AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

TIJARAT-BUSINESS


SAWAL

JAANDAR KI TASWEERWALE KAPDON, DIBBON-BOXES,MOBAIL COVER AKHBAR,KITAB KO BECHNA KAISA HAI?

Jawab

Jandar ki tasweerwali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gai) cheezon ko bechna jaiz hai kiyun ke us me tasweer maqsood nahi hoti tasweer taban-zimnan (gair maqsood ) hoti hai asal maqsad us cheez ko khareedna hota hai lihaza us ka bechna jaiz hai.
Agar khareednewale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai bechnewala nahi.
(islaam aur jadeed maashi masail 4/17,18)

 

SAWAL

DUPLICATE NOTE AA JAYE TO KESE CHALAYE?

TIJARAT ME AGAR RUPYA PESA KHOTA AA JAYE TO KIYA KARE?

Jawab

Agar maloom hai ke kis ke pas se aaya hai tab to usee ko de de.jis tarah bhi mumkin ho chahe batakar chahe chahe dhoka dekar (chupke se isliye ke ye haqeeqat me aapne haq ko hasil karna hai jo jaiz hai)
agar maloom na ho to kisi aur ko dhoka dena jaiz nahi, batakar diya jaye chahe lenewala kam qeemat par le,ya
agar kisi jaga us se zulman liya jaye to wahan bila bataye bhi dena durust hai.
(jese baaz sarkari log ko jo bila rishwat kam nahi karte aur baz zulmi texes bharne me)

Fatawa mahmoodiya dabhel 16/172
bahawa dure  mukhtar maa raddil muhtar
 

 

SAWAL
UDHAAR PESE DE KAR HALAL MUNAAFA (PROFIT) LENE KI ASAN SHAKAL

Muje 1 lakh rupiye udhar chahiye ek admi munaafe Se dene taiyyar hai to nafa dene ki kya surat hai?

 

JAWAB

Jo admi aap ko lakh rupiye udhar dene taiyyar hai use kahaa jaye ke tu lakh rupiye ke sone ya chandi ke biscuit khareed le aur woh lakh rupiye ke biscuit mujhe masalan 1,20,000 ek lakh bees hazaar me bech de me tujhe har maheene das hajar 12 maheene tak ada kar dunga.

Fir us khareedar ko chahiye ke Us biscuit ko usee din mamooli khot-nuqsan Se usee dukandar ko bech kar woh pese kaam me le aayen.

2.aap ko jis cheez Ke liye paise chahiye us cheez ko khareedne ke liye udhar denewale ko sath le jawo aur use kaho ke Ye to pehle khareed Le fir mujhe nafe se bech dena. munaafa aur paise ki adaygi ki muddat tay kar li jaye to ye shakal bhi munafaa dene ki jaiz shakal hai.

MUSTAFAD AZ SOOD KE MASAIL


 

SAWAL
BONI KARNE KA HUKM

Boni karna yani subah me maal bikne ya khareedne ki shuruaat karna ya naye saal ki shuruaat me ya kisi tehwar ke din maal khareedna ya bechnaa taa ke puraa saal achchha jaye, barkat ho Is Ka kiya hukm hai?

JAWAB
shareeat me nekfali -achchha shugoon lenaa jaiz hai.jese din kee Shuruaat achchhi hui To puraa din achachha jayega. lekeen is nekfali ko gair qaum ke tehwar ki din lene me un se mushabahat payee jati hai aur un ke aqeedah allah ke hukm ke alawah cheezon me asar karne ki aur nafa nuqsaan ki taqat hai is kufriyah aqeedah ki bhi tayeed hoti hai.
lihaza us din musalman ko boni karne ki niyyat se koi cheez khareedna ya bechna jaiz nahi. Koi gair muslim is niyyat Se khareedta ho to use boni ki niyyat kare bagair bechna Jaiz hoga.

(AGLAATUL AWAAM AUR FATAWA MAHMOODIYAH JADEED 19/567aur 573 SE MAKHOOZ)

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLE

 

SAWAL

aaj kal taiyyar kapdon aur sadiyon kee dukan me jandar ke putle rakhe jate hai us me se jo surat jaiz ho us ke samne  aur jo surat  na jaiz ho us ke samne ka nishan lagaye to behtar ya jis tarah bhi ho sake jawab den.

1.aaj kal jandar putle lagaye bagair dhandha nahee hota isliye rozee ki majbooree me jaiz.

2.putle ki aankh par patti bandh dee jaye to jaiz.

3.aankh aur naak ko kisi tarah bhi dhank diya jaye to jaiz

4.aesi cheez door karna zarooree hai jis ke na hone se insan zinda na rahe

5.dono aankh sapat-plen ho to jaiz.

6.putle ko is zamane ke baaz ulamaa jaiz kehte hai kafiron ke mulk me us par amal karna dusron se computesan muqabala karne jaiz.

                                         

JAWAB

 haamidaw wa musalliya

sirf option 4 saheeh hai yanee aese uzv ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe.jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.

sirf aankhon par patti bandh den kafi na hai patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.

aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajood insan zinda reh sakta hai.dono aankhe sapat plen karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taareef-definase se nahi nikalta.

jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai kisi ka ikhtilaf nahi.

rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti masail quraan hadees se nikale jate hai is par amal karna puree dunya me zarooree hai.chahe islami hukoomat na ho.

hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer ya kutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhil nahi hote.(bukharee)

jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.

lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankh naak munh mita diya jaye.hai aese putle khareede jis ka sar hee na ho ya naak tak ka sar hi na ho

.( jawahirul fiqah 3/170,227..Se makhooz pure risale me is kee bahas hai)

tahtawee babu makruhatis salat

imdadul fatawa 4/ 252 Se makhooz)

 koi Aeatarazo ishkal ho to contac kare

from imran ismail memon 96873 41413

ye sms aese putle rakhnewalon ko pahonchane ki guzarish.


PARCEL ME KOI CHEEZ ZAYIA HO JANA.

 SAWAL

v.p. ya courier wagerah parcel me koi cheez khareedar se Mangwaee aur dukandaar ne rawanah kee,

raste me woh cheez toot gai,

khareedar tak woh cheez saheeh salaamat nahi pahonchi,

to woh cheez kis ki zayea

hui..?

kiya khareedar ko us cheez kee qeemat dena zarooree hai?

JAWAB

Jab khareedar ke

mangwane se bechnewale ne woh cheez bhejee to us ne post office ya Transport walon ko

apna wakeel banane kee ijazat dee,

lihaza agar bechne wale ne woh cheez aihtiyat ke sath

achchhi tarah rawanah kee ho to khareedne wale ko us kee qeemat Ada karna zarooree hai.

HUQOOQUL IBAAD SAFA 67 BAHAWALA MAQALATE HIKMAT 362 SE MAKHOOZ

 

 

SAWAL

Zaid ne umar ko khalid se milaya aur umar ko  kaha ke khalid se maal lena aur bechna. Achcha nafa hoga.

Phir wo nafa jo tumko milega hum dono aadha aadha batenge,

kyun ke maine tumhe party (maal jisse kharidna hai wo khalid) bataya .

Umer is par raazi ho gaya.

Ab usne khalid se ja kar do char baar maal liya . Nafe me zaid aur umer aadha aadha baant lete hai.

Zaid ki koi mehnat nahi.

Khali ne party pehli martaba bataya . Aur har martaba nafa leta hai to

kya ye sahi hai ?

 

JAWAB

pehli martaba party se mulaqat karai us ka nafa jaiz ba-sharte miqdar Tay ho ke itne rs ke sode par itna fesad-percentage commission.

jitna nafa ho Is ka aadha Ye bhi durust nahi, kiyun ke nafa kitna hoga ye pata nahi to commission kitna milega ye maloom na hoga. lihaza muaamla fasid hoga.

Aur baqi ke muaamalah me bhi koi mehnat nahi is liye jaiz nahi.


SAWAL

 

COMISSION KE BAARE AAPKEE KYAA RAAY HE ?
COMMISSION LE SAKTE HAI YA NAHI ?

 

JAWAB

Haamidan wa musalliyan

Agar koi shakhs apne kisee amal par apnee khidmat ka muaawza yaa comission lena chaahe to ye bila shubha jaaiz he bashart ye ke usne mutalliqa shay kee khareedaaree ya farokht karne me koi amal dakhal bhee bajaa laaya ho aur phir us comission kee amount bhee fix kee ho.

(Shaami) Daarulifta  Banoria town

 

SAWAL

KYA CREDIT CARD

KA ISTEMAL HARAM HE? AUR SUDEE KIS SURAT HE?

Mene suna he ke izaafi charge adaa karna haram he jo bill ke der se adaaigi kee wajh se he

Aur kharedee hui cheezon kee qeemat par credit card ka istemal karte hue izaafi charge adaa karna haram he?

 

JAWAB

haamidan wa musalliyan

CREDIT CARD KA. KHAREEDNA AUR ISTEMAL KARNA IS SHART KE SAATH JAAIZ HE KE AANEWALE BILLS KEE QEEMAT MUQARRARAH MUDDAT KE ANDAR ADAA KAR DEE JAAYE TAAKE UN PAR TAKHEER KI WAJHA SE SUD LAAGU NA HO SAKE KYUN KE TAKHEER PAR BHEE SUD ADAA KARNA HARAAM HE AUR DIRECT CREDIT CARD SE CASH HAASIL KARNA IS SHART KE SATH JAAIZ HE KE CASH HAASIL KARTE WAQT KOI ZAAID TAX NA LIYAA JAAYE KHWAAH DUKAANDAAR JAAREE KARE YA BANK KYU KE ZAAID PAISE KHIDMAAT KE MUQAABLE ME NAHEE BALKE QARZ KE MUQAABLE ME HOGA JO KHAALIS SUD HE AUR CASH MACHINE KE ZARIYE HAASIL KARNE ME GUNJAAISH HE KYU KE IS SURAT ME YE QARZ KE MUQAABLE ME NAHEE HE BALKE MASHIN KI SARVISE KE MUWABALE ME HAI

 

LIHAAZA IS TAFSEEL KO MALHUZ RAKHTE HUE CREDIT CARD ISTEMAL KAR SAKTE HE

 

WALLAAHU AALAMU BISSAWAAB

 

FATAWA BINORIA

SERIAL NO. 10959

 

HAZRAT MUFTI MAHBOOB ILAHI SAHAB KARANCHI D.B.



CREDIT,DEBIT,CHARGE CARD KE HUKM

SAWAL

Aaj kal kai qism ke Credit card bazar me chal rahe hai kiya un ko istiamal kar sakte hai?

 

AL JAWAB

Aaj kal 3 qism ke credit card mash’hoor hai,

1. DEBIT CARD

2. CHARGE CARD

3. CREDIT CARD

 

1. DEBIT CARD : is card ke rakhne wale ka account pehle se bank me maujud rahta hai, jis bank ka usne card haasil kiya hai, card rakhne wala jab bhi uske card ko istemal karta hai bank uske account me maujud raqam se uski adaaygi kar deti hai, isme card rakhne wale ko udhaar [credit] ki sahulat haasil nahi hoti hai, balke sirf us waqt tak card ko istiamal kar sakta hai jab tak uske account me raqam maujud hai, bank is card ko chaalu rakhne ki fees wasul karti hai, is card ka isteamal beshak jaiz hai, iske zariyeh kharido farokht-le bech durust hai, kyun ke isme na qarz ki surat hai na sood [vyaj, interest] ki, albatta card rakhne wale ki ye zimmedari hogi ke us card ko gair sharaee kaamo me isteamaal na karey.

 

2. CHARGE CARD : is card ke rakhne wale ka bank me pehle se account nahi hota, balke bank card rakhne wale ko udhaar ki sahulat deti hai, card rakhne wale ko ek mutayyan [fix] dino ke udhaar ki sahulat milti hai, jisme us bank ko raqam adaa karna zarooree hota hai, agar us muddat me raqam ki adaaygi ho jaye to sood nahi lagta, albatta card rakhne wale ne waqt par adaaygi na ki to fir usko sood ke saath adaaygi karni padti hai, bank is card ko chaalu rakhne ki fees wasool karti hai, is card ko niche diye huwe sharait ke saath isteamaal karna jaiz hai.

 

[1] card rakhne wala is baat ka pura intezam kare, mutayan tay  shudah  waqt se pehle raqam ki adaaydi kar de aur kisi bhi waqt sood zimme me aane ka koi imkaan baaqi na rahe,

 

[2] card rakhne wale ki zimmedari hai ke us card ko gair sharaee kaamo me istemal na karey

 

3. CREDIT CARD : is card ke rakhne wale ka bank me koi account nahi hota balke muaahada [agreement] hi sood ke saath udhaar lene par karta hai, is muaahde me agar che bank ek mutayyan muddat deti hai, jisme agar card rakhne wala raqam ki adaaygi kar de to usey sood dena nahi padta,  lekin shuruaat hi me muaahda sood ki buniyad par hota aur uski adaaygi ka waada hota hai, uske alawa isme muddat ko tajdeed-renew karne ki sahulat bhi maujud hoti hai jisse raqam ki adaaygi ki muddat badh jati hai, albatta uske saath saath sood ke -feesad-persontage me izaafa ho jata hai, baaz suraton me ziyad raqam li jati hai uska hukm ye hai ke us card ka istemaal jaiz nahi hai, magar ye ke debit card/charge card alag se na milta ho aur usko debit card aur charge card ki tarah upar diye huwe sharait ke saath istemaal kiya jaye, in tamaam card ko credit card kehg diya jata hai, lekin jo asal me credit card hai uska istemal jaiz nahi. Albatta credit card ka lafz upar di huwi 2 qism par bola jaye to istemal jaiz hai, unke alawa card ki ek qism jisko atm card kehte hai, ye raqam nikalne ka card hota hai, baaz dafaa uska paaya jana upar zikr kiye huwe card ke ziman-sath sath bhi hota hai, maslan ye mumkin hai ke debit card me atm me se rakam nikalne ki sahulat bhi maujud ho, is card ka huk ye hai ke uske istemal karne par agar mutayyan raqam machine ke istemal ke ujrat [mazduri] ke tor par bank wasool karey to wo mazduri raqam ke kam ziyada hone ke aitebar se na ho to jaiz hai, lekin agar bank raqam ko kam ziyada ki buniyad banaa kar uske aitebaar se hi kuchh wasool karey to jaiz nahi, kyun ke ye sood keyhlayega, albatta bank card chaalu karne ki fees wasool kar sakta hai.

 

[FATAWA USMANI JILD-4 SAFA-354

HZ. MUFTI MUAHAMMAD TAQI USMANI SAHAB D.B. KARACHI]


PAANI AUR OIL MARKAR WAZAN BADHANA

 

 

SAWAL

 

BAAZ LOG RUI [cotton] KA KAROBAR KARTE HAIN AUR WAZAN BADHANE KE LIYE US PAR PAANI CHHIDAKTE HAIN,

ISEE TARAH BAAZ LOG YARN-KACHCHE KAPDO KA KAROBAR KARTE HAIN WOH KAPDE KI MOTAI YA WAZAN BADHANE OIL MARTE HAI,

TO AESA KARNA KESA HAI?

 

JAWAB

SHARAN YE AMAL DURUST NAHI.

KIYUN KE YE KHAREEDAR KO DHOKA DENA HAI JO JAIZ NAHI.

 

EK MARTABA HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM EK GEHUN KE DHER KE PAS SE GUZRE AUR APNA DASTE MUBARAK DHER ME DAKHIL KIYA TO ANDAR SE GHEHUN BHIGE HUWE THE,

AAP SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA

“AE GALLE-ANAAJWALE YE KIYA HAI? ”

US NE ARZ KIYA ALLAH KE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WASALLAM BARISH AAYEE THI US KA PAANI HAI.

HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA

“IS BHIGE HUWE KO UPAR KIYUN NAHI RAKHA.? TAA KE LOG DEKH LEWE”

FIR FARMAYA

“JO DHOKA DE WOG HAM ME SE NAHI”

 

AHAM MASAAIL AKKALKUWA SAFA 165 JILD 2 MAKHOOZ BAHAWALA TIMIZI WA BADAIYUS SANAAIA

 

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

**************************************

SAWAL

 

 

AAJ KAL TAIYYAR KAPDON AUR SAARI KI DUKAN ME JAANDAAR KE PUTLE RAKHE JATE HAI US KA KYA HUKM HAI..?

1. AAJ KAL JANDAR PUTLE LAGAYE BAGAIR DHANDHA NAHEE HOTA ISLIYE ROZEE KI MAJBOOREE ME JAIZ…?

2. PUTLE KI AANKH PAR PATTI BANDH DEE JAYE TO JAIZ…?

3. AANKH AUR NAAK KO KISI TARAH BHI DHAANK DIYA JAYE TO JAIZ..?

4. AESI CHEEZ DOOR KARNA ZAROOREE HAI JIS KE NA HONE SE INSAN ZINDA NA RAHE..?

5. DONO AANKH SAPAT-PLAIN HO TO JAIZ.

6. PUTLE KO IS ZAMANE KE BAAZ ULAMAA JAIZ KEHTE HAI KAFIRON KE MULK ME US PAR AMAL KARNA DUSRON SE COMPETITION/MUQABALA KARNE JAIZ…?

 

Jawab

Haamidaw wa musalliya

Sirf option number -  4 saheeh hai,

Yanee aese uzv ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe. Jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.

Sirf aankhon par patti bandh den kafi nahi hai, patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.

Aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajood insan zinda reh sakta hai. Dono aankhe sapaat plain karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taareef-defination se nahi nikalta.

Jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai, kisi ka ikhtilaf nahi.

Rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti, masail quraan hadees se nikale jate hai is par amal karna puree dunya me zarooree hai, chahe islami hukoomat ya na ho.

Hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer ya kutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhil nahi hote.

(bukharee)

Jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.

Lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankh naak munh mita diya jaye.

Putle ke chehre par kapda dalna bhi kafi nahee ye dhankna hai katna ya mitana nahi hai.

(jawahirul fiqah 3/170,227..pure risale me is kee bahas hai)

Tahtawee babu makruhatis salat

Imdadul fatawa 4/ 252)

 

****************************************************

 

SAWAL

KISEE NE KOI CHEEZ KHAREEDEE AUR GHAR LAYA TO US CHEEZ ME KOI NAYA AEB [nuksaan] PAIDA HO GAYA FIR WOH CHEEZ ACHCHHI TARAH DEKHI TO WOH PURANA AEB BHI MALOOM HUWA JO BEECHNE WALE KE PAAS BHI MAUJOOD THA.

MASALAN KAPDE KA TAAKA KONE SE BACHCHE NE FAAD DIYA FIR TAAKA ANDAR SE KHOLA TO ANDAR SE BHI CHUHE KA KATRA HUWA, FATA HUWA MILA, TO AB YE TAAKA WAPAS KAR SAKTE HAI?

US PURANE AEB KEE WAJHA SE QEEMAT ZABRDASTEE KAM KARWA SAKTE HAI..?

Jawab

Us aeb ki wajha se jo khareedne wale ke paas paida huwa hai wapas nahi kar sakte. Han woh aeb jo bechne wale ke paas hee tha, us kee wajha se bechne wale ko qeemat kam karna padegi. Qeemat ka andazah us teejarat ka jankaar log karenge

<baheeshtee zewar 5/363>

 

**************************************************

 

SAWAL

SMUGLING KI GHADIYAN, MOBILE JO AADHI QEEMAT PAR BECHI JATI HAIN, US KO KHAREEDNA KAISA HAI?

 

jawab

agar un ghadiyon, mobile ki khareed me jhut bolna ya kisi aur gunah ka irtikab na karna pade to khareedna jaiz hai.

(fatawa usmani 3/88 hazrat mufti taqee usmani d.b.ki)

 

**************************************************

 

SAWAL

GADEE NAQAD LE TO

60 000 AUR UDHAR HAFTE SE BANK KE ZARIYE LE TO

72 000 IS TARAH GADEE LENE KA KIYA HUKM HAI?

1. MAKROOH

2. HARAAM

3. SIRF BANK SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ

4. SIRF COMPANY WALE SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ.

 

Jawab

Gadi khareed kee hasbe zail teen sooraten hain.

1. Agar dealer ya dealer ka financer gadee bechne wala hai, chahe naqad beche ya udhar qiston- hafton par.  Aur sara muaamala dealer ya us ke financer hee se ho raha hai andar me bank ka koi dakhal nahi.  To udhar khareedne ke waqt us kee naqad ke muqable kitnee zayadah qeemat denee hai aur kitne maheeno me denee hai ye baat saaf kar dee jaye aur hafton se paise ya cheque dealer hee ko diye jaye to ye muaamala jaiz hai.

 

2. Agar bechne wala bank ya finacer ho aur gadee kee chabee aur qabazah bhi usee se liya jaye aur bank ke naam se cheque diye jaye, company ka bich me koi wastah na ho to ye surat bhi jaiz hai.

 

3. Agar bechne wala dealer hai aur bank khareedne wale ki taraf se dealer ko abhi pooree qeemat adaa kar deta hai. Aur fir aayindah qiston- hafton kee shakal me apni adaa kee hui raqam kuchh zaid miqdar ke sath khareedne wale se wusool karta hai ye zaid miqdar sood kehlati hai isliye shareeat me ye muamala durust nahee.

(mahmoodul fatawa 3/50 murshidee hazrat aqdas mufti ahmad khanpooree d. B. Kee)

 

**************************************************

 

SAWAL

KISI NE 10,000 KA MOBILE KHAREEDA AUR QABZAH BHI KAR LIYA .FIR ITTIFAQ SE US KE PAISE NA DE SAKA YA AB US MOBILE KO RAKHNE KA IRADAH NAHEE HAI TO JIS SE LIYA HAI USEE KO MASALAN  8000 ME BECHNA JAIZ  HAI..?

jawab

Mazkoorah surat me woh mobile bechna jaiz nahi jab tak ke us asal bechne walon  ko us ki qeemat 10,000 de na de, kam paise  me us ko woh cheez bechna jaiz nahi.

( baheeshtee zewar 5/367 ba hawala kanz)

**************************************

SAWAL

KISI NE KAHA YE CHEEZ 100 RUPYE ME DE DO US NE KAHA ME NE DE DEE IS SE MUAAMALA~ SODA HUWA YA NAHEE? YA AUR KUCHH BHI BOLNA PADEGA?

 

Jawab

Mazkoora surat me soda nahi huwa.

Kharednewale ko ye kehna padga mene le liya kiyun ke sode me dono taraf yaqeenee jumle hone chahiye

Yaqeen mazee yanee past tence me hota hai.,

Kharidne wale ne jab kaha mujhe ye cheez 100 rupye me de do to ye order hai is me khareed lene ki baat nahi hui

Sirf sirf bechne ke liye keh raha hai

Ab bechnewala agar mana karta to soda na hota

Iseetarah sirf itna kaha me ne de dee to soda nahee huwa jab tak ke khareednewala ye na keh de mene le lee.

(baheeste zewar 5/354 ba hawala aalamgeeree 2/4)

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free