AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

AITEKAF

SAWAL

Aitekaf kise kehte hai ?

Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?

 

JAWAB

Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho,

 Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,

Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,

Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe,

Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,

Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,

1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawkuf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.

2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnat hai, Jo Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi,

3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,

Imaam muhammad rh. Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.

 

SAWAL

Sunnat iatikaf ka waqt kiya hai masnoon iatikaf kitno dino ka karna zarooree hai?

JAWAB

Ramzan mubarak ke ashrah e akheerah yani aAkhri das [10] rozon ka iatikaf sunnat hai.

(Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne madine me aakar kabhi bhi nahi chhoda)

 Is ki shurooaat urdu 20 bis tareekh ki guroobe aftaf ke waqt se hoti hai

(is sal 2015 me 8 july budh ke din guroobe aftab pehle hee beth jaye)

aur eid ka chand deekhte hi iatikaf khatm ho jata hai.

chand chahe 29 untees ka ho ya 30 tees ka ho dono suraton me sunnat ada ho jati hai

[BAHISHTEE ZEWAR HUSSA 11 SAFA 107 SE MAKHOOZ]

 

SAWAL

aitikaf ka kiya hukm hai?

Kiya iatikaf zarooree hai?

 

JAWAB

Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate Muakaddah alal kifaya he,

agar basti-mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar-laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega,

Jis masjid me namaz panj waqta bajama’at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye, agar jumaa na hota ho to bhi bethna chahiye aese muatakif ko Juma parhne jana jaiz hai aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama’at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he,

Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid me aitkaaf me bethne ka sawab milega,

[Aapke Masail aur Un ka Hal,3/320]

 

SAWAL

aetikaf jis masjid me kiya ho wahan jumaa na hota ho to jumaa parhne ke bare me kiya masail hai aur iatikaf me kin cheezon se bachna chahiye?

 

JAWAB

jis masjid me muatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze jumaa ke liye ja’ama masjid yani jahan jumaa hoti ho wahan Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahiytul masjid aur sunnat padh sake, aur namaze jumah se farig hokar fauran apni masjid me wapas aa jaye,

Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya,

Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tahreemee he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to us ke intizam me aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar bechne ka samaan masjid me lana jaa’iz nahi,

Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna saheeh he,

Ramzan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zarooree he k 20 vi islami tareekh ko suraj guroob hone se pahle masjid me aitkaaf ki niyyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he, agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga balke nafali iatikaf ho jayega

[Aapke Masail aur Unka Hal,3/322]

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free