AQAAID
BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE'AMAL KARNA Bahot se log khat, card, mobile msgs, ghar ke baahar ya ghar me, wagairah me 786 number likhte hai, aur yeh kehte hai ke Ye BISMILAH ka adad number hai. kya yeh sahih hai ? Yeh kisne aur kyun shuru'a kiya ? Kya Isme Bismilah Ki Barakat hasil hoti hai ? ba'az kehte hai ke ye Shri Raam Ya Shri Krishna ka adad hai, to kya yeh gairon ka tariqah hai ? JAWAB Hazrat mufti nizamuddeen azami رحمت اللّٰہ علیہ sabiq mufti darul uloom deoband, india. tahreer farmate hain ke lafze اللّٰہ Allah ke 'laam' ko double shumar kar liya jaye aur رحمان Rahman ke 'alif' ko shumar na kiya jaye to ta'adad 786 ho jati hai. pas is adad se yaqeenan zahan Bismillah ki taraf muntaqil ho sakta hai, balke is adad ko dekh kar ya sun kar Bismillah mukammal (pura) zahan me aa jata hai, aur ho sakta hai ke koi zubaan se keh bhi de to iske maqsad se yeh adad likhne ki garz yeh bhi ho sakti hai ke har khat (letter) ki ibaarat ki shur'uaat me intiqaak e zahni Bismillah ki taraf ho jaye aur Bismillah ka adab bhi baaqi rahe, isliye bahut mumkin hai ke is tareeqah e kaar se Bismillah kehne ya zahan me usey hazir karne ki jaanib talqeen aur mutawajjeh karne ki garz (maqsad) se yeh tareeqah chal padaa ho, agar che yeh ma'alum na ho ke yeh tareeqah kab se jaari huwa kuchh muzir (nuqsan) na hoga. balke istihsaan (uska achchha hona) baaqi rahega aur biaynihi (same) Bismillah parhne ki barakat agarche hasil na ho lekin zariyah zarur ban sakta hai, aur yeh be'adabi se bachaane wala hai, isliye is tareeqah ko bura kehna bhi qabile gaur baat hogi. MUNTAKHAB NIZAMUL FATAWA 3/435 Note: Adab ki wajah se likhne ki gunjaish usi waqt hogi jab ke *uske baad ki tahreer me aur kahin Allah ka naam ya kisi ayat wa hadees ka zikr na ho* warna be adabi na ho us wajha se likhne ki koi gunjaish nahi. *balke ek rasam samjhi jayegi, jis ka riwaj dena karahat-makrooh hone se khali nahi.* Hazrat mufti yusuf ludhyanvi رحمت اللّٰہ علیہ isee barey me tashreer farmate hain ke 786 bismillah shareef ke adad hain, buzurgon se iske likhne ka mamool chala aata hai. galiban is ko riwaj isliye huwa ke khutoot-lettres aam taur par faad kar fenk diye jate hain, jis se bismillah shareef ki be adabi hoti hai, is be adabi se bachane ke liye galiban buzrogon ne bismillah shareef ke aadad likhne shurooa kiye, is ko gairon ki taraf mansoob karna to galat hai, albattah agar be adabi ka andesha na ho to bismillah shareef hi likhna behtar hai AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 6/348 NAEEMIYAH Bande ke piro murshid, yadgare salaf hazrat aqdas mufti ahmad sahab khanpuri d.b. tahreer farmate hai ke *ye koi sharaee cheez nahi hai. aur is tarah likh dene se khat ke shurooa me bismillah likhne ka haq ada huwa nahi samjha jayega* MAHMOODUL FATAWA 5/625 Tino [3] fatwon ka khulasah ye hai 786 AGAR BISMILLAH SHAREEF KI BEADABI NA HO IS MAQSAD SE AESI JAGA LIKHA JAYE JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA HAI TO USEY *IS SHART PAR LIKHA JAYE KE AAGE KAHIN ALLAH WA RASOOL صل اللہ علیہ وسلم KA NAAM NA LIKHA HO.* JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA NA HO YA AAGE ALLAH KA NAAM AA RAHA HO TO WAHAN BISMILLAH HEE LIKHNE CHAHIYE.
JHANDE KE AAGE JHUKNAA
SAWAL
15TH AUGUST AUR 26TH JAN. KO JHANDAA BALAND KIYA JAATA HE IS MAWQE PAR MUSLIM SHURAKA BHEE HAATH UTHAAKR JHANDE KO SALAAMI PESH KARTE HE AUR JHANDE KE AAGE JHUKTE HE
USKA SHAREE HUKM KYA HE?
JAWAAB
JHANDAA LEHRANA AUR SALSMI DENA DURUST HE EK SIYASI AUR FAUJEE AMAL HAI AUR AHL E ILM NE USKO JAAIZ QARAAR DIYA HE
ALBATTA US MAWQE SE AISA KOI AMAL KARNA JIS SE JHANDE KEE GAIR MAAMULEE[EXTRA ORDINARY] TAAZIM [RESPECT] ZAAHIR HOTEE HO JAISE DONO HAATH JODNA YA JHUKNAA JAAIZ NAHEE
ISLAMEE POINT OF VIEW SE KISEE BHEE MAKHLOOQ KE SATH IS TARH KEE TAAZEEM KA SULOOK SAHEEH NAHEE
Sawal
Valentine’s day manaana kaisa hai ?
jawab
Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai
Ghair-muslim ke tehwaar sahi maankar ya ta’azeem ke iraade se manaana ya un ke tareeqe apnaana kufr hai
Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.
Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose,Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi bhi gunaah hai.
Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur shehwat ka gunaah hai. Aur kuchh log to Jima’a (sohbat) bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sohbat karna ‘Zina’ hai aur gunaah e kabeerah hai.
Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana hai ya ghairo ka? Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke pyare ummatiyo, Ghairo ke tehwaar aur tareeqe kitna bhi achhe lage lekin musalman ko sirf apne mazhab ka sahi tareeqa apnana chaahiye aur in sab gunaaho se bachna chaahiye taake ALLAH aur us ke Rasool sallallāhu alaihi wa sallam raazi ho.
Aap log ye sab baate apne dosto ko batakar unhe bhi in behayaai, ayyaashi aur fuzul kharchi aur gunaaho wale tehwaar manane se door rehne ke liye samjhayen. Kisi ko nek amal karne ke liye kehna ya gunaah se bachne ke liye kehna bhi bahot badi neki hai
HAZRAT ANAS RADEEYALLAHU ANHU . SE RIWAYAT HE KE EK SHAKHS NE AAKAR ALLAH KE RASUL
SALLALAHU ALAYHI WA SALLAM
SE SAWAL KIYA KE HAM ME SE KOI SHAKHS APNE DOST YA BHAI SE MILTE HUE USKE LIYE JHUK SAKTA HE
AAP NE FARMAAYA
NAHEEE
MAALUM HUA KE IS TARH KEE TAAZEEM GAIRULLAAH KE LIYE DURUST NAHEE.
HAZRAT MUFTI KIFAYATULLAH SAHAB RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAIN
"JHANDE KO SALAAMEE DE SAKTE HAI ISLAMI HUKOOMATON ME BHI HOTA HAI US ME TAAZEEM KA SHUBAH HO TO US ME ISLAAH HO SAKTI HAI.(IS TARAH KE SAR BULAND KAR KE SEENAH TAAN KAR SALAMI DEE JAYE) LIHAZA IS KO MUTLAQAN MUSHRIKANAH AMAL QARAAR DENA SAHEEH NAHI.
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
KITABUL FATAWA 1/281
FATAWA RAHEEMIYAH.KARANCHI 10/180
Roman transfer mufti Abdul qayyum Ajmeri surat Rander
WO AQAEED&MASAIL
JIN ME BARELVI aur DEOBAND KE ULAMAA KE DARMIYAN IKHTILAF HAI ITTIFAQ NAHI JIS KI SE PURI UMMAT IKHTILAF,JAGHDON AUR BAHSO MUBAHASON KA SHIKAR HE JISKI WAJAH SE HUM PARESAN HE OR DUSHMAN ISKA FAYEDA UTHA RAHE HE.AAJ KE MAHOL ME KISI TARAH APAS ME ITTIFAQ PAIDA KARNE KI SAKHT ZAROORAT HAI.IKHTILAF KHATM KARNE UN AQAID KO QURAAN WA HADEES SE BHI BATAYA JATA HAI LEKEEN BARELVI HAZRAT KO SAMJH ME NAHI AATA.TO KIYA KARNA CHAHIYE?
UN KO KAISE SAMJHAYE
JAWAB
BAAT AAP KI SAHEEH HAI US KA ILAJ YE HAI KE UN KE AQAID WA MASAIL UNHEE KI KITABON SE PESH KIYE JAYE TO WOH MAULANA AHMAD RAZA SAHAB KI WASIYYAT KE MUTABIQ MAAN LENGE INSHA ALLAH.
LIHAZA DEWBANDI AQAID WA BAAZ MASAIL UN HEE KI KITABON SE AMANATDARI KE SATH PESH KIYE JATE HAI UMMEED HAI KE KUCHH APAS KI NAFRAT WA IKHTILAF DOOR HONGE.
"EK HE SAB KA NABI,
DEEN BHI, IMAAN BHI,
HARAM-E-PAAK BHI,
QURAN BHI EK,
KYA BADI BAAT THI, HOTE JO MUSLAMAN BHI EK"
1.
MUFTI AHMED YARKHAN
tafsire naeemi s-54 parah-11 me
و اياك نستعين
WA-IYYAQANASTAEEN ki tafsir me farmate he k
"JIS TARAH HUM SIRF TERI HI IBADAT KARTE HE..
USI TARAH SIRF TUJ HEE SE HAR KAAM ME MADAD MANGTE HE
HUM MUSHRIK NAHI KE BA'Z KAMO ME TUJSE MADAD LE OR BA'Z ME TERE SIWA KISI OR SE
HAR KAAM ME TUJHI PAR E'ATEMAD HE OR TERI HI MADAD SACHCHI HE.
ISME BANDE KO TA'LIM HE K KOI MADAD BHI KAR DE TO YE SAMJE K ALLAH KI MADAD HE
TO HAQIQI MADADGAR ALLAH HI HUWA
KISI KO APNA HAQIQI MADADGAR NA SAMJE
LIHAZA ALLAH KO CHHODKAR KISI AUR PAR E'ATEMAD KARNA NAADANI (jahalat) HE.
(BARELVIYON KE NAZDEEK ALLAH KE SIWA ANBIYSA WA AWLIYA SE MADAD MANGNA FARZ WA WAJIB NAHI BALKE SIRF JAIZ YA BEHTAR HAI.DEWBANDI HAZRAT SHIRK KEHTE HAI JO HARAAM HAI HARAAM AUR HALAL ME IKHTULAF HO TO SALAMATI US SE BACHNE ME HAI)
2.
JANAZAH KE SATH CHALNE WALO KO SUKOOT (khamoshi) KI HAALAT ME CHALNA CHAHIYE
(mv amjad ali, bahare sariyat j-4, s-139)
3.
QABAR UNCHI BANANA KHILAFE SUNNAT HE
MERI WALIDAH, MERE BHAI KI QABR DEKHE 1 BALISHT SE UNCHI NA HOGI.
(mv ahmed raza malfoozat, hissa-2, safa-85)
4.
MAIYYAT KE PEHLE
YA TISRE
YA HAFTE KE BAAD JO KHANE TAIYYAR KIYE JATE HE SAB MAKROOH AUR MAMNOOA (mana) HE.
(mv ahmed raza, jaliyus saut safa-407)
5.
YE SAMJNA KE KHANE PINE KI CHIZE SAMNE HOGI JAB HI FATIHA HOGA, YE GALAT HE.
(mv ahmed raza, ruhon ka aana, safa-12)
6.
irfan-e-hidayat me
Mv.Irfan,, farmate he
"AFSOSH K IS ZAMANE ME URS KO MELA BANAYA GAYA HE
RANDIYON KA NAACH HOTA HE
DHOL, TABLA, BAJATE HE
AUR AJEEB TO YE HE KE ISE JAIZ OR ALLAH K QURB KA VASILA SAMJA JATA HE
PADHE LIKHE AUR SAJJADGANE DARGAH BHI IN BALAAON ME MUBTALA NAZAR AATE HE!
7.
malfuzate mv ahmed raza me he ke
YE NA PUCHHO KE AURTO KA MAZAR PE JANA JAIZ HE YA NAHI
YE PUCHHO KE US AURAT PAR KIS QADAR LA'NAT HOTI HE...
AURAT JIS WAQT GHAR SE MAZAR JANE KA IRADA KARTI HE LANAT SURU HO JATI HE
SIWAY ROZA-E-ANWAR K KISI MAZAR PAR JANE KI IZAZAT NAHI
mlfuzat-2 s-117
8.
mv faroow ashrafi razvi farmate he
LOBAN, AGARBATI QABAR PAR JALANA BAD FALI KA SABAB HE
AUR SIRF QABAR KE LIYE JALA KAR AAYE TO
MANAA, FUZUL AUR MAAL KO BARBAD KARNA HE
MAIYYAT NEK HE TO USKI QABAR ME JANNAT KI KHUSBHU AATI HE
DUNIYA KI AGARBATTI LOBAN SE USKA KYA MUQABLA
AUR MA'AZALLAH MAIYYAT KO AZAAB HO RAHA HO TO DUNIYA KI LOBAN, AGARBATTI SE KOI FAYEDA NAHI,
(gulistan-e-awliya, safa-11)
(ruhon ka aana, s-7) (fool ko bhi is part qayas kar sakte hai)
9.
Mv ahmed raza farmate he:
TAZIYA BANANA BID'AT HE,
USSE SHAUKAT, DABDABA NAHI HO SAKTA
MAAL KA JAAE KARNA HE,
USKE LIYE SAKHT WAEED AAYI HE...
10.
TAZIYA KO HAJAT RAWA SAMAJNA JAHALAT HE
USSE MANNAT MANGNA BEWAQUFI
NA KARNE KO NUQSAN SAMAJNA AURTO WALA WAHAM HE.
(risala mohram taziya sf 59,60)
11.
Allama gulam rasul gohar farmate he
AZAN SE PEHLE "A'UZU" PADHNA NAHI HE,
USKA HUKM QURAN KE SATH KHAS HE.
"BISMILLAH" PADHNA BARKAT HE MAGAR..
BULAND AWAZ SE AUR LOUD SPEAKER ME PADHNA FUZUL HE
AAHISTA SE PADHNA KAFI HE
ASAL ME YE DEOBANDIO KI MUKHALIFAT KARNE K LIYE SURU HUWA HE..
AALA HZ.NE LIKHA K AZAN K BAAD SALATO SALAM JO ISLAM ME PEHLE NAHI THA
YE TAKLIF DENE WALA HE
(ba hawala, anwarus sufiyyah- janvari-1978, SUMARAA no-4).
12.
Is Zamane me Aurto ka Qabar ki zyarat k liye jana Makruh, balke HARAM he.
(Mv Muhammad Hasmat Ali Barelwi Sab, Jam'ul Masail-1, page-110)
13.
ZIYARTE ROZA-E-ANWAR K WAQT NA DIWAR KO HATH LAGAYE
NA CHUME
NA CHIMTE
NA TAWAF KARE
NA ZAMIN CHUME
YE BI'DAT HE
(MvAhmedRaza
Hursate Ajda'a tazim s63
14.
mv ahmed raza farmate he
DAASTAN-E-AZEEB,
BIBI SAIYEDA KI KAHANI,
10 BIBIYO KI KAHANI,
WAGERAH KITABON KI KOI ASAL NAHI
ISE NA PADHA JAYE
(ruho ka aana, safa-3)
15.
mufti ahmed yarkhan farmate he
NABI JINS-E-BASAR HI HOTE HE OR INSAN HI HOTE HE
ja'al haq bab-1' s-164, jasim book depo delhi
16.
mv. Ahmed Razakhan frmate he
(huzur SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko) ATAA-E-ILAAHI SE BAA'Z ILM HI MILNA HAM MANTE HE.
NA KE JAMEEA (tamam chiz ka)
(khalisul eatiqad, s-23).
17.
Ahmed yarkha frmate he
HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM DUSRE AMBIYA ALAYHIMUS SALAM KO RAB NE APNE BA'Z GUYOOB (GAIB) KA ILM DIYA
YE ZARURIYATE DEEN ME SE HE ISKA INKAAR KUFR HE.
ja'l haq s-39
(JAB KUFR AUR IMAN ME IKHTILAF HO TO KUFR SE BACHNA MUQADDAM HAI QABR AUR MEDANE MAHSHAR ME YE ILHTILAFI AQAID NAHI PUCHHE JAYENGE.GAIR MUSLIM KO MUSALMSN BANANA TO ZAYADA SE ZAYADA 5 KALME PARHA DENA KAFI HAI KHAS BARELVI AQAID KO QABOOL KARANA MUSALMAN BANANE KI LIYE ZAROOREE NAHI.FIR IN AWAID KO NA MANNEWALON KO KYUN KAFIR KAHA JATA HAI!)
NOTE:
IN KITABON ME IN HAWALO PAR YE BATEN HAI KE NAHI KISI KO PUCHHNE KE BAJAYE KHUD DEKHE NUSKHE KE FARQ KI WAJHA SE YE BATEN USEE SAFE PAR NA HO TO EK DO SAFE AAGE PICHHE BHI DEKH LIYA JAYE.IS ME JHUTH, AUR KHIYANAT SE KAAM NAHI LIYA HAI.اَلْحَمْدُلِلّه
HAM YE BHI BATA DETE HAI IS KI BAAZ BATON KO DUSREE KITABON ME US KE KHILAF BHI LIKHI HAI JAB BARELVIYON KI KITAB ME DONO QISM KI BATEN HAI TO UN KA BATON KO MAAN LENE KI GUZARISH HAI JIS SE UMMAT ME JOD PAIDA HO AUR TOD KHATM HO.
IKHTILAFI BAAT PAR DATE REHNE SE BADA NUQSAN HAI ALLAH TAALA ITTIFAQ AUR JOD PAIDA KARNE KI TAUFEEQ DEN AMEEN.
HADEES BAYAN KARNE ME AEHTIYAAT
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA IRSHAD HE JO MERI TARAF SE JHUT NAQAL KARE (YANI GALAT HADEES BAYAN KARE YA BHEJE ) WOH APNA THIKANA JAHANNAM ME BANAYE.
BUKHARI
HAZRAT ABDULLAH IBNE MASUOOD R.A.JO IBTIDAE ISLAM ME MUSALMAN HO GAYE THE HABSHA AUR MADINE KI HIJRAT JINHONE KI THI
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KE KHAAS KHADIM THI WUZU KE PANI KA INTIZAAM JUTE UTHANA TAKIYA PESH KARNA INHI KE ZIMME THA. TAMAM JANGON ME SHARIK RAHE
AAP SALLALLAHU ALAYHI WASLLAM K GHAR YE AUR IN KI WALIDA KA KASRAT SE AANA JANA THA ISLIYE LOG IN KO AHLE BAIT ( GHAR KA MEMBAR ) SAMJHTE THE HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA IN KE BARE ME IRSHAD HE KE
IBNE MASUOOD JO HADEES TUM KO BAYAN KARE USE SACH SAMJHO ITNE MUATAMAD AUR YAAD DASHT PAKKI HONE AUR IN SAB BATON KE BA-WAJUD
ABU AMR SHAYBANI R.A.KEHTE HE KE ME EK SAAL TAK IBNE MASUOID R.A.KE PAS RAHA MENE KABHI BHI
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI TARAF MANSUB KAR KE BAAT KARTE NAHI SUNA LEKIN AGAR KABHI
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI TARAF KOI BAAT MANSUB KAR DETE THE TO BADAN PAR KAPKAPI AA-JATI THI
AMR IBNE MAYMOON R.A.KEHTE HE KE EK MARTABA HADEES BAYAN KARTE HUWE ZABAN SE YE NIKAL GAYA KE
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM NE YE IRSHAD FARMAYA TO BADAN KAANP GAYA AANKHON ME AANSU BHAR AAYE PESHANI PAR PASINA AA GAYA RAGEN-NASE FUL GAYI AUR FARMAYA INSHA ALLAH YAHI FARMAYA THA YA IS KE QAREEB QAREEB THA YA US SE KUCHH JYADA YA IS SE KUCHH KAM
MUSNADE AHMAD MUQADDAMAE AWJAS
FAAIDA: YE THI UN HAZRAAT KI AEHTIYAT HADEES SHAREF KE BARE ME YE HAZRAT WAJUD YE KE MASA'IL
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KE IRSHADAT AUR HALAAT HI SE BATATE THE MAGAR YE NAHI KEHTE THE KE
HUZUR SLLALLAHU ALAYHI WSLLAM KA IRSHAD HE Ke KHUDA NA KHAWASTAH JHUTH NIKAL JAYE US KE BIL-MUQABIL HAM APNI HALATE DEKHTE HE KE BE-DHADAK BE-TAHQEEQ HADEES NAQAL ( sms ) KAR DETE HE ZARA BHI NAHI JIJHAKTE HALAN KE
HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI TARAF MANSUB KAR KE BAAT NAQAL KARNA BADI SAKHT ZIMMEDARI HE
UMMID HE KE IN BATON KO PADHNE KE BAAD BAGAIR HAWALE KI HADEES AUR KOI BHI BAAT ALLAH KI TARAF MANSUB HO SMS HARGIZ NAHI KARENGE. INSHA ALLAH
KHIR PURI KI HAQEEQAT AUR BARELVIYON KE DALAIL KE JAWABAT
SAWAL
KHEER PURI KI SHUROOAT KIS NE KI AUR KAB HUI.
BARELVI KEHTE HAI KE IS ME SHIYON SE MUSHABAHAT NAHI KOI KARE KHAIR HAM SHUROOA KARE AUR USE DUSRAA KOI FIRQA APNA LE TO US KARE KHAIR KO NAHI CHHODA JAYEGA SHIYON KE KHIR PURI KARNE ME AUR SUNNIYON KE KARNE ME KAI TAREEQE SE FARQ HAI.
HAZRAT JAFAR SADIQ KI WAFAT KIYA RAJAB ME HUI HAI?
JAWAB
22 RAJAB YA 15 RAJAB KO NA HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI KI WAFAT HUI HAI NA WILADAT.IS DIN SHIYON KE SAB SE BADE DUSHMAN HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU KI WAFAT HUI HAI.
AUR HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI WILADAT-PEDAISH 8 RAMZAN 80 YA 83 HIJRI ME HUI
(AGAR RAJAB KA MAHEENA HO TO AHLE BARELVI TAREEKH KI KITAB KA HAWALA PESH KARE.)
<TAREEKHE TABREE SAFHA 239 MILD 4 BEROOT KI CHHAPAI>
KHEER KUNDE KI SHUROOAT HEE SHIYON NE KI HAI NA KE SUNNIYON NE .
MUSHABAT US WAQT NA HOTI JAB IS KI SHUROOAT SUNNI KARTE AUR FIR ISKO SHIYAA SHUROOA KARTE LEKEEN MUAAMALA ULTA HAI KE HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLSHU ANHU JO SHIYAA KE SAKHT MUKHALIF THE AUR SHIYON KO QARAL KARTE THE AUR SAZA DETE THE UN KI WAFAT PAR KHUSHIYAA MANAI AUR CHHUP KAR KHIR PURI BANAI AUR CHHUP KAR KHAI AUR SUNNIYON KO PATA CHALA TO IS KO HAZRAT JAFARE SADIQ KI TARAF CHALAKI SE MANSOOB KAR DIYA.
MAZEED DALEELEN
1.IS RASM ME AAJTAK IS KI PABANDI HAI KE KUNDON KI PURIYAN KISEE BANDH-AASMAN NAZAR NA AAYE AESEE JAGA BANAI JATI HAI.
2.BANNE KE BAAD BADE AEHTAMAM SE DHANK KAR RAKHA JATA HAI.
3.FATIHA ANDHEREE JAGA ME DIAYA JATA HAI.
4.PARDE KE SATH USE KHILAYA JATA HAI
5.HAZRAT JAFAR SADIQ KE SATH SHIYA HAZRAT KI JAGA IMAM KA LAFZ ISTIAMAL KARTE HAI UN KI MUSHABAHAT ME BARELVI BHI IMAM KEHTE HAI JIS TARAH KAHNE ME ITTIBAA KARTE HAI BOLNE ME BHI SHIYON KI MUSHABAHAT AUR ITTIBAA KARTE HAI
6.HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI SAHABI NAHI HAI BALKE WALI HAI AWLIYAA E KIRAM KARADON HAI US ME HAZRAT HAZRAT HAFAR SADIQ KI HEE KIYA KHUSISIYAT KE UN KE HEE NAAM PAR SHUROOAT KI JATI HAI SAHABA RADEEYALLAHU ANHUM KI KIYUN NAHI KARTE HAI!
7.FATIHAA KE BAAD
YA ALI RADEEYALLAHU ANHU KA NAARA LAGAYA JATA HAI YA ABU BAKR
YA UMAR
YA USMAN
KA NARA NAHI LAGAYA JATA HAI KIYUN KE SIRF ALI RADEEYALLAHU ANHU KO HEE MANNA AUR DUSRE 3 KHULAFAA KO NA MANNA SHIYON KA TAREEQAH HAI.
SAWAL
GAIR MUSLIM SE MANTARA KE ZARIYE ILAJ KARANA
BIMAREE WAGAIRAH PARESHANI ME GAIR MUSLIM SE KHILAFE TAUHEED MANTR PARHAKAR DAM KARANA KESA HAI?
[JAB KE BAHOT SO KO US SE FAIDAH BHI HOTA HAI]
JAWAB
JAB YAQEEN HAI KE TAUHEED KE KHILAF AUR SHIRKIYAH MANTRA PARHRA HAI TO US SE ILAJ KARANA NA JAIZ HAI RAHI BAAT FAYDE KI TO IBNE MASOOD RADEEYALLAHU ANHU SE RIWAYAT HAI KE UN KI AHLIYA KI AANKH ME TAKLEEF HOTI THI TO WOH EK YAHOODEE KE PAS DAM KARA LETI TO FAURAN ACHACHHA HO JATA TO IS KA TAZKIRAH UN KE SAMNE KIYA TO IBNE MASOOD RADEEYALLAHU ANHU NE FARMAYA KE ASAL ME SHAITAN AANKH KO KUREDTA THA JESE HEE WOH YAHOODEE DAM KARTA THA SHAITAN APNA HATH ROK LETA THA TO YE SHAITANI HARKAT HAI (AMIL AUR SHAITAN KI MILIBHAGAT HAI.SIFEE AMAL ME AESA HOTA HAI)
TUMHARE LIYE HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE BATLAYE HUWE KALIMAT KAFI HAI WOH KALIMAT YE HAI.
اذهب الباس رب الناس و اشف انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما
AZHIBIL BASS RABBI NAAS WASHFI ANTAS SHAAFEE LAA SHIFAAA ILLAA SHIFAAUKA SHIFAAAN LAA YUGAADIRU SUQMAA (YANI ISE TIN BAR PARH KE DARDWALI JAGA DAM KARE AAGE PICHHE DUROOD SHAREEF PARHE)
<FARAWA RAHEEMIYAH 1/43>
<BA HAWALA TALBEESE IBLIS 1268>
IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA