NAMAZ
Istikhaarah ki mukhtasar duaa kon see hai?
kiya istikharah ke liye namaz padhna ya sona zarooree hai?
JAWAB
Hazrat Abu bakar Siddiq Rd. Farmate hai ke
Aap Sallallahu alaihi wasallam
Jab kisi kaam ke Shuru karne Ka irada Farmate
Toa
Ye Duaa karte the.
الهم خر لی ولختر لی
"Allahumma khirlee wakhtarlee.""
Tarjumaa
Ay Allah mere Liye khair ko pasand farma
Aur Mujhe chun kar chhant kar de
baihaqee fee shoabil iman/204
Al" jaameus"$ageer
tirmizee.2/191
Istikharah ke liye namaz padhna aur sona zarooree nahi
ISLAAHI KHUTBAAT
HADEES KE ISLAAHEE MAZZAMEEN
FAIDAH
Ye inabate Rujua"
illallah hai ke har kaam ke shuru.me
Allah taala se
madad Aur iaayat chahe
Ke usi Qudrat me Tamam bhalaaiya Aur Achchhaiya hai.
Aur
Usike qabze me har kaam Ka Achchha Anjaam hai
Aur
Momin ki shaan hai ke
Woh
Apne Har kaam ko khuda ke hawale kare
Aur usise khair chahe .
Ye Dua mukhtasar istekhara bhi hai jab koi kaam Ka fouri karna ho
To ye Dua padhte rahe
InshaaAllah koi khair ki baat dil me Allah taala ki.taraf se Aajayegi.
Buzurgo Ka mamul bhi hai.
sawal
Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai?
jawab
Train me namaz kisi jankstion(woh jaga jahan train zatada der rukti hai) ya station par utar kar namaz padhni chahiye.
Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz waqt makrooh ya qaza hone ka khatra ho to train me hee khade ho kar qibla rukh namaz padhe.puree namaz me akhirvtak wibla rukh hona zarooree hai.jaise jaise train qibla rukh se ghume namazee ko bhi chahiye woh bhi chalu namaz me qible ki taraf ghum jaye.
Bhid bahot zayada ho jis se qibla rukh hona mumkin na ho ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya zayada mashaqqat ho to farz namaz bhi beth kar padhne ki gunjaish hai.agar itni bheed hai ke harkat bhi na kar sake rukooa, sajda ka isharah kar ke namaz ishare se padhe.aese haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahee
Lekeen aesee namaz ko qudrat hone par lotana ya qaza karna zarooree hai.padhne ka faidah ye hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is namaz ko.puchh na hogi.
aur zayada mashaqqat ya zayada bhid na ho to qayam karna aur qibla rukh hona zarooree hai.mamooli masgaqqat ya mamooli bheed ki wajha se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.
( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala jadees fiqhee masail 1/128. fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, ahsanul fatawa 4/88 aur digar kutube fiqhe arabiyyah)
(Fatawa abdul gani safa 208)
Not: baaz traino me darwaze paas zayada jaga hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.
samne se gair muslim log guzarte ho to bhi namaz ho jayegi.ise uzr na samjhe.
Jaldi ho to qadah me koi bhi mukhtasar durood padhe.duaa e masoorah ki jaga koi bhi chhoti duaa masalan allah hummag fir lee padh ke salam fer de.
allah taala ham ko har haal me namaz ka aehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.aameen.