AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

MASAILE JANAAIZ

SAWAL

JOOTE PEHAN KAR NAMAZE JANAZA PADHNA KAISA HAI ?

 

JAWAB
Aaj kal baaz log janaza ki namaz joote pehne hue padhte he’n, unke liye zaruri he k wo jis jagah khade ho wo jagah aur joote dono paak ho ,varna unki namaz nahi hogi ,

 [bahishti gohar]

 aur agar joota pair se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf joote ke ouper ka hissa jo per se mila ho uska paak hona zaruri he, agarche talaa napaak ho ,neez is soorat me wo zameen bhi napaak ho to koi harj nahi. Lihaza  juta nikalne kee surat aehtiyatwali hai

[bahishti gohar, imdadul ahkaam ahkaam e mayyat,. Safa no. 62]


SAWAL

JANAZAH UTHANE KE WAQT KA AELAN KAR DIYA HO,

MASALAN SUBAH 11 BAJE.

AUR MAQAMI POORA  MAJMAA AA GAYA HO LEKEEN BAHAR KE KHAS RESHTEDAR NA AAYE HO TO UN KE INTIZAR ME TAKHEER KARNA AUR UN RISHTEDARON KA TAKHEER KARWANA KESA HAI?

 

J A W A A B

MASNOON TAREEQAH YE HAI KE MURDE KE TAJHEEZO TAKFEEN (kafan dafan) MEI JALDI KI JAAYE,  AUR DOOR SE KISI AANE WAALE  KA INTIZAAR NA KIYA JAAYE, KE ISSE LOGON KO TAKLEEF HOTI HAI,AUR YE TAREEQAH BEHTAR BHI NAHI,AUR TAKLIF PAHONCHTI HO TO JAIZ BHI NAHI

(MUQARAR WAQT KE BAAD RISHTEDARO KE INTEZAAR ME JITNE LOG PEHLE SE SHIRKAT KARNE KO AAYE HAI TAMAM KO TAKLIF HOGI,

HAR SHAKHS APNE KAROBAR AUR RAHATO AARAM CHHODKAR AAYA HAI,

UN TAMAM KO APNE KAMO ME KHALAL WAQEA HOGA,

AUR MAIYYIT KI AAKHRI ZIYARAT KARNA AUR JANAZE ME SHIRKAT KARNA SHAR'AN ZARURI NAHI HAI.

APNE ZAATI TAMANNA AUR SAWAB KE MUQABLE ME DUSRON KO TAKLIF NA PAHONCHE IS BAAT KO MUQADDAM RAKHNA CHAHIYE)

EK TARAF HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA HUKM HAI:

Isra'u  Bihi  ILaa Qabrihi {Mishkaat}

Janaze me Jaldi karo

(aur isme takheer na karo)

AUR

RISHTEDARO KA HUKM HAI:

"TAKHEER KARO"

AB AAP KHUD FAISLA KIJIYE KE KIS KI BAAT KO MAANNA CHAHIYE ?

KIS KI AZMATAUR MUHABBAT AAP KE NAZDIK ZIYADA HAI ?)

SAWAALO JAWAAB QUR'AANO HADEES KI ROSHNI ME

Sahibzada Qaari A.Baasit Sb.-1/366 se MAAKHUZ.

 

SAWAL

JANAZE KO KANDHA DETE WAQT KIYA KARNA CHAHIYE?

1. SIRF KALMA-e-SHAHADAT KO  AAWAZ SE PADHE

2. BULAND AAWAZ SE ZIKR KARE

3. KALIMA-e-TAYYIBA AAWAZ SE PADHE

4. KOI BHI ZIKR AAHISTAH SE KARE

 

 

JAWAAB

JANAZAH KE  SAATH  JAHRAN  KALIMA  TAYYABA  PARHNA  BIDAT  HAI.

[ AHSANUL FATAWA 1/338 ]

[ FATAWA MAHMOODIYAH 2/401]

[ ALAMGEERI 1/104 ]

 

JANAAZAH  KE  SAATH  AHISTA  ZIKR  KI  IJAAZAT  HAI,,ZOR  SE  PARHNE  KI  IJAAZAT  NAHI  MAKROOH  HAI,IS NE RIYAKARI KA BHI ANDESHA HAI

JANAZAH  KE  SATH  DIL  DIL  MAI  ALLAH  KA  ZIKR  KIYA  JAYE  JAHRAN-ZOR SE { LOUDLY} ZIKR  KARNA  MAKROOH  HAI,....CHALTE  CHALTE  TANHA  TANHA  ZIKR  KARNE  MAI  HARAJ  NAHI.

FATAWA  RAHEEMIYA 6/194

SHAMEE 1/838, BAHRRURAIQ 2/192

 

JANAZAH  KO  KHAMOSHI  KE  SAATH  LE  JAANE  KA  HUKM  HAI  HADEES  MAI  HAI  KE  JANAZA  LE JAATE  WAQT  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARNA   ALLAAH  KO  PASANDEEDAH  HAI.

FATAWA  RAHEEMIYA 8/185

 

JANAZAH  KE  SATH  CHALNE  WALO  KO  KHAMOSH  RAHNA  LAAZIM  HAI, AUR  BULAND  AAWAZ  SE  ZIKR  KARNA  YAA QURAAN  KI  TILAAWAT  KARNA  MAKROOH  HAI  AUR  AGAR  KOI  SHAKHS  ZIKR  KARNA  CHAHE  TO  DIL  MAI  ZIKR  KARE.

SHARHE TAHAWEE1/162

 

FUQAHA NE  JANAZAH  KE  SAATH ZOR  SE  ZIKR  KARNE  KO  MAKROOH  TAHREEMI  QARAAR  DIYA  HAI

AL BAHRURRAAIQ  MAI HAI KE  JANAZAH  KE  SAATH  CHALNE  WALO KE  LIYE  MUNAASIB  HAI  TAWEEL  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARE  ZIKRA, QIRAATE  QURAAN WAGHAIRAH  KARTE HUWE  AAWAZ  BULAND  KARNA MAKROOH  HAI  AUR  MAKKROOH  SE  MURAAD  MAKROOHE  TAHREEMI  HAI

KITAABUL FATAWA 3/188

 

ALLAH TAALA HAME  APNI  RAZA  WAALI MAUT NASEEB  FARMAYE..AUR NAAGIHAANI MAUT  SE  HIFAAZAT  FARMAYE.

AAMEEN

 

 

 

SAWAL

JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?

 

JAWAB

HAZRAT  BARAA  BIN  AAZIB RAZIYALAHU ANHU  SE  RIWAAYAT  HAI  KE  RASOOLULLAHI  SALLALLAHU  ALAIHI  WA  SALLAM  NE  HUME  JANAAZAH  KE  PICHHE  CHALNE  KA  HUKM  DIYA  HAI    [BUKHARI]

IS SE  SAABIT  HOTA  HAI  KE  JANAAZAH  MAT'BOOA ( IMAM KI TARAH) HAI  AUR  LOG  TAABEA

(MUQTADEE KI TARAH) HAIN  LIHAZA  JANAZAH  AAGE RAKHNA  AUR  LOGON  KA  PICHHE  CHALNA  AFZAL  AUR  MUSTAHAB  HAI.

JANAZAH  AAGE  AUR  SAAMNE  RAHNE  MAI IBRAT  AUR  NASEEHAT MAUT KI YAD BHI  HAI.

 JANAZAH  KE  AAGE  RAHNA  BHI  JAAIZ  HAI MAGAR  BEHTAR  NAHI, KANDHA  DENE  KE  LIYE  KUCH  LOGUN  KA  JANAZAH  KE  AAGE  RAHNA  BHI  JAAIZ  HAI.

SAB  KA  AAGE  CHALNA AUR  JANAZAH KO  PICHHE  CHHOD  DENA  MAKROOH  HAI

(JAISE KE AAJ KAL BAHUT JAGA HO RAHA HAI)

KANDHA  DENE  KE  LIYE  LOG  LAMBI  QATAAR  BANDHTE  HAI  AUR  JANAZAH  KO  PICHHE  CHHOD  DETE  HAI  YAH  GALAT  TAREEQAH  HAI.

JANAZEH KO KANDHA DENE KE LIYE KUCHH LOG JANAZE KE AAGE QAREEB ME HONA

(DOOR DOOR TAK NA HON) AUR AKSAR LOG PICHHE HON AAGEWALE KANDHA DEKAR PICHHE HAT JAWE

(WAPAS AAGE NA JAYEN) JIS SE PICHHEWALON KO KANDHA DENE KA MAUQA AASANI SE MIL JAYE AESA TAREEQAH IKHTIYAR KIYA JAYE.

FATAAWA  RAHIMIYAH JADEED 7/124 BA HAWALA  DURRE MUKHTAR MAASH SHAMI1/834

ALAMGIRI 1/104

BAHRUR RAEEQ 1/192)

 

ALLAH TAMAM PADHNEWALON KO MAUT KE BAAD KI ZINDAGI KI TAIYTARI KI TAUFEEQ ATA KARE.

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free