AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

JAIZ-NAJAIZ

QURAN E KAREEM KI AAYAT KO MOBILE AUR COMPUTER SE DELETE KARNE KA KIYA HUKM HAI?

DELETE KARNE SE GUNEHGAR YA KAFIR HOGA?

YA US KI BE-ADABI HOGI?

 

JAWAB

حامدا و مصليا و مسلما

Sab se pehle to mobile aur computer par likhe sms ko kagaz diwar aur kapde par likhe huwe sms ki tarah samjhna durust nahi.

Dusri baat darwaze aur diwar par likhe huwe Allah taala ke naam ko mitane ki ijazat hai jis me be adabi ka shubah bhi hai, kiyun ki quran likha huwe chok-pen ka burada - powder zameen par girta hai us ke bavajood mitane ki ijazat hai aur log mitate hai,

To mobile par aayat mitane me jis me is beadabi ka bhi aehtimal nahi.

kiya haraj hai!

Lihaza in sms ko mitane me kisi qism ki koi qabahat aur kharabi nahi. Lihaza quran ke sms mitane me kisi qism ke shukook Shubhat me padne se bache.

(Durre mukhtar 6/422 se makhooz)

[Mufti Muhammad Rashid, Jamiaa binnoriya aalmiya karanchi, 21 muharram, 1432]

[Urdu fatwa english harfon me tasheel ke sath]

 

Note: is fatwe ki urdu image durre mukhrar ke hawale ki arabi image muhar ke sath mavjood hai jise woh chahiye

jamiabinnoria.com

darulifta@gmail.net

ki site par dekh le

Dushmano ki sazish hai ke quraan e kareem ki ishaat aur felaw na ho, kyu ke quran logon ke liye hidayat hai.

isliye aese sms jari karte hai.

Shaikh abdur rahman sudais d. B. ne ye baat khutbe me nahi kahi, is ki tahqeeq bhi wahan ke logon ne bataee, lihaza jab tak sharee fatwa kisi darul ifta se shayea na ho sirf akhbar me padhkar maanna nahi chahiye.

 

QURANE KAREEM KI TILAWAT MOBILE AUR COMPUTER PAR

SAWAL

kya Qur'an e karim ki tilawat mobile, tablet ya computer ki screen par karna jaiz he ? is surat me bhi wohi aadab e tilawat honge jo mushaf-Qur'an me dekh kar padhne ke waqt hote hai.?

JAWAB

Mobile wagairah ki screen par agar Qur'an e karim zaahir na ho (open na ho) to usko (Mobile wagairah ki screen ko) bil-ittifaq Ger mutawazzi (bagair wuzu ke) ya junubi (napak) haath lagaa sakta he.

Lekin agar Qur'an e karim ka software open ho or uske nuqush-alfaaz screen par moujud ho to junubi ya gair mutawazzi us mobile ya screen ko chhu sakta he ya nahi
usme 2 aqwal he:

(1) Mobile, computer tablet ki screen ko us waqt chhuna jaiz nahin.
unki dalil yeh hai ke  yeh us haalat me mushaf (Qur'an) ke maanind hai, aur irshaade rabbani he.

لا يمسه الا المطهرون۔"

"usko nihayat paakizah log (gusal or wuzu dono ho to) hi chhu sakte he"

uske qaayil Hazrat Aqdas shaikh Mufti Ahmad khanpuri db. hai, aur Darul uloom ka bhi yahi fatwa hai,
neez "Al masailul muhimmah fima-batalat bihil aammah" naami kitaab me bhi yahi mazkur he.
(is qaul me ehtiyat he)

(2) sirf jis screen par Qur'an e karim ke alfaz o nuqush zaahir ho rahe ho uska chhuna jaiz nahin, mobile aur computer ke dusre parts ko bila wuzu bhi chhu sakte he. 
un hazraat ka kehna he ke yeh Qur'an e karim ke hukm me nahin hai, aur agar hai bhi to mobile ke dusre parts Gilafe munfasil (alag juzdan) ke hukm me hoge.

Mulaahazaa farmaiye

Jawab: ...waazeh rahe ke jab Qur'an e karim mobile ya memory card ke ander ho yani usko screen par khola na gaya ho to us waqt chunke Qur'an e karim huruf o nuqush ki surat me mojud nahin,
isliye usko haath lagaane ke liye bawuzu hona zaruri nahin.
 
aur jab mobile ya memory card ke hafze me mojud Qur'an e karim ko screen par khol liya jaye to us waqt chunke screen par mojud nuqush Qur'an e karim ke alfaaz par dalaalat karte he,
us waqt screen par haath lagaane ke liye wuzu zaruri hai aur is surat me chunke Qur'an e karim ka wohi hissa huruf ki shakal me hai jo screen par nazar aa rahaa hai,

Lihaza screen ko haath  lagaana tahaarat ke bagair  jaiz na hoga,
aur screen ke alaawah mobile ke baqiya hisso ko haath lagaana jaiz hoga. aur chappal jute pahankar bhi tilawat kar sakte hai.

Albatta azmat ka taqaaza or munasib o ahwat ye he ke baqiyyah hisso ko wuzu ke sath chhuaa jaye. chappal, jute utaar diye jaye.

FIQAH ACEDMI KA 23 WAN SEMINAR KA FESLA.

DARUL IFTA JAMIA BINORIA ALSMIYA KARANCHI
SERIAL NO.10839


MANNAT-NAZAR

sawal

Mannat-nazar kise kehte hai aur us ko pura karne ka kya hukm hai?

 

JAWAB

mannat sirf allah ke liye aur sirf ibadat hee ki maani jaati hai masalan kisi kaam ke baare me aisa kehna ke mera fulan kaam ho jaye to me do rakat namaz parhunga ya ek roza rakhunga ya itne rupiye sadqah karunga to agar woh kaam puraa ho jaye to upar ki jis ibaadat ki mannat mani ho woh pura karna wajib aur zarooree hai na pura karega to gunehgar hoga agar woh kaam pura na ho to fir woh mani hui ibaadat karna zaruri nahin.

[DARSI BAHISHTI ZEWAR (MARDON KE LIYE) SAFA 408 SE Makhooz]

 

NAZAR-MANNAT KI SHARTEN

SAWAL

Nazar-Mannat kin cheezon ki saheeh hai aur kin cheezon ki saheeh nahi?

 

JAWAB

Nazar-Mannat saheeh hone ki 3 sharten hain

1. Jis cheez ki mannat mani jaye us ke jesee koi cheez shareeat me wajib ho masalan namaz roza sadqah aetikaf ye ibadaten jis tarah nafal hoti hai isee tarah wajib bhi hoti hai. isliye bimar ki iyadat ki ya masjid me jane ki mannat mane,mazar par chadar chadhane ki mannat  saheeh nahi. ye cheezen wajib nahi hoti hai.

2. jis cheez ki mannat mani woh khud maqsood ho kisi ibadat ka zariyah-wastah na ho lihaza wuzu ki mannat manna saheeh nahi isliye wuzu apnee zat me khud maqsood nahi balke namaz ka waseelah aur zariyah hai isee tarah jamat me chillah,char maheene lagane ki mannat manna ke fula kaam ho gaya to jawunga ye nazar wajib nahi hoti. asal nikalna nahi asal to apni islah ya deen pahonchana hai.

3. jis cheez ki mannat mane woh kaam fil haal ya aayindah zamane me us par wajib na ho jese kisi ne fajr ki namaz parhne ki ya ramazan ke roze rakhne ki mannat mani to saheeh nahi kiyun ke ye ibadat to pehle se hee khud us par wajib hai.

[SHIFAUL ARWAAH SHARHE NOORUL IZAH SAFA 498 AUR AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ]

 

 

Sawal

Qasam ka kya hukm hai ?kin alfaz se munaqid ho jati hai aur kin alfaz se nahi hoti?

 

JAWAB

bila zaroorat qasam nahi khani chahiye allah ki naam ki tauheen aur behurmati hoti hai sachchi baat par bhi jahan tak ho sake qasam na khaye. qasam niche diye gaye alfaz se munaqid ho jati hai us ko pura karna wajib hai fir us kaam ke khilaf karna gunah hoga  aur qasam ka kaffarah dena padega.allah ki qasam, khuda ki qasam, allah ki izzat ki qasam, wagairah allah ke kisi bhi naam ya sifat ki qasam khana.sirf qasam khata hun kehna.quran ki qasam khana se bhi qasam ho jati hai.quran par sirf hath rakh kar kehne se qasam nahi hoti.niche diye alfaz se qasam nahi hoti agar fulaan kaam me karun to me mar jawun ya meri aankhe fut jaye ya mujhe fulan bimari ho jaye ya me dane dane ka muhtaaj ho jaawun ya mujh par allah ki fitkar-gazab-laanat ho ya mujhe kalmah naseeb na ho wagairah apne liye kisi bad duaa se qasam nahi hoti aur us ke khilaf karne se kaffarah wajib na hoga.

 

QASAM KA KAFFARAH

SAWAL

QASAM KA KAFFARAH KYA HAI?

 

Jawab

Ek qasam todne ka kaffarah me do ikhtiyar hai, chahe das (10) fakeeron ko do waqt pet bhar khana khila de ya kachcha anaaj(gallaah) de har faqqer ko pone do kilo (1.75 kg.) Gehun ya us ki qeemat ka koi bhi anaaj -gallah de,ya das faqeeron ko aksar badan dhak jaye aisa kapada pehnayeagar gareeb ho aur in kaffarah ko adaa na kar sakta ho to tin 3 din lagaataar roze rakhe.

[darsi bahishtee zewar se makhooz ba hawala safa 418]

 

GAIRULLAH (ALLAH KE ALAAVA)KIQASAM

SAWAL

MAA KI, BAP KI, BETEY KI, BHAI KI, RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KI, KAABAH KI,TERI QASAM WAGAIRAH ALLAH KE ALAWAH KI QASAM KHANE SE QASAM HO JATI HAI? TODNE SE KAFFARAH DENA PADEGA?

 

Jawab

Mazkoorah alfaazon se qasam muaqid nahin hoti hai lekin gairullah ki qasam khana bahut badaa gunaah hai is se bachna zaruri hai aur aisi qasam todne se kaffarah bhi wajib nahi hota.

[darsi bahishtee zewar safa 415 se makhooz ]

KISI KO QASAM DENA KOI CHEEZ HARAAM KARNA

SAWAL

A.  AGAR ME YUN KAHUN KE FULA CHEEZ MUJH PAR HARAAM HAI TO KIYA WOH HARAAM HO JAYEGI?

B. KISI NE KAHA TUJHE ALLAH KI QASAM YE KAAM ZAROOR KARO TO KIYA QASAM DENE SE QASAM HO JATI HAI?

WOH KAAM KARNA HI PADEGA?

 

Jawab

A. Woh cheez haraam nahi hogi lekeen aesa kehne se qasam munaqid ho jati hai woh cheez istemal karne se kaffarah dena padega.

B.  Is tarah kehne se qasam munaqid nahi hoti woh kaam karna zarooree nahi ho jata aur na karne se kaffarah bhi nahi aayega

 

GUNAH KI AUR JUTHI QASAM KHANA.

SAWAL

A. KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM ME APNI WALIDAH SE BAAT NA KARUNGA YA ALLAH KI QASAM NAMAZ NA PADHUNGA TO KIYA HUKM HAI ?

B. KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM YE NUKSAN MENE NAHI KIYA HAI HALAAN KE WOH NUQSAN USI NE KIYA THA TO KIYA HUKM HAI IS KA KAFFARAH DENA PADEGA?

 

Jawab

A. Aesee qasam puree karna gunaah hai, qasam tod de, aur kaffarah adaa kareb.

B. Jo baat ho chuki hai us par jhuthi qasam khana bahot bada gunah hai, puchhi hui surat me jhuthi qasam khane se kabeerah gunah ka murtakib huwa. Is gunah ki koi had nahi is ka koi kaffarah nahi bas din raat allah se tauba istigfar kar ke allah se ye gunah muaaf karaye

[darsi bahishti zewar safa 416 se makhooz]


 


GIRI PADI CHEEZ MILNASAWAL

RAASTE ME KOI CHEEZ MILI YA DUKAN PAR KOI GRAHAK KOI CHEEZ BHUL GAYAA AUR WOH MILI TO US KA SHAREEAT ME KIYA HUKM HAI? LEKAR RAKH LENA KESA HAI.?

 

JAWAB

Aisi cheez agar raste me mili aur ye dar hai ke ye cheez zaye'a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to us ko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai agar gaalib gumaan hai ke us ka maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi ye cheez zaye'a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi

 

(DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA)

 

MAALIK KO TALAASH KARNE KA TARIKAH

SAWAL

KOI CHEEZ MILI HO TO US KO MAALIK KO TALASH KARNE KA KYA TARIKAH HAI?

 

JAWAB

Jahaan majmaa aur bhid jama hoti ho wahaan ealaan karwaaye mardon aur aurton dono ke majmaa me us ke ealan ke zariye shoharat-famous kare aurton ke majmaa me bivi wagairah ya kisi aurat ke zariye ealan karaaye ke kuchh paise ya ek kapda ya ek zewar mila hai woh chiz ka ya yeh puri tarah na bataaye warna koi jhuth aur dhoka dekar na le ja sake.jo us ki puri nishani bataaye to woh chiz us ke hawale ki jayegi.

(BAHISHTI ZEWAR SAFA 431)

 

Akhbar me bhi dena behtar hai zarooree nahi.

(FATAWA ABDUL GANI SAFA 435)

 

[Aaj kal social media par bhi us ka sms ke zariyah ealan kar sakte hai.]

 

MAALIK KA NA MILNA

SAWAL

AGAR MAALIK NA MILE TO US MILI HUI CHEEZ KO KYA KARE?

 

JAWAB

Bahut talaash karne aur mashoor karne ke  baad mayoosi ho jaae ke ab is ka Maalik ise talaash nahin karta hoga aur ab is ka koi waaris na aayega na milega.kitne din talaash kare ya talaash ke baad apne paas rakhe is ki koi muddat sahih qaul me tay nahin jab tak maalik ke aane ki ummid ho talaash jaari rakhe ya woh cheez apne pas mahfooz rakhe jab bilkul ummid na rahe to us cheez ko us ke maalik ki taraf se gareeb ko sadqah kar diyaa jaaye aur agar khud gareeb ho (zakat ka mustahiq) to khud bhi rakh sakta hai lekin agar us ka maalik ya waaris aaye aur woh aap ke sadqah ko manzoor rakhe to use bhi sadqah ka sawaab milega agar manzoor na rakhe to us cheez ke paise us sadqah karnewale ko apni jeb se dene padenge.

(DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 431

FATAWA USMANI 3/474 SE MAKHOOZ)


 

SAWAL

CRIKET DEKHNA KESA HAI?

Jawab

Mavjoodah daur me criket ek aesa khel ban gaya hai ke aam taur is me shareeat ke khilaf kaam paye jate hain

1. Namaz ka qaza kar dena.

2. Us par haar jit aur juwe khelna

3. Fasiqon aur gunehgaron aur gafil qism ke logon ka us ko ikhtitar karna jis ki wajha se un ki sohbat milna.

4. Gaflat ki had ye ho chuki hai ke din to din raat ko bhi is me mashgul rehnna

5. Criket ke waqt nav jawan ladkiyon aur aurton ka medan me jama hona un me aksar aadhi nangi hoti hai un ko dekhna

6. Raat din isee dhun aur fikr sawar ho jana jis ki wajha deenee ya dunyawi kaam me dil na lagna

7. Dukanwalae ka dukan se, nokriwale ka nokri se gafil ho jana jis ki wajha se der se duty anjam dena ya duty par hee na jana

8. Studant aur madraseh ke talaba ka apni padhai me kotahee karna

 

9. Masjid me aane ke bad wuzu karte huwe aur wuzu se farig hokar bahot se shauqeen ka jamatkhane me bhi isi ke tazkeron me mashgool rehna

10. Agar ramzan me mech  ho to taraweeh aur tilawat ko qurban kar dena

11. Harjit par patakhe, bomb fode jate hai jis ki wajha se maal zayea hota hai

12. Upar ki ye harkat qaumi fasad ka sabab hokar musalmano ka jani mali nuqsan hota hai.

13. Harnewalo ki jitnewalon se ya us ki khushi mananewalon se adawat peda ho jana

14. Mabap, bivi bachchon aur padosiyon wagairah ke huqooq me kotahi karna.

15. Bahot sa qeemati waqt jo akhirat ke imtihan ki taiyyari ke liye diya gaya tha zikro, rukawat, duaa ke bajaye is fuzool ko dekhne me zayea kar dena

16. Mech ke darmiyan me aane wali mukhtalif ad me music sunna aur badnigahi karna aur film aur natak dekhna shuq peda hona wagairah nuqsanat ki wajha se criket dekhna bilkul
na jaiz aur dekhnewale ki fasiq bana deta hai.

Fatawa raheemiyah qadeem 7/275se 280
fatawa darul uloom qadeem 8/285


SAWAL

 

HATTE KATTE KO BHIK DENE KA HUKM.
JO SAAIL-BHIKHARI JAWAN, TANDURAST, YA AURAT YA BACHCHA TANDURAST HO US KO BHIK DENA KESA HAI?

Jawab

Har woh bhik mangnewala jis ke paas ek din-subah sham ka khana mavjood ho ya jo kamane par qudrat-taqat rakhta ho un ko bheek mangna haraam hai aur jis ko is faqeer ki ye haalat maloom hai us ke liye denaharaam hai. Kiyun ke sawal karna-bheek mangna aese shakhs ko haraam hai bheek dena ye haraam kaam karne par madad karna hai isliye woh bhi haraam aur bajaye sawab ke gunah hai.
Hazrat imame rabbani maulana rasheed ahmad gangohee rahmatullahi alayhi ne is masle ko bayan farmaya tha aur ye bhi kaha tha ke log shor machayenge magar me deen ki ye baat pahoncha deta hun baat ye hai ke mangna aur dena rasm ho gaya hai rasam ke khilaf log maslaa manne se bhagte hai

Huqooqul ibad
safa 69
masaile muhimmah 6/243
bahawala shami 3/42, 306

Note:
aaj kal mazdoor aur gharon me kaam karne kaamwali aasani se nahi milti kiyun bheeg mangne me tankhah ke muqaabake me das guna zayada pesa chand ghante me kama leti hai,to subah se sham tak mehnat kiyun karegi? Log aese logon ko bheeg dena bandh karenge to kaamwali mazdooree aasani se mil jayenge aur un ki haram kamaee bhi halaal ho jayegi.
Aurat ko dekhkar raham na khaye fuqhaa ne aesee aurat ke bare me jis ke shohar ka intiqaal ho gaya ho aur kamaanewala koi na ho to iddate wafat me bhi din me kamaane ke liye nikalne kee ijazat likhi hai.


 

SAWAL

VIRASAT KA MAL KIYA KIYA HAI?

MAIYYAT KE TARAKAH-WARSAH ME KIYA KIYA CHEEZ DAKHIL HAI ?

 

JAWAB

MARNEWALE KE INTIQAL KE WAQT APNI MILKIYAT ME JO KUCHH TRANSFER HONEWALI AUR TRANSFER NA HONEWALI MALO JAIDAD  NAQD RUPYAH, ZEWARAT, KAPDE AUR KISI BHI TARAH KA CHHOTA BADA SAMAN CHHODTA HAI CHAHE SOI DHAGA HEE HO SHAREEAT KE AETIBAR SE WOH SAB US KA TARAKAH HAI. INTIQAL KE WAQT US KE BADAN PAR JO KAPDE HON WOH BHI US ME DAKHIL HAIN YAHAN TAK KE MAIYAT JEB ME EK ILAYCHI BHI PADI HO TO KISI SHAKHS KO YE JAIZ NAHI KE SAB HAQDARON KI IJAZAT KE BAGAIR US KO MUNH ME DAL LE, KIYUN KE WOH EK ADMI KA HISSA NAHI AUR MAIYYAT KE JO QARZE KISI KE ZIMME REH GAYE HON AUR MAIYYAT KI WAFAT KE BAAD WASOOL HON WOH BHI TARAKAH ME DAKHIL HAIN

AHKAME MAIYYIT SAFA 145.


SAWAL

 

GAIR MUSLIM KHAATKI YA HOTEL KA GOSHT KHANA

Hindu bharwad-(bakre palne aur bechnewala) se jis ki dukan par kisi muslim Ka pehra ya nigrani nahi hoti to aesee dukan se gosht khareedkar istiamal karna jab ke us ko Kisi musalmsn ne zabah kiya ho kiya hukm hai?

 

JAWAB

Jab koi muslim nigran wahan mavjood nahi to daromadar us gair muslim ke qaul par reh gaya ke ye halal gosht hai. haram aur halal hone me gair muslim Ka qaul sharan qabool nahi. Albattah albattah muaamalat (khareedna bechna lena dena) me Us Ka qaul bhi qabool hai jab ke Us ke sachche hone ka guman ho. agar woh ye kahe ke ye woh gosht hai Jis ko fulan muslim shakhs ne zabah kiya hai aur dil gawahi de ke ye saheeh kehta hai aur is ne us me koi na jaiz gosht nahi milaya hai To Us ka qaul-baat qabool kar lena durust hai. (Alamgeeree5/308)

FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 18/38

GAIR MUSLIM COMPANI KE DIBBON KA GOSHT KHANA

SAWAL

Baz gair muslim companiya bhi dibbon me band kiya huwa gosht bechti hai dibbon par halal gosht likha rehta hai muslman ko in ki ye baat mankar us gosht ko istiamal karna kesa  hai? Aur jo log us ko istiamal karte hai un ki iqtidaa me namaz parhna kesa hai?

 

JAWAB

Aesa gosht na khayen, jo log zati tahqeeq ke baad jaiz aur halal hone ki wajha Se khayen us se tarruz na Karen (un ke pichhe na pade) un ko ye na kahe ke aap ne haram khaya hai, na un ke sath aesa muaamala karen jesa haraan khanewalon ke sath kiya jata hai.

(Alamgeeree5/308)

FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 18/38


SAWAL

VOTING KI SHAREE HAISIYAT. SAHEEH UMMEDWAR NA HO TO?

vote dene ki sharee haisiyat kiya hai?

Baasalahiyat aur amanatdar ummedwar na ho to vote dena chahiye ya nahi?

 

JAWAB

Hazrat mufti muhammad shafeea Rahmatullahi alayhi likhte hai jis ka khulasah hai ke vote kee sharee haisiyat 3 hai.

1. wakaalat-jis ummedwar ko ham vote de rahe hai ham use apna wakeel-naaib bana rahe hai fulan hamaree zaroorat aur khidmat aap hamaree janib se anjaam de dena.

2. shahaadat-ham is baat kee gawahee dete hai ke fulan ummedwar fulan aohde aur mansab ke laiq hai khidmat kee salaahiyat rakhnewala aur amanatdar hai.

3. sifarish-apne bade haakim-governer ko ye darkhast karna ke is shakhs ko fulaan aohdaa aur mansab de diya jaye to behtar hoga.

lihaza jo ummedwar dusre ummedwaron ke muqabalah in haisiyaton ki aehliyat-salaahiyat rakhta ho us ko vote dena wajib hai.

AESA UMMEDWAR JIS ME IS AOHDE KI AEHLIYAT AUR SALAAHIYAT DUSRE KE MUQABALA ME NA HO YA KAM HO US KO SIRF RISHTEDARI, DOSTI, QAUMIYAT KI BUNIYAAD PAR VOTE DENA GUNAAH HAI

aur

VOTE HEE NA DENA GAWAHEE CHHUPANE KE BARAABAR HAI

aur agar zalim hakim musallat ho gaya to ye naa denewale aur gair laiq ko denewale bhi us ke jitaane me shareek shumaar honge us ke gunaah aur zulm ka wabal un par bhi hoga lihaza har musalman mard aurat ko saheeh ummedwar na ho To bhi apna nuqsan kam karne ki niyyat se bhi vote dena sharan zarooree hai.

JAWAHIRUL FIQAH SE MAKHOOZ


SAWAL
GAIR MUSLIM KO SALAM KARNE KA TAREEQAH

 

Gair muslim ko gairon ko kis tareeqah Se baat ki shurooaat karna chahiye? un ko khat ya sms salam karen Ya aur koi tareeqah hai?

JAWAB

gair muslim jab allah hee ka inkaar karnewala hai to un par allah ki taraf salaamati hone ki duaa bemaana hai lihaza un ko salaam nahi karna chahiye salaam ke bajaye un se baat, khat ya sms ki shurooaat sirf lafze salaam ya

Salaamun alaa manittaba alhudaa

 سلام علی من اتبع الہدی 

Kehnaa chahiye yaa adaab kahe

ISLAAM KA SALAAM AUR MUSAFAHA KA NIZAM SAFA 213 BA HAWALA KITABUL FATAWA WA AHSANUL FATAWA

SAWAL
Good morning,  goodnight, tata, bye bye, hi, wagairah kalimat kehna munasib hai?

JAWAB

Huzoor salallahu alaihi wasallam ne musalman ko apni zindagi me gair muslimo ki muaasharat ikhtiyar karne se manaa farmaya hai chunanche arabon ke andar subah bakhair, shab bakhair kehne Ka riwaj Tha balke aise kalimat Jis Me Allah ki taraf nisbat ho, jaise allah aap ki subah achchi kare.. ise bhi huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne pasand nahi farmaya,halan ke un kalimat ke ma'ane Me koi kharabi bhi nahi hai fir musalman ko yahood wa nasaarah ke tareeqah ikhtiyar karne ki kese gunjaish ho sakti hai???

Hadees me musalmano aapas me mulaqat ho (Sms karna ho khat likhna ho to )salaam karne aur Us ka jawab dene  ki hidayat farmai salaam Se jame'a aur behtar koi duaa nahi Is me har qisam ki aafat,balaa, museebat aur pareshani se salaamati ki aur har cheez me barkat aur rahmat ki Duaa hai gairon ke woh kalimat salaam ka badal nahin ban sakte,aisa karne me sunnat tareeqah ko chhodna balke Us ke riwaj ko mitana bhi lazim aata hai.

Lihaza musalman hone ki haisiyat Se hamara Farz Hai Ke ham islami saqafat -tauro tareqah ko zinda rakhe is Se badi na samjhi kya hogi Ke islam me har cheez hone Ke bawajood ham gairon se un ke tareeqon Ko bhikh me len!

JAMIUL FATAWA 6/125 BAHAWALA ABU DAWUD HADEES NO 5227 SE MAKHOOZ

SAWAL
DIWALI AUR UN KE NAYE SAAL KI MUBARAKBADI DENE KI JAIZ SHAKAL

Diwali ki mubarak badi Dena jaiz nahi to mere Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to un ko kese wish karun? un ko mubarakbadi na de to un ko bura lagta hai mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumai farmane ki darkhast.

JAWAB

Mubarak badi dena na jaiz hone ki do wajha hai ek un ke tehwar ki tazeem aur dusre un se mushabahat.

Lihaza dil me in ki is rasm ko bura samjhte huwe aese jumle se un ko mubarakbadi dee jaye Jis se na un ke tehwar ki azmat ho na un ke jumlon aur rasm se mushabahat To gunjaish maloom hoti hai masalan ye jumla kaha jaye diwali ke Is mawqia par aap ko har kaam me saheeh rasta mile. Dil me saheeh raste se un ki hidayat muraad Lee jaye.

Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariye bane

Diwalee ke mavqia par ishwar aap ke bhawisaya-fituchar ko roshan-prakashit kare.

english me ye keh de

Ya May your path be enlightened wagairah duaa ke jumle keh diye jaye.

Behtar yahi hai Ke khamoshi barti jaye aur un ko bura lagne ki fikr na Ki jaye jab ham shareeat par amal karenge to allah taala un ko razee kar denge agarche waqti taur Par woh naaraz ho jaye.

FATAWA MAHMOODIYAH 19/567

FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT

 

SAWAL
DIWALI PAR MILNE JANA.

Zaid apne Hindu sir-teacher ko Diwali ke din milne gaya,

sirf is wajha se ke sir ki Tawajjuh hasil ho, imtihan me achchhe number mile,

un ke tehkar ki tazeem ki bilkul niyyat nahi thi balke zaid Hindu ke tehwaron aur mazhabi rusoomat se nafrat karta hai.

To kiya Zaid apne Sir ko milne Jane ki is surat me islaam se nikal gaya?

Nikah naye sire Se parhna padega?

JAWAB

Zaid ko sachche dil se tauba wa Istigfar karna zarooree hai.

kuffar ke mazhabi rusoomat me shirkat karna haraam hai, magar Zaid islam se nahi nikla.

Na nikah toota.

kiyun ke us ke dil me dewali kee tazeem nahi thi balke woh dil se in Rusoomat Se nafrat karta tha.

JAMIYUL FATAWA 2/358

BA HAWALA FATAWA MAHMOODIYAH 9/407SE MAKHOOZ.

DIWALI KI MITHAI WAGAIRAH KHANE KI CHEEZ KA HUKM.

 

SAWAL
DIWALI KI MAVQAH HAM SE TALLUQ RAKHNEWALE HINDU BHAI MITHAI, KACHORI WAGAIRAH KHANE KI CHEEZ BHEJTE HAI TO US KE LENE AUR KHANE KA KIYA HUKM HAI?

JAWAB

IN CHEEZON KA NA LENA BEHTAR HAI.

AGAR KISEE MASLIHAT SE LE LIYA HO TO IS KE KHANE KO SHARAN HARAAM NAHI KAHA JAYEGA.

FATAWA MAHMOODIYAH 18/33

BAHAWALA SHAMI KITABUL KARAAHIYAT 6/755

 

Kisi shakhs par zulm kiya ya kisi se rishwat lee ya kisi kee geebat kee ho aur ab woh mar chukaa hai to us ke in huqooq ki adaaygi ka kiya tareeqah hai?

JAWAB

Awwal to pooree koshish un ka pata lagaane me kare.   agar pata lag jaye to un ka haq pahonchaye ya muaaf karaye. Agar maloom ho ke woh mar gaye hain to maalee huqooq un ke wurasaao ko pahonchado ya muaaf kara do.

agar wurasaa ka bhi pata na chale to jitni raqam tum ne zulm,choree ya rishwat se lee hai itni raqam khairaat kar do aur niyyat kar lo ke ham un ki taraf se adaa kar rahe hain.

HUQOOQUL IBAAD SAFA 56 HAKEEMUL UMMAT RAHMATULLAHI ALAYHI KEE


SAWAL

Aaj-kal vote dene walon ummedwar ki janib se paise -nashta, khana diya jata hai is ke khane ka aur fir un ko vote dene Ka kiya hukm hai?

JAWAB

Vote dena ye gawahee hai is baat ki ke Is halqe ke jitne ummedwar hai un me ye sakhsh us auhde ka sab Se laiq aur munasib hai,

lihaza paisa Ya khana khakar dusre laiq aur zayada munasib ummedwar ko chhodkar Is gair laiq ya kam munasib aadmi ko vote dene me double gunah hai.

ek rishwat lene ka. chunanche rishwat lenewale par hadees shareef me laanat (allah ka gazab,fitkar, jannat se mahroomee) ki waeed aayee hai.

Dusra jhootee gawahee dena ko Jis ko Allah taala ne shirk ke baraabar qaraar diya hai.

lihaza aese paise aur khanon Se bahot bachna chahiye.

KITABUL FATAWA 6/263 SE MAKHOOZ


SAWAL
MERE PAAS TELEVISION HE

 

Ab me usse jaan bachnaa chahta hu ab me kya karu

Kya me use bech sakta hu ?

JAWAB

haamidan wa musalliyan

AGAR HIMMAT HO TO USKO TOR KAR ZAYIA-KHATM KAR DIYA JAAYE TAAKE KOI DUSRA USE ISTEMAL NA KAR SAKE

WARNA USE BECH KAR KISEE MUSTAHIQ KO RAQAM DE DEE JAAYE

AUR AGAR RAQAM KHUD BHEE ISTEMAL KARNA CHAHE TO USKEE BHEE KARAHAT KE SATH GUNJAAISH HE

 WALLAAHU AALAM

 *MUFTI MUHAMMAD ALI KARANCHI UFIYA ANHU

ON LINE DARUL IFTA JAAMIA BINORIA KARACHI

 *JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1-76

 JAHAN SE KHAREEDA HAI WAHEE USEE QEEMAT PAR YA KAM QEEMAT PAR WAPAS KARE TO US KE PAISE BILA KARAHAT ISTIAMAL KARNA JAIZ HAI.

 *AHSANUL FATAWA 8-306



SAWAL
YOGA ME SROLOK, MANT NA PADHE AUR HATH NA JODE TO JAIZ HAI? 
 
JAWAB
 
YOGA HINDUON KI MAZHABI KHAS IBADAT-ARAADHANA HAI UN KA SHIAAR, MAZHABI PEHCHAN, SANSKURUTI HAI(IS KA IQRAAR AKHBARON KI ADD ME WOH KHUD KAR CHUKE HAI ) UN KI MAZHABI AHAM KITAB GITA 350 PAGE KI HAIN JIS ME 150 PAGE SIRF YOGA PAR HAI AUR US KA HAR SABAQ YOGA SE SHUROOA HOTA HAI LIHAZA YOGA KI KISI BHI SURAT ME BILKUL IJAZAT NAHI APNE BACHCHON KO BHI IS SE BACHNE AUR NA KARNI KI TAKEED KARE SIRF WARZUSH KEHNEWALIN AUR AEATIRAZ KARNEWALON KO KAHA JAYE TUM HAMARI NAMAZ PARHO US ME QURAAN PARHNE KI BAJAYR APNE MANTR PARHNA WOH HARGIZ TAIYYAR NA HONGE KIYUN NAMAZ HAMARI MAZHABI IBADAT HAI.YOGA UN KI DHARMIK KIRYA HAI.AUR HAM KO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE KISI QAUM KI MUSHABAHAT-COPY IKHTIYAR KARNE SE BHI SAKHTI SE ROKA HAI.
 
FROM
HAZRAT MAULANA SAJJAD SAHAB NUAMANI,
HAZRAT MAULANA SALMAN SAHAB NADVI,
HAZRAT MUALANA SALIM SAHAB DEWBANDI
HAZRAT MAULANA ATAUL RAHMAN SB 
NADVI DAMAT BARKATUHUM KE BAYANAT SE MAKHOOZYOGA NAJIAZ KYUN?
 
 
 
 
SAWAL
HUM AGAR YOGA KI WARZISH (EXERCISE) SIKHNA AUR KARNA CHAHE TO HUM MUSLAMANO KE LIYE JAIZ HE ?
 
AL JAWAB
 
HAAMIDAW WA MUSALLIAYA
 
APNA WAZAN KAM KARNA( WEIGHT LOOSING) YA SIHAT (HEALTH) BARKARAAR RAKHNE KE PESHE NAZAR JISMANI WARZISH (EXERCISE) MAQSUD HO TO USME "YOGA" KA HEE EATIBAR YA USKE TARIQE KA LIHAAZ RAKHNE KI KYA ZARURAT HE ?
USKE LIYE KAI EK (BAHOT SI) AKSEER-MUFED MASHQ-PRECTIZ MASHHOOR HE.AUR US MAQSAD KE LIYE BA QAIDAH KAI EK CENTER JIM BHI QAIM KIYE GAYE HE.
WAHAAN JAA KAR APNI MATLUBA WARZISH KI JAA SAKTI HE.
JAB KI HINDU QAUM APNE JISMANI YOGA ME BHI DOURANE WARJISH APNA SAANS AUR DIL KI DHADKAN TAK KO BANDH KARNE KI KOSHISH AUR USKE DOURAAN APNE MA'ABUD "BHAGVAAN" KA TASAWWUR LAATE HE,  
IS BINA PER USSE MANAA KIYA GAYA HE, JAB KI MAHAZ JISMAANI WARJISH MANAA NAHIN HAI LEKEEN YOGA UN KI MAZHABI IBADAT HAI YOGA UN KI MAZGABI KITABEN PURAN, GIRA APNASHUD ME MAVJOOD HAI. GITA 350, KI HAINJIS ME 150 SAFHAT SIRF YOGA PAR HAI AUR HAR BAB-CHEPTAR YOGA SE SHUROOA HOTA HAI LIHAZA YE MUSHRIKANA KAAM HAI IS KA KARNA BILKUL JAIZ NAHI
FROM FATAWA BINORIA WA
AMEERE TAHRIKE WAHDATE ISLAMI 
HAZRAT MAULANA ATAUR RAHMAN WAJDI AUR MEMBERS OF MUSLIM PRASNAL LOW



 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free