AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

RAJAB

SAWAL

MAAHE RAJABUL MURAJJAB KE NAAM KI WAJAH KYA HAI..?

Jawab                                           

“rajab” liya gaya hai “tarteeb” se jiske ma’ana hai “taazim karna”

Chu ke is mahine ko arab ke log sharullah [allah ka mahina] kehte the, aur iski taazim karte the is wajah se iska naam rajab rakh diya gaya.

 

****************************************************

 

SAWAL

RAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..?

Jawab

 

Agar rajab ke kundo ki koi haqeeqat maan bhi lee jaye to bhi is me hasabe zail kharabiyan hai.

 

1. Din ki tayeen

Sawab kabhi bhi pohnchaya jaye pahoch jataa hai. Shareeat ne uske liye koi din aur waqt muqarrar nahin farmaya, magar ye hazrat 21 vi raat me pabandi aisa zaroori samajte hai ke goya yahi khudaai shareeat hai.

Aur agar uske bajaye kisi aur din isaale sawab karne ko kaha jaye to ye hazrat us par kisi tarah raazi nahi honge, unke is tarze amal se maaloom hota hai ke sirf isaale sawab maqsood nahin, balke inke nazdeek ek aisi ibaadat jo sirf isi taarikh aur isee maheene me  adaa ki ja sakti hai,

Algarz isale sawab ke liye kisi taarikh ko zaroori samajna ek fujul harkat hai. Jiski shareeat me koi asal nahin aur isko zarooree samaj lena khuda wa rasool salallahu alaihi wasallam ke muqable me apni shareeat banana hai.

 

2 .khana hi pakana

Khana karne me is baat ka khusoosiyyat se ehtimaam kiya jata hai ke kheer hee pakayi jaye, agar isaale sawab maqsood hota to itni raqam bhi sadqah ki ja sakti thi. Aur itne pesa ka galla [anaaj] ya kapda kisi miskeen ko chupke se is tarah diya ja sakta tha ke baayen haath ko khabar na hoti, aur ye amal khud dikhlave aur riya se paak hone ki vajah se maqbule baargahe khuda vandi bhi hota.

Khir pakane ka ya khane pakane hee ko isaale sawab ke liye zaroori samajna aur ye khayal karna ke iske bagair isaale sawab hi nahin hoga ye bhi ek alag shareeyat banana hai.

 

3. Maaldaron ka khud kha jana

Sawab to sirf utne khane ko milega jo faqeeron aur miskeeno ko khila diya jaye. Magar rajjab ke kunde, gyaarvin shareef vagairah isaale sawab ke khaane pakakar log zyadatar khud hi kha pi lete hai, ya dost ya rishtehdaaron ko khila dete hai. Faqiron aur miskinon ka hissa usme bahot hi kam hota hai. Uske baavajood log samajte hai ke itna khana pakaya gaya pure ka sawab hazrat jafar sadiq ya hazrat pirane pir rh.ya fulah buzurg ko pahoch jata hai. Ye bhi shariyat ke kayde ke khilaf hai, kiyun ke shareeyat me sawab to is chiz ka milta hai jo batore sadqah kisi ko maalik banakar de di jaaye. Sirf khana pakana koi sawab nahin.

 

4. Tabarruk samaj na

Bahot se log rajab ke kunde ya 11 gyarvin ke khane ko tabarruk samjte hai, halaan ke abhi maalum ho chukka ke jo khana khud kha liya jaaye wo sadqa hi nahin. Aur na hazrat jafare sadiq ya peerane peer vagairah ke isaale sawab se uska kuch talluq hai, aur khane ka jo hissa sadqah kar diya gaya uska sawab beshak pohchega, lekin sadqe ko hadish me “avsakhun naas” [logo ka mel kuchel] farmaya gaya, isi bina par huzoor sallallahu alayhi wasallam aur unke aal ke liye sadqah jaiz nahin. Aur jis chiz ko huzoor sallallahu alayhi wasallam mel kuchel farmaa rahe ho usko tabarruk samajhna aur bade bade maaldaron ka usko shoq se khana aur khilana kya  huzur sallallahu alyhi wasallam kitaalim ke khilaf nahin?

 

[ ikhtilaafe ummat aur siraate mustaqeem,

Hazrat mavlana yusuf ludhyanvi  r.h.

Safa-200 se 202]

 

****************************************************

KHIR PURI KI HAQEEQAT AUR BARELVIYON KE DALAIL KE JAWABAT

SAWAL

KHEER PURI KI SHUROOAT KIS NE KI AUR KAB HUI.

BARELVI KEHTE HAI KE IS ME SHIYON SE MUSHABAHAT NAHI KOI KARE KHAIR HAM SHUROOA KARE AUR USE DUSRAA KOI FIRQA APNA LE TO US KARE KHAIR KO NAHI CHHODA JAYEGA SHIYON KE KHIR PURI KARNE ME AUR SUNNIYON KE KARNE ME KAI TAREEQE SE FARQ HAI.

HAZRAT JAFAR SADIQ KI WAFAT KIYA RAJAB ME HUI HAI?

 

JAWAB

22 RAJAB YA 15 RAJAB KO NA HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI KI WAFAT HUI HAI NA WILADAT.IS DIN SHIYON KE SAB SE BADE DUSHMAN HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU KI WAFAT HUI HAI.

AUR HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI WILADAT-PEDAISH 8 RAMZAN 80 YA 83 HIJRI ME HUI

(AGAR RAJAB KA MAHEENA HO TO AHLE BARELVI TAREEKH KI KITAB KA HAWALA PESH KARE.)

<TAREEKHE TABREE SAFHA 239 MILD 4 BEROOT KI CHHAPAI>

KHEER KUNDE KI SHUROOAT HEE SHIYON NE KI HAI NA KE SUNNIYON NE .

MUSHABAT US WAQT NA HOTI JAB IS KI SHUROOAT SUNNI KARTE AUR FIR ISKO SHIYAA SHUROOA KARTE LEKEEN MUAAMALA ULTA HAI KE HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLSHU ANHU JO SHIYAA KE SAKHT MUKHALIF THE AUR SHIYON KO QARAL KARTE THE AUR SAZA DETE THE UN KI WAFAT PAR KHUSHIYAA MANAI AUR CHHUP KAR KHIR PURI BANAI AUR CHHUP KAR KHAI AUR SUNNIYON KO PATA CHALA TO IS KO HAZRAT JAFARE SADIQ KI TARAF CHALAKI SE MANSOOB KAR DIYA.

 

MAZEED DALEELEN

1.IS RASM ME AAJTAK IS KI PABANDI HAI KE KUNDON KI PURIYAN KISEE BANDH-AASMAN NAZAR NA AAYE AESEE JAGA BANAI JATI HAI.

2.BANNE KE BAAD BADE AEHTAMAM SE DHANK KAR RAKHA JATA HAI.

3.FATIHA ANDHEREE JAGA ME DIAYA JATA HAI.

4.PARDE KE SATH USE KHILAYA JATA HAI

5.HAZRAT JAFAR SADIQ KE SATH SHIYA HAZRAT KI JAGA IMAM KA LAFZ ISTIAMAL KARTE HAI UN KI MUSHABAHAT ME BARELVI BHI IMAM KEHTE HAI JIS TARAH KAHNE ME ITTIBAA KARTE HAI BOLNE ME BHI SHIYON KI MUSHABAHAT AUR ITTIBAA KARTE HAI

6.HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI SAHABI NAHI HAI BALKE WALI HAI AWLIYAA E KIRAM KARADON HAI US ME HAZRAT HAZRAT HAFAR SADIQ KI HEE KIYA KHUSISIYAT KE UN KE HEE NAAM PAR SHUROOAT KI JATI HAI SAHABA RADEEYALLAHU ANHUM KI KIYUN NAHI KARTE HAI!

7.FATIHAA KE BAAD

YA ALI RADEEYALLAHU ANHU KA NAARA LAGAYA JATA HAI YA ABU BAKR

YA UMAR

YA USMAN

KA NARA NAHI LAGAYA JATA HAI KIYUN KE SIRF ALI RADEEYALLAHU ANHU KO HEE MANNA AUR DUSRE 3 KHULAFAA KO NA MANNA SHIYON KA TAREEQAH HAI.

 

 ****************************************************

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free