TABLEEG
IS PAGE ME SAWAL JAWAB NAHI HAI, BALKE DAWATO TABLEEG KI AZIMUSHSHAN AUR MAQBUL MEHNAT KI FAZILATO AEHMIYAT BATAYI GAYI HAI.
ALLAH KE PAIGAM KO DUNIYA TAK PAHUNCHANA AUR APNE PER MEHNAT KARNA HAMARE FARAIZ ME SHAMIL HE.
TABLIG * RAAHE * NIJAAT * HAI
PART-01
Musalmano ke ibadaat ke mavaqe, wo Gairo ki tarah Tyohaar bankar reh gaye,
Log ye samajhte he'n Eidayn musalmano ke Tyohaar he'n,
Agar ye Gair Muslim samjhe to theek he k Wo kya Jaane k Eid kya cheez he ? ,
Lekin Musalman Eid ko Tyohaar samjhe to ye hairat ki baat he,
Gair Muslim islam se pehle Zamana e Jahiliyat me ek Din Khushiya manaya karte the,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum se farmaya ke,
Nahi Allah ne tumhe isse behtar 2 Din ata farmaye he'n,
Eidul Fitr aur Eidul Azha,
* Hazrat Maulana Sa'ad DB.
PART-02
Aaj me poori Bashirat ke saath kehta hu'n k, Maulana Ilyaas Sahab Rh. se pehle 300 saal dekh lo, Aaj tak esa kaam nahi hua,
Insaniyat Nafa utha rahi he, Doosre Shobo me Jisko Talab he wo aata he, Tablig esa Amal he Jo Be-talabo tak bhi pahuncha he, Tablig Wo kaam he Jo Be-talabo me bhi hua he,
Aaj Ummat ko sabse bada marj Be-talabi ka laga he, Be-talabo ke liye Tablig se bada nafa bakhsh kaam koi nahi,
* Hazrat Maulana Manjoor Noamani Rh.
PART-03
Pichhe Pichhe Firna, Shariyat ko poochh poochh kar chalna,
Yahi to Nabiyo'n ki khoobsurati he k wo Bando ke Pichhe pichhe firte the,
Koi ghar me 50 saal bethkar ibaadat kar le, Uski ibaadat se Uska padosi Deen per nahi aayega Agar Usko Allah ka paigaam nahi pahunchayega, Us per Mehnat nahi karega,
Tablig Bahut badi Tijaarat he, Jiska karne wala kabhi Ghaate Khasare me nahi aayega,
Ye he mera Raasta,,,,, me to Allah ki taraf bulata hu'n, Ye wo Raasta he Usoolo Shariyat per chalane wala, Usool o Shariyat per chalne wala Allah tak zaroor pahunchega,
* Hazrat Maulana Manjoor Noamani Rh,
PART-04
Jo apna martaba na chahta ho, Koi makaam na chahta ho, Koi avaj na chahta ho, Jo Koi badal na chahta ho, wo Tabligi he,
Jo Sirf Musalman hone ki baat kare, kisi Firke ki baat na kare, Fir Tablig se badkar koi Amal nahi,
Jo Allah ke Deen ko pahunchane ke liye firta ho, Apni jaan, Apna Maal, Apna waqt laga raha ho,
Sabse Haseen kaam Allah ke Deen ko doosro tak Pahunchana he,
Hey koi Allah ki taraf isse badkar Amal pesh karne wala,
Ye Paigam e Haq Duniya ke Aakhri insaan tak Pahunchana isse zyada nafa bakhsh kaam koi doosra nahi, Jisse Poori Ummat nafa utha rahi he, Har Maktab ka, Har Desh ka Musalman nafa utha raha he,
* Hazrat Shaikh Rh,
PART-05
Pahal karne wale, Aage badne wale Allah ke qareeb honge,
Sabse Buniyadi cheez Allah Rabbul iZzat aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke Vaado ka yaqeen karna he,
Imaan ko haasil karna he, Allah ki qudrat ka yaqeen karna he,
Sabse pehle Kalme wala yaqeen ho aur Namaz wala Amal ho aur iske zariye saare Amaal theek ho rehe ho,
Kalme wala yaqeen jitna andar hoga Dil me utrega , Jitni Dawat ki Fiza hogi utna kalme wala yaqeen Dil me utrega,
Allah farma rahe he'n, Musamano apne aapko aur apne ghar walo ko Jahannam ki Aag se bachao,
Apni fikr Karo, Khandan, Basti, Atraaf aur Poori insaniyat ka gam khao, Ye mehnat har musalman kare, Poori zindagi kare,
* Hazrat Maulana Umar Palanpuri Rh.
PART-06
Ibrahim Alaihissalam ne har line ki qurbani di he Deen ke liye,
Bivi ki qurbani, Bachche ki qurbani, Vatan ki qurbani, Garmi,,, Sardi,,,,
Allahu Akbar, zara utha kar dekho to sahi to Andaza hoga Dawat ka kaam kya he,? Tablig kise kehte he'n,
Khat likhkar keh dena, Poster lagakar keh Dena " wama alayna ilal balaag,,,,," Ye koi kaam kisi Nabi ka nahi,
Sirf Pahuncha dene ka naam Tablig nahi he, Apni zaat se chalkar Jana, Apni Bivi, Bachcho, Watan, Karobaar, Gharane har ek ko chhod kar nikalna,
Ke har ek ko chhod kar isliye nikal nikal raha hu'n kyuki be-garaj hokar Jana he, Agraaj ko chhod kar Jana he,
* Hazrat Maulana Sa'ad Sahab DB.
PART-07
Taleeg,,,, is kaam ki ahmiyat mashguli me nikalne me aayegi,
Quran ne kahi nahi farmaya k humne tumhe Taajir banaya, Kaastkaar banaya, Zamindaar banaya, Haa'n kharch karne ke fazail, Vaade farmaye he'n, Kamaane ke nahi,,,,
Jo Tijarat Khuda ke Deen se Gaflat dale hue he,, Unki Tijarat unko Khuda ke Zikr se gaafil nahi karti thi, Wo apni Tijarat me Zakir the,
Hamare Raaste aur he'n, Duniya ke Raaste aur he'n,
*Hazrat Maulana Sa'ad Sahab DB.PART-08
Aamale Dawat ko Mukammal karna he,
Sahaba ikraam Rizwanullahi Azmaiyn ne isko mukammal kiya he, is tarah k wo isi ke hokar rahe,
Jis Waqt ka Jo taqaza hoga poora kiya, Mustkil taqazo ki Duniya me rehte the Sahaba,
Balki yu'n keh liya jaye k 13 saala Makki Zindgi ki mehnat me 10 saal Taqaza poora karane ki mehnat thi,
13 saala Makka ki mehnat me Ese Sahaba tayyar hue Jinhone 10 saal me koi taqaza jaay nahi hone diya,
Ese bankar aaye the Madina me k Ansar ko bhi poora poora is kaam ke andar mashgool kar liya, Jis waqt ka Jo taqaza aaye khada ho jana he is buniyad per aaye the
PART-09
Is kaam ko hum Sawab ka kaam samajhte he'n,
Ya ijtimaat hone ki Vajah se, Bimar ke theek hone ki Vajah se ya Koi masail hone ki Vajah se Kar rahe,,
Sahaba ikraam ki in vujuhaat me se koi vajah nahi thi Allah ke Raaste me nikalne ki,
Har ek ke Dil me ye baat bethi Hui thi k me saari Duniya ke liye hu'n aur Saari Duniya mere Zimme he,
Ye zimmedari har ek per thi, Kyuki ( Farmane khudawandi he ) Tum logo ke faayde ke liye nikle ho,,
ibaadat se lekar maamlaat tak, Akhlaaq se lekar maashre tak, Har ek Deen per poora poora aaya hua tha, Har ek poore Deen se waakif tha,
Esa Mahol kyu tha? kyuki har ek apni zimmedari ko nibha raha tha, Har ek ne apna Jaan maal Khuda ke hawale kar diya tha Jannat ke avaj me k Jannat leni he, Sahaba khud farmate he'n k humme se koi Aadmi apne Jaan maal me apna koi hissa samajhta hi nahi tha,
PART-10
Ye kaam To Allah ki Raza aur Apni Aakhirat banane ke liye karna he,
Tamaam Nabiyo'n ki Dawat me yahi he,
iske liye moqa diya gaya he Aakhirat banane ka,
Aur Deen diya, Deen hoga to Aakhirat banegi, Varna Aakhirat bigdegi,
Deen ke liye hi Payda ( Born ) kiya gaya he, isi ka Qabr me sawaal hoga,
Deen lekar Qabr me gaya to Kaamyab, Varna Nakaam,
Ye Deen sada rahega, Qabr me, Hashr me, Amaal charo taraf se ghair lenge, Jo jagah khali padegi waha Sabr aa jayega, isliye Deen per Dilo ka jamana zaruri he
PART-11
Deen per Dilo ka jamana zaruri he,
Deen ki taraf Dil se mutavajjah hona zaruri he, Dil ka lagana zaruri he, Tabiyat ka lagna kaafi nahi, Tabiyat badalti rehti he,
Deen ki mehnat se Deen ka nafa khulega, Deen na hone ka nuqsan khulega, Ye bhi Dil ke jamne ka sabab he k Kisi kaam me nafa nazar aaya,
Mehnat me Fazail, Barkate he'n, ummeed dilayi jati he, Aadmi ka nafs ghabrata he, Haq se ghabrata he,
Aage badane ke liye Targeeb di he Allah ne, Apna nafa nuqsaan samajh kar chalega to chalega, Garaz wala nahi chalega, Agraaz se is kaam ka koi talluk nahi, Ye kaam Allah ki raza aur Aakhirat banane ke liye he,
Hazrat Maulana Ibrahim Sahab Devla DB
PART-12
Shukr guzaari ke saath kaam Karo,
Achhe halaat me Shukr ke saath kaam kare,
Dilo ka zamana zaruri he, Baaz martaba Dil palat bhi jata he, Achchhe halaat aaye to magroor ho gaya, Bure halaat aaye to na ummeed ho gaya, Bhool gaya maqsade zindgi ko,
Tandurasti, Maaldari aayi to bhool gaya, ya Halaat toot pade Tangi, Bimari aur doosri baate aayi to Kaam se Beth gaya,
Dono sahi nahi, Achchhe halaat me Shukr ke saath aur Bure halaat me Sabr ke saath kaam kare, Ye Naboyo'n ka Tareeqa he,
Shukr guzari ki kaifiyat se Allah ka kaam kare, Haq sanaash,,,,, ese Bande thode hote he'n ,
Yahi Tareeqa he aur Yahi mutaalba he,
Farmaya - Ey Daowd ( Alaihissalam ) ke khandan walo apni Kaarguzari shukr guzari wali banao, Mere Bando me Shukr guzaar Thode he'n,
Hazrat Maulana Ibrahim Sahab Devla DB
PART-13
Kaam Per Jame Rehna Shukrguzari he,
Deen per, Deen ke kaam per, itaa'at per Jame Rehna, istqamat Shukrguzari he, aur Palat Jana, Beth Jana na-qadri he ,
Mushrikine Makka ko Allah ne itni badi niyamat di, Lekin niyamat ke Jawab me Kufr kiya, Apni Qaum ko bhi halaakat me utaara, Na khud karte na karne dete,, Na-qadri ki to Allah Ansar ko le aaye, Ansar e Madina ne Qadr ki to Deen ke har kaam me aage rahe,
Kami kotahi, Susti ho sakti he lekin Na-qadri na kare, Maafi maange, Ese Bande Allah ko pasand he'n, Neki ho jaye to achchha samjhe, Galti ho jaye to Maafi manage to Allah Jama denge,
Ye bhi ek taqaza he, istqamat, Pabandi aur Shukrguzari Haq ka taqaza he,
Pasand ki cheez di he to waha lage jaha Allah ki naraazgi na ho, Niyamat mile to socho kaha lagau'n?
Apni Niyamato ke liye wo Raasta akhtyar Karo k dene wala Raazi ho jaye
Hazrat Maulana Ibrahim Sahab Devla DB
PART-14
Mushkile apne liye, Asaani doosro ke liye,
Deen ki nusrat ka darwaza qayamat tak khula rahega aur Musalmano se taqaza rahega k tum nusrat Karo, Farman he, " Ey imaan walo! Tum deen ki madad Karo,
Nusrat,, Ye aham he, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Hijrat na hoti to me bhi Ansari hota,,
Deen ki nusrat karne walo ke liye, Dedn ka Kaam karne walo ke liye Dua Karo, ye tareeqa bataya,
Kaam ki bhi Qadr karo aur Kaam karne walo ki bhi Qadr karo, Har ek ko unke Amal ke mutabik darze milenge, Jo Ansar ( Deen ki nusrat karne walo) ko milega wo tumhe bhi milega
Kaam karne walo ki Qadr Karo, Tareef Karo aur unke Haq sanaash raho, K Jo mujhse nahi hota ye kar lete he'n, Jalan na ho,
Dua Karo,,, k Dua karne wale khair khwah ho gaye, Tum Duao'n se Madadgaar ho gaye,
Hazrat Maulana Ibrahim Sahab Devla DB
Part-15
Apne Aapko Bada na Jano,
Hasad andar ki Badai se paida hota he, k Apne aapko Bada samjha,
Apne aapko muqaddas, Pakiza na jano, Ye Shaytani Khaslat he, Shaytan ko halanki ilm bhi tha lekin Hasad mila, Hamdardi nahi mili, Allah jaanta he Kon kesa he?
Hamdardi Mukhlis ko hoti he, islam ne hamdardi sikhayi, Bhala chaho, Hamdard bano,
Deen to Doosro ka bhala chahne ka naam he, Hamdardi se sab bhai ho gaye,
Raay mukhtalif hoti he kyuki sab apne Deen ko chahne wale the, Deen ki samajh thi, Jese Do Vakeelo ki Raay mukhtalif hoti he,
Raay ka ikhtilaf jaa'iz he, Ye samajhdar hone ki daleel he, Mukhalfat Baatil hone ki nishani he,
Mukhlis nagawari ke bavjood saath dega, k Allah ke yaha qubooliyat ki ummeed he,
Hazrat Maulana Ibrahim Sahab Devla DB
PART-16
Har haal me Allah se Raazi raho,
Doosro ko maaf kar, apne aapko maaf kar, Hamesha khush rahega, Tujhe Allah ne Jis haal me rakha he, Us haal me Allah se Raazi reh, nahi to saari zindgi apne ko Kosta rahega,
Jitni azmat humne Thanedar, SP ko di hui he, Kya kabhi Allah ko di?
Allah Tera ghar he, Jo Momin apne Dil ko paak kar lega, Wo Dil Allah ka ghar he,
Aansuo'n ka hisaab Rab ke paas he, Jibrail Alaihissalam ne Farmaya, Hum Aansuo'n ka hisaab nahi rakhte, Aansu Jo gire bhi nahi Jahannam ki aag ko bujhane ke liye kaafi he, Jo ladiyo'n pe ladiya'n bahaye hum unka hisaab kaha rakhe,?
Hazrat Maulana Tariq Jameel Sahab DB
PART-17
Ibne Qayyim Rh ka qaul he, Jo Dawat ka Kaam nahi karta wo Nabi Sallallahu Alaihivasallam ka Muttabe hone ka Dava nahi kar sakta,
is per fakhr mat Karo k tum Maal wale ho, Digri wale ho, Fakhr is per Karo k Tum Allah ke kaam wale ho, Nabi Sallallahu Alaihivasallam ke Kaam wale ho,
KISI Haaji ki Bad tamizi se Hajj nahi chhodte, Namazi ki Bad tamizi se Namaz nahi chhodte fir Tableeg walo ki Bad tamizi se Tableeg kyu chhodte ho,
Dekh liye Tableeg wale humne ! Kaam dekho bhai kiska he? Hum to Daakiya he'n, Vaasta he'n,
Ye mat kaho Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wala kaam karta hu'n, Ye bol takabbur paida kart he, Kisi Sahabi ne nahi kaha k me Nabi ka kaam karta hu'n, Ye humara kaam he magar tarruf ke liye nahi he,
Rustam ne poochha to farmaya, Hum Allah ka paigaam lekar aaye he'n, Haq he, Haqqaniyat he, lekin Karo magar Daro,
Har us bol se bacho Jo Takabbur paida kare, Takabbur ke alfaz,, apne aapko bhool jayenge logo ko kaam sikhate firenge to fir girta chala jayega,
Hazrat Maulana Tariq Jameel Sahab DB