam sahaba nahi kiya khud huzoor salallahu alaihi wasallam ne bhi 63 salah zindagi me wiladat ka din (brithday) nahi manaya aap ki pedaish peer ke din hui thi is liye aap peer ke din aksar roza rakhte the isliye peer ke din roza rakhna sunnat hoga
lekin tareekh manana aur usee tareekh ko kuchh amal rozah namaz juloos naat wagairah

Na huzoor salallahu alaihi wasallam se sabit he na tamaam sahaba e kiram radeeyallahu anhum se sabit he.
Na taabein wa tabe tabein se sabit he
na awliya e kiram se sabit.
Na charon maslak ke imamon se sabit. Halan ke woh log huzoor salallahu alaihi wasallam sab se ziyadah muhabbat karnewale aur shariat ko jannewale the
na fiqah wa hadees ki tamaam kitabon me is bare me koi rahnumaee-kuchh likha huwa

Lihaza is din na khushi manaye na ranj, kyun ke wafat bhi isee din hui hai iseeliye ham aaj se 10 sal pehle ise bare wafat kehte the wafat bhi allah talaa ne isee din rakhi take log gairon ki tarah khushi manane se ruk jaye.

SAWAL

BIDAT KISE KEHTE HAI?

US KI TAREEF-DEFINATION DEWBANDI AUR BARELVI DONO HAZRAAT KE MUTABIQ BATAYE.

 

JAWAB

 

HAZRAT MUFTI KIFAYATULAH RAHMATULLAHI ALAYHI (WAFAT 1372 HIJRI) LIKHTE HAIN

BIDAT UN CHEEZON KO KEHTE HAI JIN KI ASAL SHAREEAT SE SABIT NA HO YAANEE QURANE MAJEED, AHADEESE SHAREEFAH SE US KA SUBOOT NA MILE AUR RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR SAHABAH E KIRAM RADEEYALLAHU ANHUM AUR TABIAYEEN AUR TABIA TABIAYEEN RAHMATULLAHI ALAYHIM KE ZAMANE ME US KA WAJOOD NA HO AUR US KO DEEN KA KAAM SAMJH KAR KIYA JAYE YA CHHODA JAYE.

(TA'LEEMUL ISLAM HISSA 4 SAFAA 27)

 

BARELVI MASH'HOOR ALEEM MOLVI MUHAMMAD SALIH LIKHTE HAI BIDAT US CHEEZ KO KEHTE HAI JO UMOORE DEENIYAH (DEENEE KAAM) SE SAMJHI JAYE MAGAR KISI DALEELE SHAREE SE US KA SUBOOT NA MILTA HO NA KITAB (QURAAN) SE, NA AHAADEESE NABAVIYYAH SE NA IJTIMAAE MUJTAHIDEEN SE (TABIYEEN AUR TABIA TABIAYEEN KO DAUR KE ULAMAA KA ITTIFAQ) NA QIYASE SHAREE SE.

TUFATUL AHBAB SAFA 95

 

(UPAR BARELVI ALIM NE DEENEE KAAM KI QAID LAGAI HAI IS SE MALOOM HUWA KE NAYEE CHEEZEN JO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE ZAMANE ME NAHI THI JESE CHAY,BIRYANI,BUS,GHADI WAGAIRAH IN SAB KA ISTISMAL BIDAT NAHI KIYUN KE HAM USE DEEN YA SAWAB SAMJH KAR NAHI KARTE)

 

DUSRE BARELVI ALIM MOLVI ABDUS SAMEEA RAMPUREE LIKHTE HAI

JIN NE NIKALI IS DEEN ME WOH BAAT JO DEEN KI QISM ME SE NAHI HAI YANI KITABULLAH AUR SUNNAT (HADEES) KE MUKHALIF HAI WOH BAAT US KI RAAD (NA QABILE QUBOOL) HAI.

ANWARI SAATIAA SAFA 33.

 

BIDAT KI QISMEN

 

1.BIDATE HASANAH

2.BIDATE SAIYYEH

 

HAZRAT IMAM SHAFIEE RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE BIDAT KI DO QISME HAI EK WOH BIDAT JO KITAB, SUNNAT, YA IJMAA YA KISI SAHABEE KE ASAR (BAAT) KE MUKHALIF HO AESEE BIDAT GUMRAHI (BIDATE SAIYYEH) HAI AUR

JO UN ME SE KISI KE MUKHALIF NA HO TO AESEE BIDAT KABHI ACHCHHI (HASANAH) HOTI HAI JESE HAZRAT UMAR KA QAUL YE (20 RAKAT TARAWEEH) KIYA ACHCHHI BIDAT HAI (KISI BHI SAHABI SE SABIT NAYI CHEEZ LUGAT-DICTIONAY KE AITIBAR SE BIDAT HAI HAQEEQATAN BIDAT NAHI)

MUWAFIQATU SAREEHUL MA'AQOOL.. ALAA MIHAJIS SUNNA 2/128

 

DONO FAREEQ KI MAANI HUI KITAB (FATAWA JAMIUR RIWAAYAAT WAL JUNNAH SAFA 60) YANI NISABUL FIQAH ME HAI KE BIDATE HASANAH WOH HAI JIS KO HAZRATE MUJAHIDEEN (JESE CHARON MASLAK KE ULAMAA IMAM ABU HANEEF RH. IMAM SHAFEE RH.WAGAIRAH) BIDATE HASANAH QARAR DIYA HO AGAR KOI AUR SHAKHS IS ZAMANE ME KISEE CHEEZ KO BIDATE HASANAH QARAR DEGA TO WOH HAQ KE KHILAF HAI KIYUN KE MUSAFFA ME HAI KE HAMARE ZAMANE ME HAR BIDAT GUMRAHEE HAI.

 

{MUFTI} IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free