AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

EID E MILAD

EID-E-MILAD KI BIDDAT’
KI TAARIKH

iraq ke shahar mosul ka ilaaqa irbil ka badshah,
“malik muzaffar abu sayeed” ne sabse pehle,

“nabi ki wafaat ke “614 saal baad”,
mutabik 625 hijri me],
‘eid milad ki biddat’ ko aijaad diya.

Is se pehle, zamana is biddat se paak tha.
Malik muzaffar, milad ki mehfil me, jis par

– 100 ghode,
– 5,000 bakriyon ka gosht,
– 10,000 murgiyan,
– 30,000 halwe ke pede
– 1,00,000 pyaaliyan,
ka dastar-khwaan sajaaya aur naachne gaane walon ko bulaya aur
unki ‘mehfil-e-samaa’ munaqid ki gayi,
jisme nachne gane walon ne zohar se le kar agle din fajr tak,
raat bhar naacha, kooda, jhooma aur dhol peeta.
(jiske liye wo mashhoor hain)”

(al-bidaayah wa’l-nihaayah;
vol 13, pg 160.
(ibn katheer)

“ahle-biddat” ne
apni biddat ko ‘zinda rakhnekeliye’
quran ko tak nahi bakhsha.

Jashne eid-milad-un-nabi ki biddat ko zinda rakhne ki naakam koshish karte hue,

“surah yunus(10):58”

Ke alawa kai aur qurani aayaton ko bhi ba-taur saboot pesh kar, awaam ko gumrah karte hain.

Chand aayatein pesh hain:

# surah al-fath(48):28.

“wohi hai, jisne apne rasool ko hidayat aur deen-e-haqq ataa farma kar bheja
taake isey tamaam adyan par ghalib karde.
Aur allah hi gawaah kaafi hai.”

(surah as-saff(61):6)

“jab eisa (as) ne kaha;
…….aur us rasool ki basharat sunaane wala hun,
jo mere baad tashreef laa rahe hain, jinka naam ahmad hai. phir jab wo waazeh nishaaniyan le kar unke paas tashreef le aaye, to woh kehne lage,
‘yeh to khula jadoo hai’.”

# surah ad-dhuha(93):11.

“apne rabb ki nematon katazkirah karte rahein.”

# surah at-tawba(9):128.

“beshak!
Tumhaare paas, tum me se ek rasool tashreef laaye hain.
Tumhaari takleef aur mashaqqat me padna,
un par sakht guzarta hai.
Woh tumhare liye bade taalib aur aarzoo-mand rehte hain.
Momino ke liye nihayat shafeeq, be-hadd rehem farmane wale hain.”

# surah aal-e-imran(3):164.

“allah ka ehsaan, ke usne musalmaano ke liye unhi me se ek rasool bheja.”

# surah al-anbiya(21):107.

“aur hum(allah) ne aap [nabi ]ko,
tamaam jahaanon ke liye rehmat bana kar bheja.”

In qur’ani aayaton me se, kisi ek aayat me bhi,
pyare nabi(saw) ke “yaum-e-paidaaish” ka zikr nahin hai.

Jab zikr hi nahin hai, phir to ’jashn manaane’ ki baat jahaalat hai.

Quran aur allah ke deen ko,
‘apne aur apne bade/buzurg/maulviyon ke zehnon’ se samajhne ka nateeja hai ke, jhooti daleelein pesh karke, ‘allah, rasool
aur sahaba (ra) par
bohtan bandhna aur fir
siraat-e-mustaqeem se bhatak jaana hai.

“agar who (log) waise imaan laayein,
jaisa sahaba (ra) ne imaan laaya
to fir waaqi’i hidayat paajayenge.”

(baqara(2):137)

“aur us se badh kar zaalim kaunhoga,
jo allah par jhoota bohtaan baandhe”

(anaam(6):93)

Nabi ne farmaya:
jo shakhs meri taraf aisi baat mansoob kare,
jise maine nahin kaha hai,
woh apna thikana jahannum me bana le.

(bukhari 109.)

 

ALLAH AUR RASOOL NE KYA HAME NAHI BATAYA K KAUN KAUN SI EID HAIN ISLAM ME? KYA HAME LAGTA HAI K HAMARE PYARE NABI NE HUM SE KOI NEKI KA KAAM CHUPAYA HAI?

Nauz billah aisa sochna bhi gunha hai,

Kya ham apne app ko Allah aur rasool Se bada mante hai, jo dil ne chaha wo karenge…??

Kisi bhi sahi ahadees se eid milad un nabi saabit nahi hai. ye teesri eid bidat hai aur bidat seedhi jahannum lejati hai.

Milaad manana jaiz nahin hai kiun k hamre sahaba main se kisi ne nahin manaya.

Note:

12 rabi-ul-awwal ka din nabi ki zindagi main 63 bar aya..
Aur khulafa-e-rashideen mai se

abu bakar(r.a)ki khilafat main 2 bar..
Umar(r.a)ki khilafat main 10 bar..
Usman(r.a)ki khilafat main 12 bar
aur ali(r.a) ki khilafat main 4 bar aya,

kya in me se kisi ne bhi eid-milad-un-nabi manaya? Kya sahaba, tabaen or aima-arba main se kisi aik ne bhi ye din manaya? Nahi na? To jan len ke ye teesri eid biddat hai aur “har biddat gumrahi hai jis ka anjam jahannum ki aag hay”.
Jo jo kehta hai kh eid-milad-un-nabi manana jaiz hai to un logo se guzarish hai ke woh is baat ko quran-o-hadees ki roshni mai saabit karde.

Huzur mohammad ﷺ se sab se ziyada mohbbat honi chahiye, har musalmaan ko honi chahiye, is mein koi shak nahi hona chahiye, or kasrat se darood-o-salam parhna chahiye, magar kia yeh mohabat ka tareeka sahi hein ke

road blocks kar ke, loud speakers par music ke saath naate parhi jaye

ya shirkiya kalmat gaaye jai? Dance kiya jai?,

road par jaloos nikaltay hein or zubaan par ek doosray se hasi mazaak galiya sub tarha ki batay?

Aisa to nahi hona chahiye, aisa din guzarnay se behtar hein ke is tarha khushi na manayee jaye, apnay apnay gharon mein baith kar kasrat se darood parha jaye, jaloos nikalna, hospital ke aur  tamam raston ko block kar dena, ke koi hospital na pohonch sakay, or mareez raastay hi mein dum tor dey, logon ko apne apne rozana ke kaamom me taklif ho, yeh hamaray nabi ki taleemat nahi hein,

nabi ki sunnat par amal kar ke hi un ko razee kar saktay hein, woh hum kartay nahi aur na karnay ko kehtay hein,

haan jaloos bara hona chahiye, speaker zordar honay chahiye, lighting roshni chamakdar honi chahiye, wagerah wagerah. Ai

si khushi manana kis kaam ki?

Note: durud padhne k liye bhi koi khas din mukarrar na ki jaye siwae agar wo saabit ho balki jitna zyada ho sake padha jaye, agar mumkin ho to roz padha jaye, zyada se zyada tadad me padha jaye.

Khushi to uske liye hai jo Allah aur uske pyare nabi ki ita’at kare aap se sahi muhabbat kare . Aap ka paiygam pure aalam mein pohchae.

Aap se mohabbat ka taqaza yeh hai k unki taleemaat ko follow kia jae…sahih adadith me kahi milad manane ka hukum nahi dia gaya … zaeef ahadith kabhi bhi proof nhi ho sktein ..zaeef ahadees ko proof banaty hue allah se darie ….

Allah swt hume nabi s.a.w ki sunnato per chalne ki aur bidat jaisi gumrahi se bachne ki tofeeq ata farmaye. Ameeeen.

 

EID-E-MILAD
TAREEKH K AINE ME

Rasool Allah Ne Farmaya: Jis Ne Humare Is Deen Mein Koi Nai Cheez Ijzat Ki Jo Deen Mein Nahi "Woh Mardood Hai"(Muslim)

1- MiladunNabi ka Agaaz 604 hijri me Mulk-e-Arbal k Governer Malik Muzaffer ne kya.
Malik Muzafer ka sath dene wala us wakt ka Alim Ibne Dahya tha. .
(TARIKH IBNE KHALQAAN:274/3)

2- Hafiz Ibne Kaseer frmate he: MiladunNabi ka Agaaz chhahti (6th) sadi hijri me huwa.
Is ko Ijaad Shia Rafziyo ne kya.
(AL-BIDAYA:256/ --­ ­13)

3- Hafiz Ibne Hajar frmate he:
Ibne Dahya dunya parast molvi tha, Aima or Ulma-e-Salaf ki shan me Gustakhi kerta, or jhuta shaks tha.
Or frmate he:
"Ye Bidat Khairul Quroon k Zamane me nehi thi... Ab jiska dil chahe wo khairul Quroon ki Ittiba kere ya Shia Rafziyo ki Bidat par amal kare.
(LISANUL MIZAAN:295 ,296/2)

12 WAFAT KO AB EID MILAD UN NABI BANA DIYA
aj se taqriban 30 ya 40 sal pehle 12 Rabi ul awal ko wafat kaha jata tha kyo ke us din wo zaat is duniya se wafat pai thi jis ka koi saani nahii hai or na kabhi ho sakta hai,
wo azeem shaksiyat mohammad
hai jo ke aman ka paikar the.
12 rabi ul awal ko nabi s.a.w ne wafat payi thi,
12 rabi ul awal ko ye alam tha sahaba r.a ka ke har shaks gham me dukh me dooba hoa tha.
Magar bare afsos ki bat hai ke aaj jab 12 rabi ul awal aata hai to logo ke chehro pe khushi ajati hai, julos nikale jate hen, lighting ki jati hain, or har tarha ki khurafaat ki jati hain.
Ye zalim nabi s.a.w ki wafat ke din khushiyan manate hen eid miladunnabi manate hen,
inhe Allah se darna chahiye ke is harkat par kahin un par Allah ka azab na aa jay.
Eid milad un nabi manana biddat hai,
tamam log is se khud bhi bachen or dosron ko bhi bachayen.

 

12 rabi awal ki asliyat


"Piyare Nabi
ka Ism-e-Mubarak 'Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdul Munaf' tha. Aap ki Wiladat Ba-Sa'adat Sha'ab Bani Hashim, Makka Mukarrama, Mosam-e-Bahar me 9 Rabi-ul-Awwal Ba-Mutabiq 22, April 571, Waqiyah Aam Al-Feel k 55 din bad Peer k din Subah Sadiq k waqt hui"
[Tarikh-e-Khizr i:1/ 62, Al-Rahiq-ul-Makhtum: 83, Rehmat-ul-lil-A 'alameen:40]

Pyare Nabi Hazrat Muhammad Sahi Rawayaat k mutabiq 9 Rabi-ul-Awwal ko is Dunia me Tashreef laye aur Paigham-e-Haq pohnchate huwe 63 Sal ki Umar me 12 Rabi-ul-Awwal ko Apne Khaliq-e-Haqiqi se ja mile,

Lekin kuch Gustakh-e-Rasul ne 12 Rabi-ul-Awwal ko Eid ka din qarar de diya he. Is din Wo Dhol bajate hai, Saaz-o-Awaz ki Mehfilen sajate hn ar Shirkiya Na'aten parh kar Mubalgha Aarai karte hai.

Sahi Rawayaat k Mutabiq Nabi S.A.W 9 Rabi-ul-Awwal ko peda hue ar 12 Rabi-ul-Awwal ko Wafat payi

Ar agr Bil-Farz ye Tasleem bhi kar liya jaye ke Ap 12 Rabi-ul-Awwal ko hi peda hue the aur isi din Wafat payi Tab bhi ….

ye Dastoor he ke Gham har Khushi par Ghalib aata he, Agar in me se kisi ka Baap Usi din Fot hota he Jis din Wo peda hua tha To sari Zindagi Us din Uski Barsi manai jati he, Zara Us k marne par Dhol baja kar aur Naye kapde pehen kar to dikhaen?

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free