AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

JUMUAH

JUMUAH MUBARAK KA HUKM?

sawal

jumuah mubarak kehna kaisa hai?

1.mustahab
2.sunnat
3.bid`at
4.sunnat ya deen samajh kar na kaha jaye to mubah yaanee jaiz hai.
5.bachna behtar ?


jawab

jumuah ka din ba barkat hai us barkat ke izhar ke liye ya bataure duaa musalmano ka baham ek dusre ko juma mubarak kehna ya is (ka sms bhejna) fee nafsihee- bazahir jaiz to hai,
magar mustaqil- khas taur par jumaa ke din ka sharee juzv-hissa aur rasm bana lene ki galti na ho jaye (aaj to whatsapp par baz logon ne rasam bana lee hai) isliye baaz ahle ilm ne mana kiya hai.
faqt wallahu aalam
(darul ifta jamiaa uloomi islamiyah binnoree tawun karanchi ka fatwa tasheel-alfaz ko asan karne ke sath)

Usool  (1)
kisi kaam ke bare me sunnat aur bidat hone me shak ho to usey bhi chhod dena behtar hai to jis kaam ke bare me bidat aur mubah-jaiz hone me shak ho aur rasm ban jane ka khatra ho us ko to ba tareeqe awlaa chhod dena chahiye.

Usool (2)
Balke jis kaam me nafa ho lekeen nuqsan ka bhi khatra ho to shareeat ne nafa hasil karne ke muqabale me nuqsanse se bachne ko behtar kaha hai
(rasmul mufti)

Ye do usool ikhtiyar kar liye jaye to tamam aese kam Jis ke bidat aur jaiz hone me ikhtilaf hai ummat ko un shak wale kamo se najat mil jaye.
baaz mamalik me jumaa ka din pata nahi chalta to us kee yad dihani ke liye jumaa mubarak kehte hai un ko bhi chahiye ke yaad dihani ke liye juma mubarak kehne ke bajaye jumaa ki kisi sunnat ki dawat di jaye to ye maqsad bhi hasil ho jayega.
masalan aaj juma hai masjid jald pahonchne ki sunnat ham ada kare, wagairah.(makhooz az fatawa raheemiyah 2/187)

✏ [mufti] IMRAN ISMAIL MEMON
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.

ZADUL MUTTAQEEN KE HAWALE WALA JUMUAH KE DIN PADHNE KA DUROOD KE JISKE PADHNE SE HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KHUD APNE MUBARAK HAATHON SE QABR ME UTARENGE US PAR AEATRAAZ KA JAWAB:

 

ZADUL MUTTAQEEN KE HAWALA KA DUROOD PADHNE SE HUZOOR SALALLAHU ALAYHE WASALLAM APNE DASTE MUBARAK SE QABR ME UTARENGE IS BAAT SE BARELVEE  APNA YE AQEEDAH SAABIT NAHI KAR SAKTE KE HUZOOR SALLAHU ALAYHE WASALLAM HAR JAGA HAZIR HAI, KIYUN KE

AQEEDAH KE LIYE SAHEEH AUR QATEE ( biilkulsaaf aur pukhtah) DALEEL CHAHIYE AUR YE DUROOD AESI DALEEL SE SABIT NAHI.

 

WARNA DUROOD FAZAIL ME MUATABAR HAI MUFTI RASHEED SAHAB LUDHYANEE R.A.NE US PAR MUQADDAMAA LIKHA HAI.

 

HUZOOR SALLAHU ALAYHE WASALLAM KA CHEHRA E ANWAR DIKHA KAR PUCHHA JAYEGA KE IS SHAKHSIYYAT KE BARE TU KIYA KEHTA HAI JO TERE DARMIYAN BHEJI GAI THI

YE BAAT HADEES SE SABIT HAI US KI AUR

US DIN JITNEE MAIYYAT DAFAN HUI HAI UN ME US DUROOD PADHNE WALE KI QABR ME APNE HATHON SE DAFAN KARNE KI MISAAL AESI HAI JAISE KOI SHAKHAS KISI KHAAS JAGA PAR MAVJOOD HO AUR WOH KISI KO HATH DIKHAYE AUR MUKHATAB HO BATCHIT KARE AUR US KA LIVE DUNYA KI HAR TV PAR DIKHAYE JAYE TO HAR DEKHNE WALON KO AESA MAHSOOS HOTA HAI KE HAME HATH DIKHA RAHA HAI AUR HAM SE MUKHATAB HAI.

ISI TARAH HAR DUROOD PADHNE WALE KO DAFAN HOTE WAQT ALLAH YE MAHSOOS KARA DE TO US KI SHAN SE BAEED NAHI HAI.

YE BAAT TO SIRF IS BAAT KO HAMARI SAMJH SE QAREEB KARNE HAI WARNA WOH AALAME BARZAKH HAI US KE AHWAL KO US AALAM PAR QIYAAS NAHI KIYA JA SAKTA HAI.

 

 

 

بسم الله الرحمن الرحيم اللهم صلَّ وسلّم وبارك على سيدنا محمد النبىّ الامى , الحبيب العالي القدر , العظيم الجاه وعلى آله وصحبه وسلّم .هذه صلاة العالي القدر نقل الشيخ الصاوي في شرحه على صلوات الدردير والعلاّمة محمد الامير الصغير في ثبته عن الامام السيوطي أن من لازم عليها كل ليلة جمعة ولو مرة لم يلحده في قبره الا النبى صلى الله عليه وسلم وذكرلها فوائد هذاالسيد احمد دحلان في مجموعته بابسط مما ذكر ونص عبارته: (ومن الصيغ الفاضلة التي ذكر كثير من العارفين ان من داوم عليها ليلة الجمعة ولو مرة واحدة ينكشف لروحه مثال روح النبى صلى الله عليه وسلم عند الموت وعند دخول القبر حتى يرى ان النبى صلى الله عليه وسلم هو الذي يلحده

 

, قال بعض العارفين وينبغي لمن داوم عليها ان يقرأها كل ليلة عشر مرات وليلة الجمعة مائة مرة حتى يفوز بهذا الفضل والخير الجسيم ان شاء الله تعالى وهى هذه

 

( اللهم صل على سيدنا محمد النبى الامى الحبيب العالي القدر , العظيم الجاه وعلى آله وصحبه وسلم )

 

قال وكان شيخنا العارف بالله تعالى سيدي الشيخ عثمان الدمياطي افاض الله عليه سحائب الرحمة والرضوان يقول (العلىُّ القدر)

 

ويذكر انه تلقاها كذلك وكان يذكر لها فضائل كثيره ويواضب على قرائتها خلف كل صلاة مرة او ثلاث مرات ويزيد على ذلك زيادة في وسطها تلقّاها عن بعض اشياخه ويذكر ان فيها فضائل وتصير بها الصلاة جامعة للدعاء والاستغفار والصلاة على النبى المختار صلى الله عليه وسلم وهذه الكيفية التي كان يأتي بها

 

( اللهم صل على سيدنا محمد النبى الامي الحبيب العلىّ القدر , العظيم الجاه وأغنني بفضلك عمّن سواك وعلى آله وصحبه وسلم اللهم أعني على ذكرك وشكرك وحسن عبادتك والطف بي فيما جرت به المقادير واغفر لي ولجميع المسلمين وارحمني واياهم برحمتك الواسعة في الدين والدنيا والآخرة ياكريم يارحيم ) ماكان يترك هذه الصلاة بهذه الصيغة خلف كل صلاة بعد قراءة آية الكرسي سواء كانت الصلاة فرضا او نفلا في حضر او سفر ويذكر انه يرى لها من العجائب مالا يعلم قدره الا الله تعالى

 

. وذكر بعضهم في الصيغة المذكورة زيادة ( بقدر عظمة ذاتك) , ولفظها اللهم صل على سيدنا محمد النبى الامى , الحبيب العالي القدر , العظيم الجاه بقدر عظمة ذاتك وعلى آله وصحبه وسلم ) وبالجملة فالصلاة على النبى صلى الله عليه وسلم نافعة بأى صيغة كانت ولاشىء انفع لتنوير القلوب ووصول المريدين الى الله تعالى منها فأن المواضب على الصلاة على النبى صلى الله عليه وسلم يحصل له انوار كثيرة وببركتها يتصل بالنبى صلى الله عليه وسلم أو يجتمع بمن يوصله اليه خصوصا اذا كان مع الاستقامة وخصوصا في آخر الازمان عند قلة المرشدين والتباس الأمور على الناس فمن أراد هداية الخلق وارشادهم فعليه أن يأمر الناس عوامهم وخواصهم بالاستغفار والصلاة على النبى صلى الله عليه وسلم .

 

انتهى كلام السيد احمد دحلان

 

.من كتاب افضل الصلوات

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free