AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

SOHBAT KE MASAIL

INSHA ALLAH JALD HI UPDATE KIYA JAYEGA

SAWAL

MARD AUR AURAT JAB PAAK HAI TO UN KI SHARMGAH KA ZAHIREE HISSA PAAK HAI YA NAPAK..?

AGAR HAMBISATAREE KE WAQT MARD AURAT KO APNI SHARM GAH MUNH ME DEWE YA CHATAYE YA US KI SHARMGAH CHUME TO JAIZ HAI YA NAHI?

AESA MASAIL PUCHHNE SE SHARM MAHSOOS HOTI HAI LEKEEN ZAROORATAN DARYAFT KIYA JATA HAI.

 

JAWAB

 

Hazrat saiyyad mufti abdur raheem lajpooree rahmatullahi alayhi tahreer fatmate hai ke

deen ke masail aur ahkaam daryaft karne me sharmo haya ko aad nahee banana chahiye. Agar sharmo haya ka lihaz kar ke deenee ahkam maloom na kiye jayen to sharee ahkam ka ilm kaise hoga?

Quraan me hai, Allah taala haq baat kehne me kisi ka lihaz nahi karta.

Be shak sharm gah ka zahiree hissa paak hai lekeen ye zarooree nahi ke har paak cheez ko munh lagaya jaye aur munh me liya jaye us ko chuma jaye aur chata jaye.

naak ki rutoobat -nik sende-paak hai to kiya naak ke andar ke hisse ko zuban lagana aur us kee rutoobat ko munh me lena pasandeedah aadat ho sakti hai? Aur us ki ijazat ho sakti hai..!?

Pakhane ki jaga ka zahiree hissa bhi naapak nahi. paak hai to kiya us ko bhi chumne chatne ki ijazat hogi..?

Nahi, hargiz nahi. isee tarah mard kee apnee sharmgah aurat me munh me dena jaiz nahi. sakht makrooh aur gunah hai.

Jis munh se woh Allah ka naam letee hai. huzoor sallahu alyhe wasallam par durood shareef padhtee hai. quran shareef padhtee hai us munh me napakee dalne ko kaise gawara kiya ja sakta hai! astagfirulah!

 

Ek Shayar kehta hai,(farsi shear ka tarjamaa)

‘hazaar bar dhowun apne munh ko mushko gulab se

Fir bhi tera naam lena kamale be adabee hai.’

Ye gair qaumon ka culture hai aur print aur electronic midea ke galat istiamal ki nahoosat hai jo islamee mijaz ke bilkul khilaf hai. sharn gah chumna kutton, bakron wagaieah haywanat ki khaslat ke mushabah hai. aur munh me dena to aesi buree cheez hai ke nar janwar bhi apnee maadaon ke sath aesa nahi karte.

 

Ye to us surat me jab mard ki sharmgah ke sakhti paida na hui ho aur sakhti paida ho gai ho fir bivi ke munh me sharmgah me dee jaye to mazee (mani se pehle nikalnewala pani) ka nikalna yaqeenee hai aur mazee galeez najasat aur sakht napaa hai. napaki ko munh me dena aur lena haraam hai. aur aaj kal ki gairon ki tahzeeb me mukh methun karna yani munh me mani kharij karne sakht haraam aur intihaee gheenawani harkat hai.

 

(fatawa raheemiyah jadeed 10/178 ba hawala aalamgiree hazfo izafe ke sath)

Allah taala puree ummat ki gairon kibtahzeeb aur midea ke galat istiamal se pooree hufazat farmayen. Aameen.


SAWAL NO.298

 

APNI  BIWI

                  SE

                  EK  MARTABAH  SOHBAT

                  KARNE  KE  BA'AD

                  AGAR

                  DO BAARA  SOHBAT

                  KI

                  KHWAAHISH  HO

                  TO.....KYA

                  DO BARAA  SOHBAT

                  KARNE  SE  PEHLE

                  GUSL-E-JANAABAT  KARNA

                  ZARURI............HAI...?

 

JAWAB

 

                  DO BAARA  SOHBAT

                  KARNE  KE  LIYE

                  GUSAL  KARNA  ZARURI

                  NAHI  HAI,

                  AL-BATTAH

                  GUSAL  KARLENA

                  BEHTAR  HAI,

                  AUR........AGAR

                  GUSAL  NA  KARE

                  TO.....KAM  AZ

 

 

                  WUZU  BANA

 

                  FIR

                  DO BAARA  SOHBAT

                  KARE.

                  WALLAHU  AALAM.

 

               FATAWA  USMANI-1/332

SHARMGAH BHI DHO LEWE TO ZAYADAH BEHTAR HAI

 

(AADABUL  MUBASHARAT)

 

JAWAB FROM

MUFTI IBRAHIM PALANPURI SAHAB D.B.


SAWAL

SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?

Jawab

Sote me sohbat karne ka khwab dekha aur maza bhi aaya, lekin aankh khuli to dekha ke mani nahi nikli he to us per gusal wajib nahi he, han agar mani nikal aai ho to gusal wajib he.
Aur agar kapde ya badan per kuch bhiga maalum ho, lekin ye khyal ho ke ye mazi he mani nahi he, tab bhi gusal karna wajib he

 

SAWAL

CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?

Jawab

Miya-biwi ek palang per so rahe the, jab uthe to chadar per mani ka dhabba dekha, aur sote me khwab ka dekhna na mard ko yaad he na aurat ko to dono naha le, ahtiyat isi me he, kyu ke maloom nahi ke kis ki mani hai

SAWAL

BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?

Jawab

Mani agar apni jagah (peeth) se josh ke saath juda na ho, to agarche khas hisse se bahar nikal aae gusal farz na hoga, jaise kisi aadmi ne koi bojh uthaya ya unche se gir para ya kisi ne usko maara aur sadme ya kisi bimari se uski mani bagair josh ke nikal aai, to gusal farz na hoga.

SAWAL

SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?

Jawab

Agar koi mard apne khas hisse ka uzw hashfe ke sar (sopari, gol hissa) ke miqdar se kam dakhil kare, tab bhi gusal farz na hoga.

Bahishti zewar aur umdatul fiqah se makhooz

 


JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ?

NAPAKI ME KHANA PINA

Jis Per Nahana Wajib Ho Wo Agar Nahane Ke Pehle Kuch Khana-Pina Chahe To Pehle Haath Aur Munh Bhi Dho Le Aur Kulli Kar Le, Tab Khae-Pie. Aur Agar Bagair Hath-Munh Dhoe Kha Pi Le Tab Bhi Koi Gunah Nahi He.

NAPAKI ME ZIKR O TILAWAT

Jinko Nahane Zarurat He Unko Quran Ka Chhuna Aur Uska Parhna Aur Masjid Me Jana Jaaiz Nahi He, Aur Allah Taala Ka Naam Lena aur Kalima Parhna Aur Durud Sharif Parhna Jaaiz He.

NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANA

Is Haalat Me Masjid Me Dakhil Hona Haraam He. Eidgah Me Aur Madrasa Aur Khanqah Me Jaana Jaaiz He.

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free