AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

TAHARAT PAKI NAPAKI

SAWAL
KIN HALAT ME GUSAL SAHIH NA HOGA ?
 
 
JAWAB
Jin Chizo Se Gusal Wajib Hota He Un Chizo Ka Halate Gusal Me Na Hona Koi Aurat Haiz(Mahwari) Ya Nifas(Bachche Ki Paidaish Ke Baad Aane Wala Khoon) Ki Haalat Me Gusal Kare Ya Koi Mard Mani Girne Ki Haalat Me Gysal Kare To Gusal Sahi Nahi Hoga.  Ilmul Fiqah 1/84  

SAWAL
GUSAL KE FARZ KONSE HE ?  
JAWAB
1 Tamam Badan Ke Zahire Hisse Ka Sarse Pair Tak Dhona. Is Tarah Ke Baal Ke Barabar Jism Ka koi Hissa Sukha Rahne Na Paye. Naaf Ka Dhona Farz He. Darhi, Munchh aur Unke Niche Ke Hisse Ka Dhona Farz He. Agar Che Ye Chize Ghani(Geech) Ho Aur Unke Niche Ki Jagah(Chamri) Nazar na Aati Ho. Sar Ke Baalo Ka Dhona Farz He Agarche Unme Gond(Koi Chikni Chiz) Lagi Ho. Anguthi Agar Tang Ho Kaan Ke Surakho Me Baaliya Ho Ke Bagair Harkat Diye Huwe Pani Jism Tak Na Pahuche To Unka Harkat Dena Farz He Aur Kaan Ke Surakho Me Agar Baaliya Na Ho Aur Surakh Agar Band Na Huwe Ho To Agar Bagair Haat Se Male Huwe Ya Koi Tinka Wagairah Daalkar Unme Paani Pahuchana Farz He.  Ilmul Fiqah - 93  Hidayah - 1/10 2 Kulli Karna Lekin Gargarah Karna Farz Nahi He Jaisa Ke Logo Me Mashhur He.   3 Naak Me Pani Daalna Lekin Naak Ki Naram Haddi Tak Pani Pahuchana Farz Nahi Balke Behtar He.  Kitabul Fiqah - 1/180 Albatta Naak Ke Andar Jo Mail Naak Ke Luaab(Rinth) Se Jam Jata He Usko Chhurakar Us Ke Niche Ki Satah(Hisse) Ka Dhona Wajib He. Ilmul Fiqah 1/94 Bahawala Masaile Gusal Safa 21  

SAWAL

KITNE PAANI SE GUSAL KARNA BEHTAR HE ?  
JAWAB
Huzur Ek Saa Pani Gusal Parmate The. Bukhari Ek Saa Yani 3 K.G. 150 K.G. Islam Me Paani Zaye Karne Ki Ijazat Nahi Agarche Aap Behti Nadi Ke Kinare Kyu Na Ho.  Mafhume Hadise Mishkat.  

SAWAL

GUSAL KE MUSTAHABBAT KYA HE ?
 
JAWAB
1 Aaisi Jagah Nahana Ke Kisi Na Mehram Ki Nazar Na Pahuche Ya Lungi Wagairah Bandh Kar Nahana. 2 Dahni Jaanib Ko Baai Janib Se Pehle Dhona. 3 Sar Ke Dahni Hisse Ka Pehle Khilal Karna Fir Baai Hisse Ka. 4 Tamam Jism Per Pani Is Tarteeb Se Bahana Ke Pehle Sar Fir Daahne Kandhe Fir Baaye Kandhe Per. 5 Jo Chize Wuzu Me Mustahab Wo Chize Gusal Me Bhi Mustahab He Siwae Qibla Rookh Hone Aur Dua Parhne Ki Gusal Ka Bacha Huwa Paani Bhi Khare Hokar Pina Mustahab Nahi He.  

SAWAL

NANGE HOKAR NAHANA KAISA HE ?    
JAWAB
Nanga Hokar Gusal Karna Jaaiz To He Magar Khilafe Sunnat He. Mustahab Aur Afzal Yahi He Ke Lungi Wagairah Bandhkar Gusal Kare. Kyuki Abu Dawood Sharif Ki Hadees Me He Ke Huzur   Ne Farmaya Allah Taala Sharm Karne Wale Aur Parda Karne Wale Ko Pasand Karta He. Lihaza Jab Tumme Se Gusal Kare To Zarur Parda Kare.  

SAWAL
GUSAL KE MAKROOHAT KYA HE ?  
JAWAB
1 Nanga Hokar Nahane Wale Ko Qible Ki Taraf Rookh Karna. 2 Bila Zarurat Aaisi Jagah Nahana Jaha Kisi Gair Mahram Ki Nazar Pahonch Sake. 3 Gusal Me Bismillah Ke Siwa Aur Duao Ka Parhna. Ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaaile Gusal Jaise Ke Baaz Log Gusal Ke Akhir Me Kalma Padhte He Ye Bhi Makrooh He. 4 Bila Zarurat Baat-Chit Karna. 5 Napaki Ki Haalat Me Zere Naaf Saaf Karna. 6 Jitni Chize Wuzu Me Makrooh He, Gusal Me Bhi Makrooh He. Ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaile Gusal  

SAWAL
KIN KIN MAUKO PER GUSAL KARNA SUNNAT HE ?
 
JAWAB
1 Jumuah Ki Namaz Ke Liye Gusal Karna. 2 Dono Eid Ki Namaz Ke Liye Gusal Karna. 3 Haj Ka Ehraam Bandhne Se Pehle Gusal Karna. 4 Arafat Me Wuquf Karne Ke Liye Gusal Karna. Taalimul Islam - 3/45,46  

WUZU KE ZARURI MASAIL
JAMAT PAKADNE PAR FARAIZ PAR IKTEFA NA KARE Namaz ki jamaat khadi ho ya pichhe log wuzu karne muntazir ho to jamaat ko hasil karne sirf faraiz par iktifa karna or sunnato ko chhod dena sahi nahi he. Jamaat se namaz padhna bhi sunnat he or wuzu ke bakiya a'aza dhona bhi sunnat he. Is sunnat ka haq mukaddam he(masil wuzu).  
ZAKHAM KA DHONA ZARURI NAHI

Fasd(operation) ki jagah par ya kisi or uzva ko, jo khun-pip ke nikalnese napak ho gaya ho or dhona nuksan karta ho, to sirf tar kapde se ponch dena kafi he, or araam hone ke bad us jagah ka dhona zaruri nahi.  

SAWAL

GHANI YA HALKI DAADHI KE BAALO KO KIS TARAH DHOYE?
 
Jawab
Dadhi, bhave ya muchh is kadar ghani ho ke khal(chamdi) nazar na aye to us khal ko dhona jo bal se chhupi ho farz nahi he. Balke voh bal hi kaim mukam khal ke he unke upar se pani bahadena kafi he esi surat me is kadar balo ka ghana hona vajib he. Jo chaere ki had ke ander he. Balo ko gale ki taraf dabane se jitne bal chahere ke halke me aye yani chahere par lag jaye unka dhona farz he unki jado ka dhona farz nahi or jo chahere ki had se age badh gaye ho ya latke huve ho unka dhona farz nahi. Agar dadhi kuchh hisso me ghani(gich) or kuchh hisse me ghani na ho to jaha ghani ho vaha balo ka sirf Zahiri hissa dhona or jaha ghani na ho vaha balo ke niche ki khal(chamdi) ka dhona farz he. Or agar puri hi dadhi halki he ghani nahi to tamam balo ke niche ki khal tak pani pahochana farz he.  

JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ? NAPAKI ME KHANA PINA
Jis Per Nahana Wajib Ho Wo Agar Nahane Ke Pehle Kuch Khana-Pina Chahe To Pehle Haath Aur Munh Bhi Dho Le Aur Kulli Kar Le, Tab Khae-Pie. Aur Agar Bagair Hath-Munh Dhoe Kha Pi Le Tab Bhi Koi Gunah Nahi He.

NAPAKI ME ZIKR O TILAWAT

Jinko Nahane Zarurat He Unko Quran Ka Chhuna Aur Uska Parhna Aur Masjid Me Jana Jaaiz Nahi He, Aur Allah Taala Ka Naam Lena aur Kalima Parhna Aur Durud Sharif Parhna Jaaiz He.

NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANA
Is Haalat Me Masjid Me Dakhil Hona Haraam He. Eidgah Me Aur Madrasa Aur Khanqah Me Jaana Jaaiz He.  

SAWAL

KIN SURTO ME GUSAL WAJIB HO JATA HE ?    
JAWAB
1 Agar Koi Kafir Islam Lae To Halate Kufr Me Us Ko Nahane Ki Hajat Ho Aur Na Nahaya Ho Ya Nahaya Ho Magar Sharan Wo Gusal Sahih Na Ho To Us Per Islam Lane Ke Baad Nahana Wajib He. Warna Mustahab He. 2 Agar Koi Shakhs 15 Saal Ki Umar Se Pehle Balig Ho Jae To Us Ka Nahana Wajib He. 3 Musalman Murde Ko Nehlana Zinde Musalmano Per Wajibe Kifayah He.


SAWAL

SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?

Jawab

Sote me sohbat karne ka khwab dekha aur maza bhi aaya, lekin aankh khuli to dekha ke mani nahi nikli he to us per gusal wajib nahi he, han agar mani nikal aai ho to gusal wajib he.
Aur agar kapde ya badan per kuch bhiga maalum ho, lekin ye khyal ho ke ye mazi he mani nahi he, tab bhi gusal karna wajib he

 

SAWAL

CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?

Jawab

Miya-biwi ek palang per so rahe the, jab uthe to chadar per mani ka dhabba dekha, aur sote me khwab ka dekhna na mard ko yaad he na aurat ko to dono naha le, ahtiyat isi me he, kyu ke maloom nahi ke kis ki mani hai

SAWAL

BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?

Jawab

Mani agar apni jagah (peeth) se josh ke saath juda na ho, to agarche khas hisse se bahar nikal aae gusal farz na hoga, jaise kisi aadmi ne koi bojh uthaya ya unche se gir para ya kisi ne usko maara aur sadme ya kisi bimari se uski mani bagair josh ke nikal aai, to gusal farz na hoga.

SAWAL

SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?

Jawab

Agar koi mard apne khas hisse ka uzw hashfe ke sar (sopari, gol hissa) ke miqdar se kam dakhil kare, tab bhi gusal farz na hoga.

Bahishti zewar aur umdatul fiqah se makhooz

 

SAWAL

GUSL WAJIB HONE KE MASAIL

SOKAR UTHNE KE BAAD UZWA PER TARI DEKHI JAE TO KYA KIYA JAE.

Jawab

Agar koi mard sokar utnhe ke baad apne khas uzwa per tari dekhe aur sone se pehle uske khas hisse ko josh ho to us per gusal farz na hoga aur wo tari mazi samjhi jaegi,
bashart ke ehtelam yaad na ho aur us tari ke mani hone ka galib khyal na ho.
Aur agar raan vagairah ya kapro per bhi tari ho, to gusal bahar haal (har haal me) wajib he.

 

SAWAL

GUSAL KE MASAIL AUR SUNNAT

BAGAIR NIYYAT KE GUSAL KARNA KAISA HE ?

Jawab

Wuzu aur gusal bagiar niyyat ke moatabar honge, kyuki hamare imam abu hanifa rh. Ke nazdeek niyyat farz nahin balke sunnat aur mustahab he.
Lihaza bagair niyaat ke gusal aur wuzu kiya gaya to ada ho jaega.

Masaile gusal safa -  20.

 

SAWAL

GUSAL KHANE ME JAANE AUR NIKALNE KA MASNOON TARIQA KYA HE ?

 jawab

Gusal khana (bathroom) me aam taur per safai nahi hoti isliye baitulkhala ki tarah gusal khane  me dakhil hote waqt pehle baya pair andar rakhe aur nikalte waqt pehle daya pair nikale.

Gusal se pehle bismillah parhna masnoon he lekin bismillah agar nange nahana ho to kapde utarne se pehle parhe.
Gusal khane me dakhil hone se pehle parhe aur farig hone ke baad gusal khane se baahar nikalkar wuzu ke baad wali  dua parhe.

Ahsanul fatawa 2/37

 



TAHARAT KE UNWAN PAR AUR BHI SAWAL JAWAB YAHAN LIKHE JAYENGE  INSHA ALLAH,

IS WEBSITE KO ROZANA DEKHTE RAHEN

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free