AAJ KA SAWAL
BY MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON [ustaze darululoom rampura-surat]

SHA'BAN

SAWAL

SHABE BARAAT KE ROZE KI KIYA FAZEELAT HAI..??

Jawab

Huzoor salallahu alayhi wasallam  ne farmaya is maheene me is saal ke tamam wafat panewalon ka fesla likh diya jata hai. me chahta hun jab mere wafat ka fesla likh diyz jaye to me roze se hun.

(bayhaqee)

Hazrat aaisha radeeyallahu anha se marwee hai ke likha jana to 15 wee raat ko ho jata hai aur raat ke waqt roza nahi huwa karta to ab ye matlab hai ke allah taala roze ki barkat raat ko likhne waqt hata - khinch lata hai aur ye bhi aehtimal hai ke likhna din ke waqt hota ho aur farishte ko register ki supurdagi raat ke waqt hoti ho.

{ma sabat minas sunnah safa 198}

 

****************************************************

SAWAL

15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?

 

JAWAB

15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS ME NAHI HAI.LEKEEN AGAR KOI AYYAME BEEZ KE ROZE KE TAUR PAR TEEN ROZE YANEE 13,14,15 RAKHE TO SUNNAT HAI AUR DO RAKHNA CHAHE DO HEE KO SHAREE HUKM SAMJHE BAGAIR TO MANAA BHI NAHI KIYUN KE HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM SHABAAN KE MAHEENE ME AKSAR DIN ROZA RAKHTE THE.

 

(MASAILE ROZA SAFA 173 BA HAWALA ALAMGIRI 1/200

MASAILE SHABE BARAAT 59 SE MAKHOOZ)

 

 

****************************************************

 

SAWAL

15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

BAZ PARCHON AUR SMS ME AATA HAI KE FULAA RAKAT ME FULAN SURAT ITNI MARTABAH PADHO US YE YE BADA SAWAB HAI. BAAZ PARCHE SMS ME KITAB KA HAWALA BHI HOTA HAI.

AAJ ASAR BAAD “LA HAWLA…..’ 41 BAAR AASMAN KO DEKH KAR PADHNE KI FAZEELAT 40 SAAL KE GUNAH MUAAF Ho JAYENGE  YE SABIT HAI..??

Jawab

Asr baad “la hawla….” padhna aur 40 saal ke gunah muaaf hona kisi bhi hadees se sabit nahi, jahan bhi aap is baat ko padhoge wahan iska hawala nahi hoga.

Lihaza is ke padhne ki zaroorat nahi is ke bajaye asar baad 3 tasbeeh, 4tha kalmah, istigfar aur durod shareef padh lo is me la hawla…. bhi aa gaya ye zikr hadees se sabit hai, bidat par amal karne wala in masnoon aamal se mahroom hota jata hai.

Aaj ki raat jitna bhi zayada ho sake nawafil namaz har zaroorat ke liye salatul hajat ki niyyat se do rakaat padhe us ke baad salatul hajat ki duaa jo huzoor salallahu alayhi wasallam  ne batai hai woh padhe. masnoon duaa aur fazaile namaz me mavjood hai.

Sirf 6 rakaat par hee bas na kare. magrib baad 6 rakat 3 niyyat se padhna aur har do rakaat ke baad yaseen shareef padhna kisee hadees ya sahaba ke amal se sabit nahi, sunnat aur shareeat samjhe bagair, aur usee tarah padhne ko zarooree samjhe bagair, buzrogon ka bataya huwa amal hai, padh sakte hai, isse behtar awwabeen ki zayada se zayada 20 rakat hai woh padhna hai kiyun ye awwabeen nabi salallahu alayhi wasallam ne batai hai.

Makhsoos surat ko makhsoos Miqdar me padhne fazail ki jo riwayat baaz jaga likhi hui hai, use raeesul muhaddiseen, dewbandi aur barelvee ulamaa ke maane huwe jo aalim, na mane to us ki aalimiyat ki sanad ka aetibar na hoga. shah abdul haq muhaddise dahelvi rahmatillahi alayhi ne ma sabat minas sunnah al aamalul masoorah fee ayyamil mashhoirah safa 313, 314 par mavzooa -banawati qarar diya hai.

Lihaza is raat sunnat tareeqe ke mutabeeq ghar me rah kar nawafil namaz khas taur salatus tasbeeh zikr, tilawat durood istigfar,,duaa, sadqah karna chahiye, aur zarooree samjhe bagair infradi taur qabrastan jakar isale sawab karna chahiye.

Allah taala ham tamam sharee hudood me reh kar bidaat se bachte huwe ibadat karne ki taufeeq ata farmaye. aameen


SHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST.

SAWAL

Shabe baraat me qabilah e banu qalb (jin ke paas bahot zayada bakariyan thi) ki bakariyon ke balon ki taadad Me logon ki magfirat hoti hai (abajon logon ki) in magfirate aammah se mahroom kon kon rahenge? Batlaiye taa ke ham khud us gunaah se bache Aur logon ko bachaye.

 

jawab

1.shirk karnewala,

2.keena (kapat,dili dushmani) rakhnewala,

3.walidain ka naa farman

4.zina karnewala

5.sharab pinewala

6.kaahin (jayotish-gaib ki khabaren batlanewala)

7.rishtaa tornewala

8.kapda yani izar, patloon takhnon ke niche latkanewala.

?masaile shabe qadr wa shabe baraat safa 45

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SHABAAN ME KIYA KAAM KARNE CHAHIYE?

 

 

SAWAL

Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?

 

JAWAB

Hazrat anas ibne malik RADEEYALLAHU ANHU se riwayat hai ke huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke buzrug sahaba shaaban ka chand dekhkar

1.quraane kareem zayada parhte the.

2.apne maal ki zakat nikalte the take gareeb aur miskeen log faidah uthaa saken aur ramazanul mubarak ke roze rakhne ke liye un ka koi zareeah ban jaye.

3.haakim log qediyon ko bolakar un me jo saza ke laiq hote the un par saza jaree karte the aur baqee qedi rihaa kar diye jate the.

4.karobaree log isee maheene me apna qarzaa adaa kiya karte the.

5.dusron se jo kuchh wusool karna hota tha wusool kar liya karte the (jese gair muslim ki dekha dekhi baaz musalman in kaamon ko diwali me karte hai)

6.ramzan ka chand nazar aane par log gusal karte aur aetikaaf me beth jate the.

?masaile shabe baraat wa shabe qadr safa 14

?bahawala gunyatut talibeen 356.

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST.

AAJ KA SAWAL NO.449

Shabe baraat me qabilah e banu qalb (jin ke paas bahot zayada bakariyan thi) ki bakariyon ke balon ki taadad Me logon ki magfirat hoti hai (abajon logon ki) in magfirate aammah se mahroom kon kon rahenge? Batlaiye taa ke ham khud us gunaah se bache Aur logon ko bachaye.

?aaj ka jawab?

1.shirk karnewala,

2.keena (kapat,dili dushmani) rakhnewala,

3.walidain ka naa farman

4.zina karnewala

5.sharab pinewala

6.kaahin (jayotish-gaib ki khabaren batlanewala)

7.rishtaa tornewala

8.kapda yani izar, patloon takhnon ke niche latkanewala.

?masaile shabe qadr wa shabe baraat safa 45

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

 

This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free