AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

AITRAZ-JAWAB


HINDUSTAN SE ISLAM AUR MUSALMANO KA TA'ALLUQ

SAWAL

Hindustan se islam aur musalmano ka kya ta'alluq raha hai aur muslaman is sar zameen se kyun muhabbat karte hai ?

Musalman Hindustan ko unke baapdada ka desh kyun kehte hai ?

 

JAWAB

 

حامدا و مصلیا و مسلما

Hindustan se hame muhabbat honi chahiye aur yeh hamaare baap-dada ki sar zameen hai is ki kai wujuhaat hai.


HINDUSTAN MUSALMANO KE LIYE PARAAYA MULK YA AJNABI ZAMEEN NAHIN HAI, YAHAAN UNKE PAYGAMBAR [AS.] SE LEKAR  BAAP DAADA DAFAN HUE HAIN.

 

Puri duniya ke musalmano ka yeh aqeeda [shradhdha] hai ke insaan ki zaat ke paida hone ki ibteda [shuruaat] hazrat Aadam [AS.] se huwi hai, duniya me jitney insaan guzar gaye aur jo haal me [abhi] hai, usme gorey ho ya kale, Hindustani ho ya afriqi, America Europe ke rehne wale, arab ho ya angrez, ye tamaam insaan hazrat aadam [al.] ki aulaad me se hai, islaam mazhab ka ye aqeeda hai, aur Christian aur yahudi ka bhi yahi aqeeda hai, musalmaan hazrat aadam [al.] ko unke dada maante hai, isliye unke dada ka jo watan tha wo hee watan muslamano ka aslee watan hai, hindustaan jaise badey mulk me Allah ta’ala ne apne kisi khaas paygambar ko zarur bheja hoga,  

 

Aaiye, hum aisi kuchh chizon par gour kare jisse ye pataa chalta hai ke Hindustan ki puratan kaal [ibtedai zamane] se chali aa rahi jaaho jalaali kaisi thi.  

 

1. allama ibnne kaseer ne apni tafseer me likha hai ke suddee Rahmatullahi alayhi ka farmate hai Hz. Aadam [علیہ السلام ] jannat me se Hindustan ki zameen par utre, wahan aap ke sath ‘’hajre aswad’’ aur jannat ke darakht ke kuchh patte the.un patton ko adam علیہ السلام ne jannat me se nikaale jane ki wajha se afsos karte huwe dabaya to Us me se khushbu paida hui Aur us patte ko hindustan me fela diye usee se khushbu dar darakht paida huwe (ood ki khushbu ki asal yahi hai)
(TAFSEERE IBNE KASEER JILD 1 SAFA 102)

 

2. hazrat aayesha siddiqa [rd.] unki riwayat me bayan kar ke farmati hai ke: Hz. Aadam [al.] ‘’Sinhaldeep” yani “Lanka” ke pahaad par utre aur Maa Hawwa [al.] “Jiddah” me utre the, hz. Aadam [al.] bahot lambe arse tak Maa Hawwa [al.] ki talaash karte rahe, “Muzdalifa” jagah par dono ka milaap huwa, uske baad Allah ke hukm se hz. Aadam [al.] ne Khana e kaaba ki taameer ki, aur Hindustan me aakar rehne lage
hz. Aadam [علیہ السلام .] ki aulaaad me hz.Shees [علیہ السلام .] bhi the, aap ki mazaar Mubarak “Ayodhya” Faizabaad me hone ka bataya jata hai,
ek riwayat ye bhi hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام .] ne Hindustan se 40 haj paidal kiye the.tareekhee
riwayaton  ye niche likhi gayi chizen saabit hoti hai,  

 

1. HINDUSTAN: Allah ke sab se pehle paygambar hz. Aadam [علیہ السلام ] ne jahaan qadam rakha wo zameen hai. 

 

2. hz. Aadam [علیہ السلام ] Nabi the, is liye sab se pehle nubuwwat ka suraj Hindustan me tulu’a huwa.

 

3. duniya me sab se pehle “Ruhul Quddus” hz. Jibraeel [al.] sab se pehle Hindustan me naazil huwe the.yani sab se pahli wahee-allah taala ka farman hindustan me utra

 

4. ibne asaakar [rh.] ne hz. sa’ad (رضی اللہ تعالٰی عنہ ) ke hawale se likha hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام] ke liye ‘’Dahnaa’’ ki mitti li thi, research Karne walon ka bayaan hai ke ‘’Dahnaa” Hindustan ka hi koi maqaam hai.
(Taarikhe dimashq 7/437)

 

5. hz. Ibne abbas [رضی اللہ تعالٰی عنہ] se riwayat hai ke: Allah ta’ala ne  aadam ki qayamat tak paida hone wali awlaad se jo “Ahad e Alast”(me tamam insaan ka rab-khuda hun) liya tha, wo bhi Dahnaa maqaam par liya tha.  

 

6.Hazrat Muhammad sallallahju alayhi wasallam ka paak noor hz. Aadam [علیہ السلام ] ke saath Hindustaan me roshan huwa.  

 

7. Tabrani,abu naeem aur ibne asaakir ne hz. Abu huraira [رضی اللہ تعالٰی عنہ ] se riwayat hai ke hz. Aadam [علیہ السلام ] duniya me aa kar AkelePan ki wajah se bahot dukhi aur gamgeen the, Allah ke hukm se hz. Jibraeel [علیہ السلام ] aap ko himmat dene aaye aur azaan padhani shurooa ki, us waqt “Muhammad” ka tazkirah sun kar ghbrahat door ho gai aur sukoon hasil huwa hz. Aadam [علیہ السلام ] ne puchha ke “Muhammad” kon hai..?
Hz. Jibraeel [علیہ السلام] ne kaha ke aap ki aulaad me se aakhri tamam insanon ke nabi hai,
(GULDASTAH E TAFAASIR HISSA 1 SAFA 175)
Is riwayat par se ye saabit huwa ke, duniya me sab se pehle Allah aur rasul صل اللہ علیہ وسلم ka naam Hindustan me buland kiya gaya, is zameen par hz. Aadam [علیہ السلام ] ko “Khatimul anbiya” sallallahu alahi wasallam ki nubuwwat ki khabar di gayi.yani islaam ki dawat aur us ki shurooaat isee sarzameen par hui

 

8. Tabrani aur dalaaile nubuwwah ki  kitaabon se ye baat pataa chalti hai ke, Hindustan ki zameen ne taamam duniya se pehle jannat ki ne’amaton se faaidah haasil kiya hai, yahin ‘’hazre aswad” utra, yahin jannat ke darakhton ke patte utre aur yahin jannat ke fal naazil huwe.ibne haatim ne riwayat ki hai ke tarah tarah beej bhi jannat se laaye

 

9. allama bayhaqee aur ibne asaakar ki riwayat me aaya hai ke, Allah ta’ala ne hz. Aadam [علیہ السلام ] ko har cheez ke kaam karne ka tariqah sikhaya tha, ye ta’alim qudrati ilhaam (allah ki taraf se dil me dalkar) di gayi thi, shaikh al roomi rh. Likhte hai ke aisee kaarigari (hunar) ki ta’adaad ek hazaar thi, isi liye hindustaan ki kalaa-hunar ke kaarigiro ko duniya me ‘’Ustaad” (hunar ke maahir) ke naam se pehchana jaata hai.

 

10. ibne asaakir aur ibne abid dunya ne ali رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat se likha hai ke, hz. Aadam [علیہ السلام] duniya me utre usse pehle duniya me sone-chaandi ka naamo nishaan bhi nahi tha, Haq Ta’ala ne apni Qudrat se sonaa chaandi ko paida kiya aur Allah ke karam se Hindustan sone chaandi aur qeemtee jawahiraat ka khazana hai,ye tamaam barkaten hz. Aadam [علیہ السلام ] ki duaao ki barkat se hai.

 

11. jis waqt hz. Aadam [علیہ السلام] jannat me se Hindustan ki zameeen par utaare gaye us waqt aap jannat ke darkhton ke patto se apne badan ko dhaankte the, kuchh dinon ke baad wo patte sukh kar bagair kaam ke aur khatm ho jate the, Allah ta’ala ne hz. Aadam [al.] ko ilhaam-dil me dalne ke zariye kapdaa bunne ka hunar sikhaaya,aur aap ne kapdaa bun kar pehna, is tarah kapdaa bannane ke hunar ki kalaa kaarigari ka sab se pehla markaz Hindustan bana.  

 

12. hz. Ibne abbas رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke, hz. Nooh [علیہ السلام ] Hindustan me rahe the, yahin pat “Tannur” tha, jahaan se toofan shuru huwa, is “Tannur” ko hz. Aadam [علیہ السلام ] ne ta’amir kiya tha, yahin par ek pahaad ke upar hz. Nooh [علیہ السلام ] ne apni kashti ta’amir ki thi.  

 

13. Hindustan me hz. Aadam [علیہ السلام] ki vafaat hui thi. aur hz.Aadam [علیہ السلام ] ke janaaza  ki namaz hz. Shish [علیہ السلام ] ne padhayi thi.  

 

14 Dakhsin Hindustan ke purw ke kinare rameshwar drip aur uttar shirilanka ke pashimi kinare mannardrip ko jodnewala pul ko adam علیہ السلام ne banaya aaj bhi ye pul adam pul-ramsetu ke naam se mavjood hai.
GULDASTAH E TAFASIR 1/ 175 176

 

IS TARAH HINDUSTAN MUSLAMANO KE LIYE KOI PARAYA MULK NAHI HAI, KE PARAAYI ZAMEEN NAHI HAI, YAHIN PAR UNKE PAYGAMBARON SE LEKAR UNKE BAAP DAADA DAFN HUWE HAI.       

 

و اللہ اعلم


HAZRAT AISHA RADEEYALLAHU ANHALT SE CHHOTI UMAR ME NIKAH KARNE KE AETRAZ KA JAWAB

Hazrat aisha r.a ka jab nikha huwa to uss waqat unn ke umar mubarik 6 sall thi.

Aur rukhsati 9 saal ki umr me huwi.

Iss kam sani ki shadi ki asal wajha nabuwat aur khilafat ke darmiyan taluk ki mazbuti the , kyun k nabi karim ke baad khilafat ka silsila allah ne hazat abu baker se chalana tha aur iss kam umari ke wajha se allah(swt) ne app sunnat bi sakhni thi aur khilafat ko nabi ke ghar se bi jorna maqsood tha.

Arab ki garam (hot) abo hawa insani badan ke development mein important role adda karti hai aur doosri baat yeh keh jis tarah allah (swt) kuch loogon ko kado kamat (height) umar aur brain power ability dosray logon se badh kar data hai 

Allah to buhat bara hai agar woh kisi baat ka hikum de to woh ho jati hai.

Lakin woh log nahi mante jin ke dillon pe muhar laga di giye hai.allah(swt)quran main irshad karta hai k~

Allah ne in k diloon aur un k kanoo per mohar laga de hai aur un ki ankhoon pe parda par gayia hai woh sakht azab k mustahiq hain

 

Baharhal iss kam sani mein hi hazrat aysha ko apni zojiat mein kabool kerna ke bachpan se hi allah ne hazarat aisha main nashu namah (growth) ki ability rakhi thi.

 

SAWAL

HUZOOR NE 11 NIKAH KIYUN KIYE IS KI KIYA WUJOOHAT HAIN

Jawab

Huzur ne 11 aurton se nikaah kiyaa iski bahot si maslehaten aur hikmaten hai,

Un me se chand ye hai,

1. Apni andurooni zindagi ke haalat,

Jese tanhai ki ibaadat ki mashqqat aur shauq, mukhtalif umr aur mukhtalif khandan aur mukhtalif mijaz ki aurton ke sath rehne ka tateeqah ummat ko maloom ho,

2. Ghar ki chaar deewari jahan koi dekhne wala nahi hota aur insan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai fir bhi un ke sath husne akhlaq aur un ke huqooq ki adaygi ka tareeqah ummat ke samne aaye.

3. Bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat se ho

Aurton ki paki napaki ke masail jis gair mahram puchhne me sharm karti hai biviyan ke zariy ummat tak pahonchegi

4. Kai nikaah aisi aurton ko madad karne ke liye aur un ke gam ko door karne  ke liye jin ke shauhar-husband imaan ko bachane ke liye shahid kar diye gaye.

5. Mukhtalif qaumo ke logon ki musalmano ke sath ladai thi aur unse dushmani rakhte the, unke saath achhe talluqaat aur rishtedari qaim ho jaye.

Kyuki nikaah ki wajah se allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jaye aur unke dushman shaant ho jaye aur khun kharaabe ko roka jaaye.

Aur bhi bahot si wujoohaat hai, inshaAllah yahan par likhi jayegi.


 

SAWAL

Kya mobile me quraan padh sakte hai?

Hamne suna hai ke ye [mobile] to baatil ke liye hee bana hai lihaza haq ke kaamo me istiamal nahi karna chahiye.

Jis screen par film dekhi usee screen par quraan padhna be-adabi kehlayega?

Baaz log masjid me quraan hone ke bawajood mobile me padhte hai, kya un ko asli quraan me parhne ka aur quraan ko dekhne ka sawab milega?

 

JAWAB

 

Mobile asal batil hee ke liye bana hai is liye haq ke kaamo me istiamal  nahi ho sakta aisa koi fiqah ka qaidah nahi hai.

Agar aesa maan liya jaye ke baatil ke liye bana hai to bhi us ke istiamal ke aetibaar se us ka hukm hoga, yani  jaiz kaamo me uska istiamal jaiz hoga aur na jaiz kaamo me istiamal na jaiz hoga.

Jese mic, speakers is kee asal eejad-banawat gaana aur music sunane ke liye hui hai is ka istiamal quran parhne aur deen kee baat kehne ke kiye ho raha hai, agar aesa hee qaidah ho to mic aur speakers ka istiamal bhi na jaiz hoga. Lekeen aesa nahi hai. Tv ka khareedna aur dekhna  haraam hai lekeen koi security aur cemera ke zariye dukan wagairah ki nigrani ke kiye khareede to jaiz hai.

Yahee haal mobile ka hai ke is ka aksar istiamal na haiz ho raha hai lekeen koi quraan aur kitaben download karne aur parhne khareede to jaiz hai.

Rahi baat screen par na jaiz cheez dekhne ki aur us par quraan parhne kee to aankhon se bhi bahot see na jaiz cheez dekhte hai aur usee aankh se quraan parhte hai.

Rahee baat masjid me quraan hone ke bawajood mobile par parhne kee to ye baat yad rahe ke aajkal jo quraan parhte hai woh huzoor salallahu alaihi wasallam aur sahaba radeeyallahu anhum ke zamane quraan nahi quraan to us zamane me darkht ke patton par, darkhton ki chhalon par, paththar,  kapdon, aur haddi wagairah par ikha jata tha, us zamane me kagaz ki ijad-khoj nahi hui thi. Aajkal ke quraan bhi purani technology ke quraan hai aur mobile ka quraan nayi technology kee quraan hai. Masnoon quraan na woh hai na yeh.

Jis tarah niyyat ke saheeh hone se us parhne ka sawab milega isee tarah niyyat ke saheeh hone se is me bhi sawab milega. Ye shubah na ho ke hazrat usman radeeyallahu anhu  ke zamane me quraan kagaz par likha gaya tha us ka jawab ye hai ke woh qalami nuskha tha yani hath se likha huwa tha. Agar koi masjid me aese nuskhe rakhe to us me parhna behtar hoga.

Mobile ko haqeeqat me bananewala allah taala hai. Insan nahi. Kiyun insaan ko dimag aur salahiyat allah hee ne dee hai mobile ka kachcha matirial allah ne  hee paida kiya tha usee ko istiamal kar ke insan ne mobile banaya hai. Asal tamam cheezon me ibahat yani jaiz hona hai. Na jaiz hone ke liye us cheez kee zaat me kharabee chahiye. Mobile kee zaat me koi kharabi nahi.

Mobile par quraan parha jaye to wuzu hona zarooree hai ya nahi wagairah masle par guzishtah saal islamic fiqhe academy ka seminar huwa tha. Jis me pure hindustan ke muftiyane kiram jama huwe the us me se kisi ne bhi mobile par quraan parhna najaiz hona nahi bataya. Mobile ke masail par dasyon kitab aa chuki hai kisi me bhi mobile par quraan parhne ki mumaniat nahi.

(mobile ke masail, jadeed muaasharat ke sharee ahkam,qawaidul fiqah se mustafad)


SAWAL

 

Islam me jis tarah mari huwi machhli khane ki ijazat hai us tarah mara huwa janwar khane ki ijazat kyun nahi ?

Ya

Jis tarah mara huwa jaanwar khane ki islam me ijazat Nahi hai us tafah mari huwi machhli khane ki ijazat kyun hai ?

 

AL JAWAB

Sabse pehle,ye samjh lo ke ye allah ka hukm hai

Allah jo karta hai us par sawal nahi kiya jaata,Allah haqeeqee malik hai malik apni mamlook-makhlooq  ke bare har qism ka tasarruf karne aur karwane ka ikhtyar hai

Allah farmate hai jiska matlab hai 

"Allah ke baare me koi puchhtaachh mat karo jo wo karta hai. Lekin unke baare (logon ke bare) me puchha jayega.

(quran 21:23 )

To Allah ne jo qanoon banaya hai insaan ko use maanna padega.

Aur Allah wajha janne ko laazmi nahi banata jo hum jaante ho ya na jaante ho.amal karo

Waaqai ye saheeh hadis me hai ke machhli khane ke liye halaal hai.

 

Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya-

do mare huwe jaanwar khane ke liye halaal hai-

wo machhli aur teeddi hai.

musnade, Ahmed, Ibne Majah

Haalanke iski halaal hone ki vajah jaanne ki ijazat hai,

aur isko zabah na karne ki ye wajah hai ke mari hui machhli pure (shudhh-paak) hoti hai

kyuki usme behta khoon nahi hai.

Ghar me paale jaane wale jaanwar ya dusre jaanwar ko zabah karna padta hai, islamic shariyat ke mutaabiq, taaki wo halaal ho khane ke liye, isliye ke un me bahnewala khoon hai.jo napaak hai

Jaanwar impure (ashudhh) hote hai kyu ki unme mar jaane ke baad bhi khoon rehta hai.balke khoon aur us ke becteriya pure gosht me fel jate hai Isliye islamic shariyat ke mutabiq wo (jab wo zinda hote hai ) zabah kare bagair pure (shudhh-paak) nahi hote.

Ibnul qayyim ne farmaya-

mare huwe jaanwar ko khana manaa farmaya kyuki usme behta paani, paakhana aur nuksandeh khoon hota hai.

Is tarah se zabah karne ki ye wajah hai ki use khane ke liye halaal kiya jaay kyuki isse khoon door ho jaata hai.

Is maut (halal kiya hua) manaa nahi hai kyuki ye maut halal karne (katne, zabah karne) se hoti hai.

Jabki use usi tarah se zabah kiya jaata hai, islamic shariyat ke muttbiq zabah karne se usme se khoon door kiya jaata hai, to Is tarah se aisi maut se khana  manaa nahi hai.

aur (machhli me) ye shart bhi nahi ke is tarah khane ke liye halaal banane ke liye use zabah kiya jaaye aur aisa hi teeddee  ka muamlaa bhi hai. Is liye jis me behta khoon nahi hai wo mar jane ke baad haraam nahi hai.

bumle, newte  aur machhli bhi usi tarah hi hai.asli khoon ki nishani ye hai ke woh nikakne ke baad behta hai aur fir jam jata hai aur kaala ho jata hai.machhli wagairah ka khoon na behta hai na jamta hai na kala hota hai.

 

IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

 

QURAN KI TILAWAT MOBILE AUR COMPUTER PAR

SAWAL

kya Qur'an e karim ki tilawat mobile, tablet ya computer ki screen par karna jaiz he ? is surat me bhi wohi aadab e tilawat honge jo mushaf-Qur'an me dekh kar padhne ke waqt hote hai.?

JAWAB

Mobile wagairah ki screen par agar Qur'an e karim zaahir na ho (open na ho) to usko (Mobile wagairah ki screen ko) bil-ittifaq Ger mutawazzi (bagair wuzu ke) ya junubi (napak) haath lagaa sakta he.

Lekin agar Qur'an e karim ka software open ho or uske nuqush-alfaaz screen par moujud ho to junubi ya gair mutawazzi us mobile ya screen ko chhu sakta he ya nahi
usme 2 aqwal he:

(1) Mobile, computer tablet ki screen ko us waqt chhuna jaiz nahin.
unki dalil yeh hai ke  yeh us haalat me mushaf (Qur'an) ke maanind hai, aur irshaade rabbani he.

لا يمسه الا المطهرون۔"

"usko nihayat paakizah log (gusal or wuzu dono ho to) hi chhu sakte he"

uske qaayil Hazrat Aqdas shaikh Mufti Ahmad khanpuri db. hai, aur Darul uloom ka bhi yahi fatwa hai,
neez "Al masailul muhimmah fima-batalat bihil aammah" naami kitaab me bhi yahi mazkur he.
(is qaul me ehtiyat he)

(2) sirf jis screen par Qur'an e karim ke alfaz o nuqush zaahir ho rahe ho uska chhuna jaiz nahin, mobile aur computer ke dusre parts ko bila wuzu bhi chhu sakte he. 
un hazraat ka kehna he ke yeh Qur'an e karim ke hukm me nahin hai, aur agar hai bhi to mobile ke dusre parts Gilafe munfasil (alag juzdan) ke hukm me hoge.

Mulaahazaa farmaiye

Jawab: ...waazeh rahe ke jab Qur'an e karim mobile ya memory card ke ander ho yani usko screen par khola na gaya ho to us waqt chunke Qur'an e karim huruf o nuqush ki surat me mojud nahin,
isliye usko haath lagaane ke liye bawuzu hona zaruri nahin.
 
aur jab mobile ya memory card ke hafze me mojud Qur'an e karim ko screen par khol liya jaye to us waqt chunke screen par mojud nuqush Qur'an e karim ke alfaaz par dalaalat karte he,
us waqt screen par haath lagaane ke liye wuzu zaruri hai aur is surat me chunke Qur'an e karim ka wohi hissa huruf ki shakal me hai jo screen par nazar aa rahaa hai,

Lihaza screen ko haath  lagaana tahaarat ke bagair  jaiz na hoga,
aur screen ke alaawah mobile ke baqiya hisso ko haath lagaana jaiz hoga. aur chappal jute pahankar bhi tilawat kar sakte hai.

Albatta azmat ka taqaaza or munasib o ahwat ye he ke baqiyyah hisso ko wuzu ke sath chhuaa jaye. chappal, jute utaar diye jaye.

FIQAH ACEDMI KA 23 WAN SEMINAR KA FESLA.

DARUL IFTA JAMIA BINORIA ALSMIYA KARANCHI
SERIAL NO.10839

SAWAL

QURAN E KAREEM KI AAYAT KO MOBILE AUR COMPUTER SE DELETE KARNE KA KIYA HUKM HAI?
DELETE KARNE SE GUNEHGAR YA KAFIR HOGA?
YA US KI BE-ADABI HOGI?

JAWAB
حامدا و مصليا و مسلما
Sab se pehle to mobile aur computer par likhe sms ko kagaz diwar aur kapde par likhe huwe sms ki tarah samjhna durust nahi.
Dusri baat darwaze aur diwar par likhe huwe Allah taala ke naam ko mitane ki ijazat hai jis me be adabi ka shubah bhi hai, kiyun ki quran likha huwe chok-pen ka burada - powder zameen par girta hai us ke bavajood mitane ki ijazat hai aur log mitate hai,
To mobile par aayat mitane me jis me is beadabi ka bhi aehtimal nahi.
kiya haraj hai!
Lihaza in sms ko mitane me kisi qism ki koi qabahat aur kharabi nahi. Lihaza quran ke sms mitane me kisi qism ke shukook Shubhat me padne se bache.
(Durre mukhtar 6/422 se makhooz)
[Mufti Muhammad Rashid, Jamiaa binnoriya aalmiya karanchi, 21 muharram, 1432]
[Urdu fatwa english harfon me tasheel ke sath]

Note: is fatwe ki urdu image durre mukhrar ke hawale ki arabi image muhar ke sath mavjood hai jise woh chahiye
jamiabinnoria.com
darulifta@gmail.net
ki site par dekh le
Dushmano ki sazish hai ke quraan ki ishaat aur felaw na ho, kyu ke quran logon ke liye hidayat hai.
isliye aese sms jari karte hai.
Shaikh abdur rahman sudais d. B. ne ye baat khutbe me nahi kahi, is ki tahqeeq bhi wahan ke logon ne bataee, lihaza jab tak sharee fatwa kisi darul ifta se shayea na ho sirf akhbar me padhkar maanna nahi chahiye.

   
   

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free