AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

MASTURAT


BIVI KO ALAG ROOM DENA

SAWAL

KIYA BIVI KO KHAS ALAG ROOM DENA ZAROOREE HAI?

 

JAWAB

Han bivi ko aesa alag kamrah dena shohar ke zimme wajib hai ke  jis me shohar ka koi rishtedar na ho woh apna saaman hifazat se rakh sake jab chahe shohar ke sath bilkul be takalluf-bindast reh sake us kamreh me kisee ka koi dakhal na ho aur us ke tale chabi aurat hee ke qabza me rahe aesa kamrah deya to bivi ka haq ada ho gaya albattah bivi khud hee sab ke sath mushtarak -join femely me rehna gawarah kare to use sath me bhi rakh sakte hai.bivi pure alag ghar ka mutalabah nahi kar sakti.

[DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA  405]

 

BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

SAWAL

BIVI KO SIRF ROOM MANGNE KA HEE HAQ HAI ? ALAG GHAR MANGNE KA HAQ NAHIN TO HAMARE GHAR SAAS-BAHU, NANAD-BHABHI, DIRANI-JETHANI KE JHAGDE HOTE HAI TO SHAREEAT ME IS BAARE ME KIYA RAHNUMAI HAI?

 

JAWAB

Bivi ko sirf room dena us surat me hai jab shauhar ziyadah maaldaar na ho balke darmiyani ho aur (bivi ko shohar ke gharwalon se takleef na pahonchti ho) agar maaldaar ho ya darmiyani darje ka to apni haisiyat ke muwafiq bilkul alahidah mustahiq ghar dena waajib hai chahe khareedkar ho ya kiraye se ho ya aariyat- istiamal ke liye maangkar ho.

[FATAWA MAHMOODIYA SAFA 447 JILD 13 SE MAKHOOZ]

 

Hakeemul ummat hazrat maulana ashraf ali thanvi rahmatullahi alayhi farmate hai ke ek aam galti me aksar mard mubtalaa hai ke judaganah ghar dena apne zimme wajib nahin samajhte bas apne azeezon-rishtedaron me aurat ko laa dalte hai..aage likhte hai aaj-kal logon ki tabiyaton aur waaqiaat ka taqaza yeh hai ke agar aurat saath me rahne par razi bhi ho aur juda rahne se sab rishtedar nakhush bhi ho tab bhi maslihat yahi hai ke juda -alag hee rakhe usme hazaaron fitne aur buraiyon ka darwaza bandh hota hai aur is me chand roz ke liye rishtedaron ka munh chadhega magar is ki maslihat -fayde jab samne aayenge to sab khush ho jayenge khas taur par chulaha-kitchen to zaroor hee alahidah hona chahiye ziyadahtar aag isee chulhe se bhadakti hai.

[islahe inqilabe ummat safa 143 ,144 jild 2]

 

Note: maa-baap bahot burhe ho ya maa baap bimari ki wajha se khidmat ke muhtaj ho aur koi dusra koi khidmat karnewala na ho to fir khidmat ka intizam karna ya sath rehkar maa baap ki khidmat zarooree aur muqaddam hai.

 

SAAS KI KHUDMAT KA HUKM

SAWAL

Saas ki khidmat karna bahu ke zimme zarooree hai?

 

JAWAB

Baaz  admi is ko badi sa’adatmandi samjhte hain ke bivi ko apni maa ka mahkoom wa magloob ( nokrani-khadimah) banakar rakhen aur us ki badolat biviyon par bade bade zulm hote hain, so samajh lena chahiye ke bivi par farz-zarooree nahi ke saas ki khidmat kiya kare,

(shohar-beta) saadat mand ho khud khidmat karo, khidmat ke liye nokar laawo.

[islahe inqilabe ummat safa 188 jild 2]

 

SAAS KI KHIDMAT KARNA BEHTAR HAI.

SAWAL

SAAS KI KHIDMAT SHAR'AN ZARURI NAHIN LEKEEN SHAUHAR MAALDAAR NA HO KE KHADIM RAKHE AUR KHUD KAROBAR ME MASHGUL REHTA HO TO BIVI KO KIYA KARNA CHAHIYE ?

 

JAWAB

Mazkoorah surat me bhi na to shauhar bivi ko khidmat par majboor kar sakta hai na to  saas zabardasti khidmat le sakti hai, lekin jab mavqah aesa ho to shari'at akhlaq ki bhi taleem deti hai.shauhar maaldaar ho aur khadim rakh bhi sakta ho fir bhi bivi bila kahe  khidmat karegi to shauhar saas aur tamaam gharwalon ke dilon me us ki muhabbat, qadar aur martabaa badhega aur sab ke dil aapas me judenge aur bivi allah ke qurb aur ajro sawab ki mustahiq hogi khususan saas sasur muhtaj ho to khidmat karna behtar hai ek din ye miya bivi bhi saas aur sasur banenge yeh khidmat karenge to in ki aanewali awlad bahu bhi khidmat karegi khulasa ye hai is bare me na to saas khidmat ko apna haq samjhe na to bahu fatwe ko lekar apne akhlaqi fareezah se gaflat aur be rukhi barte balke saas bahu ki khidmat ko bahu ka aehsaan samjhe us khidmat me kuchh kotahi ya kami ho to gussa karne aur baras ne ke bajaaye dar  guzar aur chashm poshi (let go) se kaam le aur us ki khidmat par taareef kare duaayen den aur us ka hadiye ki surat me kuchh badla bhi de aur Saas bahu ko apni beti aur bahu saas ko apni maa samjhe aur khidmat ke mavqe ko ganimat samjhe aur un ki duaa le aur us par kuchh zayadati ho to sabr se kaam le aur us par allah ki khushnudi aur apne darje ki buland hone ki allah se ummeed rakhe.

[MISAALEE DULHAN SAFA  307 se 311 KA KHULASAH]


Sawal

Kya nail polish utarne k bagair wuzu or gusl sahi ho ga ya nahi ?

Jawab

nail polish utaare bagair wuzu sahi nahi hota. or jis par gusl farz ha us k liey bi nail polish utaarna zaroori he. agar nail polish saaf kiye begair wuzu ya gusl kar k namaz parhi to ye namaz begair wuzu k begair gusl k he. Begair wuzu namaz parhna buhat barha gunah he.

[Aap k Masail or un ka hal]


MANGANI KE BAAD SMS CHATING SE LADKA AUR LADKI KI BAAT CHIT

SAWAL

MERI SAGAAI-MANGANI HO GAI HAI TO LADKI SE CALL PAR TO NAHIN WHATSAPP YA FACEBOOK PAR KYA BAAT KAR SAKTE HAI ?

 

JAWAB

Nahin kar sakte,

sms-Chating ye bhi baat karne ki hee ke hukm me hai. is gunah ki nahoosat ki wajah se kai sagaaiyan-manganiyan toot chuki hai abhi sabar kare shaadi baad baat karne me maza aayega pehle se baat kar loge to woh lutf baqi nahi rahega.

(MOBAIL KE MASAIL SE MAKHOOZ)


TALAQ KAB DENA CHAHIYE?

 

SAWAL

Miya bivi me jhagda ho aur bivi na farmaani karti ho to sharan kyaa karna chahiye kiya us wawt Talaq deni chahiye?

 

JAWAB

Talaq allah ko intihaaee naa pasand hai talaq dene Se allah ko gussa aata hai allah taala Ka arsh hil jata hai.lihaza

Talaq dene se pehle quraane kareem ne char step-darje bataye hai. bivi se kisi baat me jhagda ho aur woh nafarmani kare to

1.pehle use pyar muhabbat se samjhaye, naseehat kare Fir bhi na mane to

2.us ka bistar ghar hee me alag kar de Fir bhi na mane to akhree darja

3.use halki maar mare jis se nishan baqi Na rahe haddee na tute lekeen mamoolee galtee par na mare galtee badee ho to hee dono tadbeer ikhtiyar karne Ke baad akheer me maare

agar maan jaye to us se koi ikhtilafi baat Na kare use qusoorwar na thehraye purani baaton ko bhul jaye.

Is se bhi qabu me na  aaye to

4.miyan bivi dono khandano Ke reshtedaron me se ek ek insaf se fesla karnewale shakhs dono miya bivi kee shikayaton ko sune aur ahwal kee tahqeeq kare aur dono ko samjhane kee suleh karane ki koshish kare agar dono me ikhlas hai kisi ko nicha dikhana apne ko uncha dikhana maqsood na ho to allah ka wada hai Ke woh suleh kara denge.

Is se bhi muaamala na suljhe to ab akheer me talaq  de den jis ka saheeh tareeqah kal pesh Kiya jayega

surah e Nisaa  35,35 maa tafseere usmani


 

BIVI KE LIYE APNE SATH SHOHAR KA NAAM LIKHNA

SAWAL

KYA BIWI APNE NAAM KE SATH SHOHAR KA NAAM LAGAA SAKTEE HE

 

JAWAB

Biwi ka apne naam ke sath shohar ka naam lagaane me koi haraj nahee he kyun ke ye taareef [pehchan] ke liye he jisme waham ya  nasab ka ikhtilaat-mixing nahee hota

Pehchaan karaane  ke bahoot se tareeqe hai

Kabhee gulaam-nokar hone ke waaste se hotee he

Jaise ikrama ibn e abbas ke ghulam-abdullah bhai ki kaamwali

Kabhee peshe-dhande se hotee he jaise ghazaali [kapda bunne waale]

Kabhee laqab aur kunniyyat se hotee he

Jaise aaraj [langde] aur abu muhammad aamash [kamzor nazar wale]

Kabhee maa kee taraf nisbat karke hotee he jaise ismaael ibn e ulayyah

Mufti abdurvraheem ki beti

Aminaa ka laal-beta aur kabhee zawjiyyat-nikah hone ke sath hotee he jaise quraan e kareem me ek jagh he

 امرأة نوح و امرأة لوط

Nooh ki bivi aur loot ki bivi

 aur dusree jagh

 امرأة فرعون

Firon ki bivi

Surah e tahreem [@10,11]

Me waarid huwa hai

Bukhari kee riwayat he

Abu saeed khuzree radiallahu anhu  farmaate he

Ibne masuud radiallahu anhu kee biwi zainab aayee aur ijaazat talab kee kaha gaya yaa rasulallah [sallalaahu alayhi wasallam ]

Ye zainab aayee he

Aap ne poocha kaunsee zainab

Kaha gaya ibne masood kee biwi farmaya haa use aane kee ijaazat dedo

Yaad rahe ke nisbat wo haraam he jisme bete ke lafz ke sath baap ke alaawah kee nisbat kee gayee ho mutlaqan-har nisbat karna haraam nahee he

Albatta agar nisbat betehone ke lafz ke sath baap ke alaawah kee taraf kee jaaye to wo haraam he jiske baare me allah irshaad

Farmaate he

"unhe unke baapo ke naam se bulaao yahee allaah ke nazdeek zyada insaaf kee baat he"

[surah e ahzaab @ 5]

 

*maakhuz az aap ke masail aur unka hal

8/256

*bahawala alamgiree 5/362 baab 21 se mustafaad

 

-mufti abdul qayyum ibne rasheed ajmeri raander,surat

Note:

Masaail ke woh sms jis me kisi muatabar alim kaa naam yaa fatwe yaa masaail ki muatabar kitaab ka naam na likhaa ho use  bilaa tahqeeq na maane agarche us me quraan aur  hadeeson ke hawaale ho aam taur woh gair muqallid naam ke ahle hadees ke sms hote hai woh apni naaqis aqal se deen ko direct quraan hadees se samjhne bethte hai aur galati karte hain

-mufti imran ismail memon hanfi gufira lahoo

Mudarrise darul uloom rampura surat gujrat india.


ZERE NAAF KE LIYE

 

RAZOR YA CREAM KA ISTIAMAL

SAWAL

 

KYA AURAT KO GAIR ZAROOREE BAAL RAZOR SE KAATNA JAAIZ HE?

 

JAWAB

AGAR CHE AURAT KE LIYE GAIR ZAROOREE BAALO KA RAZOR SE BHEE KAATNA JAAIZ HE MAGAR MUSTAHAB YE HE KE WO UNKO NAUCH [KHEENCH-UKHAR DALE]

YA CREAM WAGHAIRA ISTEMAL KARLE TO MARD AUR AURAT DONO KE LIYE JAIZ HAI.

*ONLINE FATAWA BINORIA

*AHSANUL FATAWA 8/78  BAHAWALA SHAMI

WALLAHU AALAM

 

MUFTI ABDUL QAYYUM AJMERI RANDER


 


SAWAL

Kya bivi ka pistan-nippal munh me lena jaiz hai?

Agar kisi ne bivi ka dudh pee liya to kiya bivi uspar haraam ho gai?

 

AL JAWAB

Bivi ka Pistan-nippal munh me lena jaiz hai.

dudh pina haraam hai agar munh me aajane ka guman ho to pistan munh me lene se bachna chahiye. agar galti se dhudh munh me aajaye  to thuk de.

agar kisi ne pee liya to nikah nahi tootega lekeen gunehgar hoga

*fatawa mahmoodiyah 18/626

Aur

*jamiul fatawa 3/236 se makhooz


SAWAL

 

Kya mard apni aurat ke hath se paani nikalwa sakta  hai? Yani shohar apni bivi ko mushtzani-Masturbation (hastmaithun) karne ko keh sakta hai?

Kya aesa karne se bivi ya shohar gunehgar honge?

 

AL JAWAB

Bila uzr aesa karaana behtar  nahi.lekeen jaiz hai

aur haiz-mc,nifas wagairah halat me shahwat ke galbe ke uzr-majbooree ki wajha se aesa karwa liya jaye to us me koi haraj-gunah nahi.bila karaahat jaiz hai.

*Ahsanul fatawa 8/264

*fatawa mahmoodiyah


 



PARDE  KE  AHKAAM

SAWAL

Aurat ka ilaj Mard Doctor se karwa sakte hai ya nahi kin surton me ijazat hai aur kin surton me mana hai?

 

JAWAB

 

Tabeeb ( Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz he,

Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri he,

Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka  khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bata de, khud ilaaj na kare,

Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Mareeza Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim he ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,

Bachcha Janaa'i-delivery  ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar maamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta he.

 

 mufti yusuf ludhyani shaheed  Rahmatullahi alayhi.

 

Aapke Masail aur unka Hal, 8/54



S a w a a l

 

     Auraton  ka  benkon  ya

     Offices  me  mardon  ke

     Saath  dafaatir  me  kaam

     Karna  kaisa  hai...?

 

J a w a a b

     Auraton  ka  be-parda

     Ghair-mahaarim  mardon

     Ke  saath  daftaron  me  kaam

     Karna  maghribi  tahzib-rasmo riwaj ki

Dain hai,

     Islam  iski  ijaazat  nahi  deta

     Hai.

     Wαllαнu ααlαm.

 

բ:

                 Aap ke masaail aur

                 Unka hal-8/83.

 

Zεrε  sαrpαrαsti

               Mαulαnα  aнmαd  sb.

 

Zεrε   nigrααnii

              Mαulαnα  m.amεεn  sb.


Sawal

Aaj kal baaz jaga aurten bhi hajiyon ko rukhsat karne platform par jati hain shareeat me is ka kiya hukm hai.?

 

Jawab

Hajiyon ko rukhsat karne ke naam par aurtin ka platform par jana mardon aur aurton ka mel jol be pardagi, bad nigahee wagairah kai kharabiyon ke paida hone ka sabab hai. Lihaza is ko qatee taur par -bilkul band kar dena chahiye.

Fatawa raheemiyah 8/136 se makhooz

SAWAL

Kya  Aurten  {FemaLs}  Aapas  Mai  Musafah  Kar  Saktii  Hein,  Aur  Mu'aanaqah  Kar  Saktii  Hein ?

 

 

J A W A A B

RasooLe  Kareem  SaLLaLLahu  ALayhi  WaasaLLam  Ne  Irshaad  Farmaya :

MusaLmaan  Jab  Bhii  Aaps  Mai   MiLte  Hein   Aur   Musaafah  { Handshake}  Karte  Hein  To  ALag  Hone  Se  PehLe  Unke  Gunah  Mu'aaf  Kar  Diye  Jaate  Hein,

Isii  Liye  Musafah  {Handshake}  Ke  Masnoon  Hone  Par  Ummat  Ka  Ijmaa  Aur  Ittifaaq  Hai,

RasooLuLLaah  SaLLaLLahu  Alayhi  WasaLLam  Ne  Isme  Mardon  Aur  Aurton  Ki  Koi  Tafreeq  Nahie  Farmaai ,  Na  Fuqahaa Ne  Farq  Kiya  Hai,  Is  Liye  Jaise  Ek  Mard  Dusre  Mard  Se  Musafah  Aur  Muaanaqah  {Hug}  Kar  Sakta  Hai,  Usii Taraah  Ek  Aurat  Ka  Dusrii  Aurat  Se Bhii  Musafah  Aur  Mu'aanaqah  {Hug}  Karna  Sunnat  Hai.

WaLLaahu  Ta'aaLa  AaLam.

 

 

 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free