CHEHRA-MENHDI
SAWAL
MUNCHH ME ASAL SUNNAT KIYA HAI?
1. LAB-HONTH NAZAR AAYE ITNE BAAL KATNA
2. ASTRE SE PURI MUNCHH MUNDNA
3. ITNI BARIK PURI MUNCH KATNA KE KE IS SE ZAYADA KATNE KI GUNJAISH NA RAHE.
JAWAB
MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE(
[FATAWA MAHMOODIYYAH BA HAWALA SHAMI 2/550 KITABUL JINAYAT
BAHRUR RAAIQ 3/19]
HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI
(MUSLIM SHAREEF 1/129 BABU KHASAILE FITRAT
TAHAWEE SHAREEF)
HONTHO KE BAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE (YE BHI SAHEEH HAI)
AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI BAZON NE BIDAT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AETIYAT HAI.
(MIRQAT BAHISHTI ZEWAR 224)
SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE ( FATAWA ALAMGIRI)
**********************************************
SAWAL
DADHI KA KYA HUKM HAI..?
JAWAB
DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.
KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAM HAI.
HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI.WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.
(AL MINHAL 1/187)
BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.
GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.
( FAIZUL BARI 4/380)
( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)
GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.
(AHSANUL FATAWA 8/76)
DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.ALLAH JAWAB DENA BHEJNE AUR PADHNEWALON KO IS SE BACHNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYEN AMEEN***********************************************************
SAWAL
1.SIYAH MAIL KHIZAB (BALON ME LIGHT KALI MEHNDI YA DARK BROWN MEHNDI JO DOOR SE KALI MALOOM HO LAGANE KA KIYA HUKM HAI?)
2. BILKUL KALA KIZAB- MEHNDI AURTEN SHOHAR KO KHUSH RAKHNE LAGA SAKTI HAI YA NAHI?
JAWAB
1. AESA KHIZAB LAGANA MARDO AUR AURTON KO JAIZ HAI.
(DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 78 BA HAWALA IBNE MAJA WA IMDADUL FATAWA 4/203 )
2. HAN AURAT BILKUL KALA KHIZAB AGAR SHOHAR KHWAHISH KARE TO SHOHAR KHUSH RAKHNE BA TAURE ZEENAT LAGANE KI BAAZ ULAMAA NE GUNJAISH DEE HAI. BA SHARTE APNE AAP KO JAWAN ZAHIR KAR KE KISI KO DHOKA DENA MAQSOOD NA HO.
( AURAT KE LIYE BANAU SINGAR KE AHKAM SAFA 48 BA HAWALA MIRQAT SHARHE MISHKAT 8/304 )
*************************************************SAWAL
SAR ME MAANG KAHAN SE NIKALNA SUNNAT HAI?
1. DARMIYAN SE
2. DAYEEN- SIDHI JANIB SE
3. BAYEN- ULTE JANIB SE
4.CHAHE KAHIN SE BHI
JAWAB
NAAK KE MUQABIL DARMIYAN SE MANG NIKALNA MARDON AUR AURTON DONO KE LIYE SUNNAT HAI.DAYEN YA BAYEN YA MANG NIKALNA ISLAMI TAREEQAH NAHI HAI.
( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 93 HAZRAT MUFTI SAEEED SAHAB PALANPURI D.B.SHAIKHUL HADEES DARUL ULOOM DEVBAND)
दाढ़ी रखने के फायदे और इनाम
तमाम नबियों की सुन्नत
सो (100)शहीदों का सवाब
बालिग होने से लेकर मौत तक का लगातार अमल हे ,लगातार सवाब हे
नबी सल्लल्लाहु आलिही व सल्लम से मोहब्बत की अलामत हे
अल्लाह की रजा का सबब हे
गला और सीना ठंडी और गर्म हवा से मेहफ़ूज़ रहता हे
मुसलमान की पहचान हे ,लोग देख कर सलाम करेंगे ,मदद के लिए तैयार हो जाएंगे
दाढ़ी में कंगी करने पर दुश्मनो के दिल में हमारा खौफ पैदा होता हे
चेहरे का नूर बढ़ता हे
नेक और शरीफो की निशानी हे
इज़्ज़त को बढाती हे
भरोसे को बढाती हे
हया पैदा करती हे
गुनाह से बचने का सबब हे
मर्दानगी को बढाती हे
खूबसूरत हूरो का इनाम हे
जन्नत में मन पसंद चेहरा दिया जाएगा
दाढ़ी वालो की ही गवाही मोतबर
गाल पर बार बार अस्तरा लगाने से उसकी कुदरती चमक का कोटिंग उतर जाता हे जिस से सूरज की जहरीली किरणों के असरात और बेक्टेरिया गाल के रास्ते अंदर जाते हे
दाढ़ी न होना औरतो से मुशाबेहत हे इसलिए औरतो की शिफ़ात पैदा होती हे
दिन पर चलना आसान हो जाता हे.