AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

SOOD

SAWAL

“Maalabudda minhu’’ kits me hai ke
huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM jab kisi se qarz lete the to ada karte waqt kuchh zayada dete the.
To Ye khushi se zayada dena kesa hai ?
Lenewale ke liye sood to nahi hoga ?


JAWAB

jis se qarz liya jawe wapas karte waqt kuchh zayada dena ye kehkar ke itna aap ka asal mutalabah-qarz hai aur itna meri taraf se zaid hai.
to ye hadees paak se sabit hai (lihaza sood nahi)
lekeen qarz dene wale ko pehle Se Us ka lalach aur khayal na hona chahiye ke ziyadah milega.

fatawa mahmoodiyah dabhel jild 16 safa 416

✏ [muft] IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA




Sawal

Kon see majbooree me sood lena jaiz hai?

 

Jawab

Agar haram cheez ko istiamal na kare to to woh shakhs halaak ya maut ke qareeb ho jaye.

Aesee halat me haraam cheez masalan sood zaroorat ki itni miqdar me jis se jaan bach jaye utna hee istiamal jaiz hoga.

Is ke alawah kisee majbooree me sood lena jaiz nahi.

Fatawa raheemiyah 9/230

* allah taala ummat ki majbooreeyon se hifazat farmaye ameen

 

Sawal

Jo soodee qarz leta ho us ki amdani ka hukm

Kisi shakhs ne soodee qarz lekar tijarat ki, fir us tijarat se amdani hui to amdani halal hai ya haraam?

 

Jawab

Woh amdani halaal hai us ko apni zarooriyat me bila kisee haraj ke istiamal kar sakta hai.

Kiyun ke qarz lene me sharte fasid pai ja rahi hai.us sood dene ki fasid shart se  qarz ki raqam me koi kharabi paida nahi hoti.woh us qarz ki raqam ka malik ho jata hai aur apni milkiyat ke mal se tijarat jaiz hai lihaza nafe ka bhi malik ho jata hai albattah sood par qarz lene ka sakht gunah hoga.

Aelaus sunan 14/548

Fatawa mahmoodiya 16/304)

Allah taala hame har gunah se nafrat ata farmaye ameen

SAWAL

BANK ME SAVING ACCOUNT ME HIFAZAT KI GARZ SE PAISA RAKHNA KAISA HAI?

 

Jawab

Bank me hifazat ki garz se raqam rakhwane ki sab se behtar aur aehtiyat wali surat ye hai ke paise locker me rakhwaye.

Albattah current account me rakhwane ki bhi gunjaish hai jis par sood (interest) na lagaya jata ho.

Jin account me sood lagaya jata hai masalan saving account, fix diposit wagera in me rakhwana durust nahi.

Fatawa usmani 3/267

 

Qanooni majbooree ho to saving account me raqam rakhna jaiz hai. Lekeen income ki niyyat se (yani sood kamane ki niyyat se) rakhna bilkul jaiz nahi.

Gunah ka kaam hai.

 

Fatawa raheemiya karanchi 9/238

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free