HAJ-QURBANI
Hojadi (stomach) aur aanten (intestines) khana kaisa hai ?
Ba'az log hojadi (stomach) khate hain, ba'az log fenk dete hain, aur ba'az kitabon me hojadi khana haram likha hai is me saheeh kya hai?
Jawab
Fuqahaa (masail ke mahir ulamaa) ne jin saat, aanth chizon ko manaa kiya hai us me aanten (intestines) aur hojadi (stomach) ko shumar nahin kiya hai, jo log mana'a karte hain unse fiqah ki arabi kitab ka hawala ibarat ke scan ke saath talab kiya jaye. Warna hojadi khana shar'an jaiz hai, khoob saaf kar ke khayen, jin ko tabaee taur par paadandi na ho aur na khaye to koi haraj nahin, lekin usey haraam kehna saheeh nahin.
Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/293
Ba hawala 1.
(raddul mukhtar :shami kitabul khunsa , masaile shatts 749/6 saeed)
2. Badaiyus sanaia, kitabuz zabaih2/272 darul kutub ilmiyyah berut
3. Fatawa alamgiriyyah kitabuz zabaih bab 3 5/290 rasheediyah
4.kitabul asar safa 179
Is hadees ki kitab me bhi huzoor ﷺ ne 7 cheezon ko hi makroohe tahrimi qaraar diya hai.
Note: in kitabon ko barelwi hazrat bhi maante hain
Zabah ka tareeqah aur haraam ajzaa
Qurbani ke janwar ko zabah ka tariqa aur gosht ki taqseem aur kasaai ki ujrat aur janwar ki haram chizon ke barey me batane ni guzarish.
Sawal
Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ?
Jawab
Janwar ke gale me 4 rag hoti he.
1) hulqoom, jis se saans liya jata he.
2) mari, jis se khana andar jata he.
3 aur 4)
Do khun ki ragen.
4 me se 3 rag kat jaye to janwar halal ho jata he our sharee zabah ho jata he.
(agar 3 na kati sirf 1, ya 2 kati to janwar halal nahi hoga)
Sawal
Gardan me kis jagah chhuri chalayi jaye ?
Jawab
Janwar ki gardan ke kisi bhi hisse me churi chala sakte hen, us me bich, kinare ki koi qed nahi he.
Kitabul masail 2,245,246
Sawal
Qurbani ki khal qasai ko de sakte hen ?
Jawab
Qurbani ke janwar ki khal khud istemal kar sakte hen, kisi ko de bhi sakte hen, agar khud ne wo khal bech di to is ki qimat garibo me sadqa karna zaruri he, qasai ki ujrat me khal nahi de sakte, us ki ujrat alag se de, hadye ke tour per de sakte hen.
Mustafad az kitabul masail, 2,53
Sawal
Qurbani ka gosht gair muslimo ko de sakte hen ?
Jawab
Qurbani ka gosht gair muslim ko bhi dena jaaiz he.
Kitabul masail bahawala aalamgiri, aelaus sunan, 2,249
Albatta muslim ko dena ziyada behtar he un ka haq pehle hai
Fatawa rahimiya qadim 6,165
Sawal
Qurbani ka gosht bech sakte hen ?
Jawab
Qurbani ka gosht bechna jaaiz nahi khaale, taqseem karde,agar gosht itna zyada ho ke zaaye hone kharab hone ka khatra ho to gosht bech kar us ki qimat garibo ko de sakte hen.
Mustafad kitabul masail 2/250)
Sawal
Qur'bani ke zabah kiye huwe halal janwar me kitni aur kon kon si cheezon ka khaana haram hai ?
Jawab
Qur'bani ke zabah kiye huwe halal janwar me 7 cheezen khana makruhe tahreemee yani haram ke qareeb hai.aur 1 cheez bilkul haraam hai.
(1) nar janwar ki peshab ki jagah,
(2) maadah janwar ki peshab ki jagah,
(3) peshab ki theli,
(4) pitta (kadwe pani ki theli)
(5) dono kapuriye:khusyatain:sufed gurde jo gair khassi janwar me hote hai
(6) gudood yani jame huwe khun ki guthli- gaanthe jo baz janwar ke gosht me hoti hai.warna gudah jo nalli me se nikalta hai woh to halal hai
(7) haram magz jo pusht-put aur gardan ki haddi ke darmiyan sufed dori jaisa hota hai
(8) behnewala khun qatee haraam yani quran se hi haraam hai jo khun kate huwe gosht aur qeeme-kheeme me hota hah woh pak hai kyun ke woh bebnewala nahi hai.
Fatawa mahmooduyyah dabhel 17/297 se 302
Bahawala shami
Kitsbul khunsa ,masaile shattah 6/749 saeed)
Qurbani ki khaal ka hukm
sawal
1
Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen ?
Khud rakh sakte hen ?
2
Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen ?
3
Imam sahb our muazzin sahb ko khal de sakte hen ?
Jawab
1
G haa, qurbani ki khal apne istemal me la sakte hen, agar bech den to phir is ki qimat garib ko dena lazim hoti he.
Kitabul masail 2/250
2
Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he aur usi ke hukm he, yani aap jis tarah gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen.(phir jis ko khal de di wo chahe to bech sakta he) albatta agar paiso se bech den to phir wo zakat ki tarah hojati he. Yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he. Masjid me khal nahi de sakte kyun ke us me koi malik nahi ban raha he, aur madrase me dena jaaiz balke afzal he, kyun ke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (us ka aur ilm ko felane ka sawab aap ko bhi milega) isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi hukm he ke agar wo bech kar garibo ko paise ya kitaben,kapde,makan malik bana kar dete hen to un ko de sakte he,warna nahi.yani malik banakar nahi deta balke in cheezon ko kiraye se ya sirf free me istiamal ke liye dete hai ya us raqam ko khud jamat ke kamon me bataure qarz istiamal karte rehte hai to aesi tanzim wa jamat ko nahi dena chahiye.
Aur khal bechne ke baad ye paise garibon ko jahan tak ho sake jald se jald malik bana kar dekar apni zimmedari se chhutkara hasil kare sharee wajah bagair takheer karna karahat-makrooh hone se khali nahi.
Mustafad az, aap ke masail our un ka hal 5/466
Fatawa raheemiyah karanchi 10/42 se mustafad
3
Imam, muazzin, wagera hazraat ko un ki tankhah me khal nahi de sakte, un ki tankhah our ujrat alag se he aese hi khushi se de rahe hen to de sakte hen. (our wo hazraat bech ke us ke paise istemal kar sakte hen)
Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466
Haji ko qurbani bank ke waaste se karane ka hukm
sawal
Saudi hukoomat bank ke ziriye qurbani ka intizam karti hai us ki kya haqeeqat hai un ke zariye qurbani karani chahiye ya nahi?
Jawab
Saudi hukoomat ne qurbani ke intezam aur uske gosht ko bahifazat mustahqeen tak pahuchane ke liye baaqaidah ek idara bana diya hai aur nizam ye hai ke qurbani ke tokan bank ke zariye se farokhat kiye jatey hai, aur haji token kharid kar mazkoora idara ko apni qurbani ka vakeel bana dete hai, ab na to khud haji ko zabah karney ka ikhtiyar hota hai aur nahi iskey samney zabah ki koi itminan bakhs shakal nikalti hai, balkey mazkoorah idara apney hisab se barabar qurbani ka amal anjam deta rehta hai, ab is shakal me wajib tartib yani rami ke baad aur halaq se pehle hi qurbani hone ka lihaz rakhna to bilkul na mumkeen hai.idara ki taraf se qurbani ki dino aur takbeere tashreek ke dino bad tak bhi hajj ki qurbaniyo ko zabah karney ka silsila jari rehta hai,isee wajha se khas taur par hanfi hujjaj ko mashwara diya jata hai ki wo qurbani ke token kharidney ki bajaye ya to khud qurbangah jakar apni qurbani karey jiska intezam muhalley al sharaaia ke azeem suqul mawashi aur makka muazzama ke muhalley kaakiyah ke salaughter house me kiya gaya hai. Aur taxi ke zariye waha pahucha ja sakta hai.aur agar khud na ja saktey ho to apney ma'atabar dosto aur jankaro ke zariye se qurbani karaye. Aur bank ki token par bharosa na karey,ehtiyat ka taqaza yahi hai.
Note albatta agar koi shakhs esa ho ke na to khud qurbaangah ja sakta ho aur nahi iskey pass qurbani karne ka koi zariya ho to wo majbooran bank ka token kharid sakta hai.is majboori ki wajah se uske liye tino imam-imam shafee,imam malik ,imam ahmad r.a.aur sahibain r.s.ki rai apnane ki ijajat hogi, aur is par tarteeb chhodne ki wajah se dame jinayat lazim na hoga.
Kitabun nawazil 14/333 mustafad tajwize chhaththa fiqhi ijtima al mabahisul fiqhiyyah jamiate ulama e hind dar haj wa ziyarat no 223
Ek qurbani kai logon ke isaale sawab ke liye
sawal
Chand marhum ke isaale sawab ke liye qurbani karni ho to har marhoom ka alag alag hisa rakhna zaruri hai ya ek hissah chand marhoom ke sawab ke liye kafi hai?
Jawab
Har ek ke liye juda juda hissah rakhna zaruri hai. Ek hissah ek se zaid marhoom ke liye kafi nahin. Albattah apni taraf se nafal qurbani kar ke uska sawab ek se ziyadah murdon aur zindon ko bakhashna durust hai jaise ke huzoor ﷺ ne ek qurbani ka sawab puri ummat ko bakhsha tha. Agar gunjaish ho allah ne maal diya ho to apne marhum rishtedar, buzrugon ke liye zarur qurbani karen. In dino me dusre nek a'amal ke muqabalah me sabse ziyadah qurbani hee ka sawab hai. Isse murdon ko badaa faidah hota hai.
Fatawa rahemiyyah darul ishaat 10/25
Aur
Kitabun nawazil 14/528 se makhooz
Hajj ka mukhtasar tareeqa
sawal
Ayyam e hajj kon se hai ?
Ayyam e hajj mein kya kya kaam karne hote hain ?
Tafsil se batane ki guzarish.
Jawab
8, 9, 10, 11, 12 zilhajj ayyam e hajj hain.
Hajj ka pehla din 8 zilhajj hai. Is roz apni qiyam gaah hi se haji gusal kar ke ahram bandh lenge. Ahraam ki nafal padhen aur haj ki niyyat se talbiyah padhte huve mina ki taraf rawanah ho jayenge. Aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazein apne khaime hi me ba jama'at adaa karen, kasrat se talbiyah padhte rahe. Raat mina hi me qayaam karna sunnat hai.
Hajj ka dusra din 9 zilhajj hai. Is roz fajar ki namaz mina me padh kar maidaan e arafat ko rawangi hogi. Zawal ke baad wuqoof e arafat ka waqt shuru hoga. Is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se taubah ki jaye.hanfi haji zuhar aur asar ki namaz apne apne khaimon me us ke waqt me adaa kar le, aur apna waqt allah ta'ala ko yaad karte huve aur apne aziz o aqarib aur apne watan e aziz ki salaamati ke liye ziyadah se ziyadah duaen karte huve guzare. Ghuroob aaftab ke ba'ad maghrib ki namaz padhe beghair muzdalifah ko rawanah ho jaye. Muzdalifah pahuch kar maghrib aur isha ki namaz isha ke waqt me adaa ki jaye. Raat muzdalifah hi me guzare. Muzdalifah jaate huve waadi e muhassar ( jahaan abraha ka hathiyon ka lashkar tabaah huva tha) ke paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar padhte huve guzar jaye.
Hajj ka teesra din 10 zil hajj hai. Muzdalifah me wuqoof ke ba'ad fajar ki namaz adaa kar ke mina rawana ho jaye aur zawal se pehle pehle sirf jamarah e aqbah (badey shaitaan) ko kankaryan maare. Kankaryan raat ko muzdalifah hi se utha le. Badey shaitan ko saat (7) kankaryan ek ek kar ke maarni hai. Jamaraat ko kankaryan maarne ko rami kahaa jata hai. Rami e jamraat ke ba'ad qurbani ki jaye. Qurbani karne ke liye behtar yeh hai ke saudi hukumat ke zere intezaam bank me qurbani ki raqam jamaa karvadi jaye. Khud qurbani karne ki surat me bahut se masail paish aa sakte hain. Qurbani karne ke ba'ad sar ke baal mundwaye ya katarwa le, albattah aurten apne sar ki choti je tamam balon ko milakar bal ko ek ungli ki por ke baraabar khud kaat le ya apne mehram se katwa lein. Ab ahraam ki pabandiyan khatam ho jayegi sirf bivi halal na hogi jab tak tawaft ziyarat na kar len * nahaa-dho kar apna aam libas pahan liya jaye. Is ke ba'ad agar himmat aur taaqat ho to isi roz warna 11, 12 zil hajj ko tawaaf e ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jayen. Ziyadah behtar yeh rahta hai ke 11 zil hajj ko subah subah tawaf ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jaye aur wahaan se wapasi me zawal ke ba'ad teeno jamaraat (teeno shaitaano ) ko saat saat (7-7) kankariyan marte huve apne khaimon me chale jayen.
Tawaf e ziyarat 10 zilhajj se le kar 12 zilhajj tak ghoroob aaftab se pehle pehle tak kiya ja sakta hai.
Tawaaf e ziyarat ke ba'ad sayee bhi karni hogi. 10 zil hajj ka din guzar ne ke ba'ad raat mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka chautha din 11 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba'ad pehle jamarah e ulaa ( chhota shaitaan ) fir jamarah e wustah (darmiyana shaitan) fir jamarah aqbah (badaa shaitan) ko 7, 7 kankaryan ek ek kar ke marni hai . Raat ko mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka panchwan din 12 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba'ad se teeno jamaraat ko tarteeb war ek ek kar ke saat kankariyan marni hai aur ghuroob e aaftab se pehle pehle mina ki hadood (border) se bahir nikal jana hai. Warna phir mina hi me thehrna (qayaam karna)hoga aur 13 zilhajj ko bhi rami e jamarat karni hogi.
Ayyam e hajj me agar kisi *aurat ko mahwari-m.c.:ayyam shurooa ho jayein to woh hajj ke tamaam af'aal bajaa laave, siwaye tawaafe ziyarat ke, paak hone ke ba'ad woh tawaaf aur saee kare. Majboooree me taakhir ki wajah se aurat par koi kaffarah nahin hoga. Rami mard aur aurat ko khud karna hogi . Watan rawaanagi se pehle tawaaf e wad'a karna bhi zaruri hai.
Anware manasik,mualimul hujjaj me se kukasah
Ye msj aap ke koi tallaq wala haj ko gaya ho to use zaroor bhejen ho sakta hai ke ise padhkar us ko haj me sahoolat ho jaye.
sawal
Badey janwar me 7 hisse hote hai, un 7 logo me se kisi ek ka paisa agar haraam kamai ka ho to kya baaqi ke 6 ki qurbani saheeh hogi ?
Jawab
Is surat me baaqi ke 6 sharikon ki qurbani bhi saheeh nahin hogi.
Ahsanul fatawa 7/503
Chand aadmi ka ek ki taraf se nafli qurbani karna
sawal
Ek se zaid aadmi milkar huzoor ﷺ ki taraf se ya apne marhoom rishtedar ki taraf se qurbani karen to qurbani sab ki taraf se sahih hogi ke nahin ba hawala jawab den
Jawab
Haan ek se zaid aadmi huzoor ﷺ ya
Rishtedar marhoom ki taraf se qurbani karen to istihsanan (khilafe qiyas maslihatan) nafli isale sawab ki niyyat se qurbani sahih ho jayegi.
Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/326 bahawala durre mukhtar
Fatawa raheemiyyah darul isha'at 10/57
Kitabun nawazil 14/527 se 529
وان مات احدالسبعة وقال الورثة اذبحوا عنه وعنكم صح عن الكل استحسانا لقصد القربة من القربة . شامي جلد 6/326کتاب الاضحیہ سعید
Qurbani me allah ka hissa rakhna
sawal
Ba'az log qurbani me allah ka hissa rakhne ko kehte hai to ye kaisa hai ?
Jawab
Ba'az log badey janwar me allah ka hissa rakhne ke mutalliq puchhte hai to ye baat yaad rahe ke tamaam hisse aur tamaam qurbaniyan allah ta'ala ke liye hi hoti hai, urf (bol-chaal ke riwaj me) 'mera hissa' 'fulaan ke naam ka janwar' bol diya jata hai, haqiqat me niyyat ye honi chahiye ke fulaan ki taraf se hissa ya qurbani allah ta'ala ke liye me zabah karta hun.
Deeneemalumat parcha 76
Baap ka apne gharwalon ki taraf se qurbani karna
sawal
Baap apne bachchon aur ghar walon ki taraf se har saal qurbani karta hai, to gharwalon ki ya bachchon ki ijazat lena zaruri hai ?
Jawab
Agar baap ka ma'amul hai ke wo har saal apne biwi bachchon ki taraf se qurbani karta hai, to sab ki taraf se qurbani durust hai, ghar walon ne ijazat di ho yaa na di ho.
Haan agar har saal bachchon ki taraf se qurbani karne ka mamool nahi hai balke kabhi kabhi badey bachche apni qurbani khud bhi kar lete hai to un ki ijazat lena zarooree hai, warna qurbani saheeh nahi hogi.
Kitabul masail 227 se makhooz.
sawal
Qurbani ka janwar kho jana
Kisika janwar agar gum ho gaya tha, usne dusra kharida, fir woh pehle wala janwar wapas nil gaya to kya hukm hai ?
Jawab
Iski kai sooraten hain
(a) agar woh aadmi maaldaar hai, ya'ani usper qurbani wajib hai, aur usne dusra janwar kharida tha, fir pehle wala janwar mil gaya to woh dono me se jisko bhi chahe zabah kar sakta hai, aur dusre janwar ko apne kaam me laa sakta hai aur bech bhi sakta hai,
(b) agar woh aadmi garib hai aur usper qurbani wajib nahin thi, aur usne dusra janwar nahin kharida to sirf isi janwar ki qurbani lazim hai (jo wapas mil gaya)
(c) aur agar garib aadmi ne dusra janwar kharid liya (jo usper dusri baar kharidna wajib nahin tha.aur nafal kaam shurooa karne se pura karna zarooree ho jata hai) fir pehle wala janwar mil gaya to ab is garib aadmi ko dono janwar ki qurbani karna wajib ho gaya.isliye aqalmandi yahi hai ke khareedte waqt ye niyyat kare ke me us gumshuda janwar ke badle me khareedta hun agar woh mil gaya to usee ko zabah karunga to woh gum shudah janwar mil jayega to sirf ek hi janwar ko zabah karna wajib hoga.
Fatawa mahmoodiyah 17/316 aur
Kitabul masail 2/226 se makhooz
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm
sawal
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai ? Iski kya maslihat wa hikmat hai ?
Jawab
Zil hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho usey baal aur naakhoon eid ki namaaz aur us ki qurbaani hone tak na kaatna *mustahab hai.*taake qurbaani ka janwar uske har har juz-hissah ka badal aur fidyah ho jaaye, aur allah ta'ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,
Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur haj me gaye huwe hajiyon ki mushaabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil honewali rahmat se insha allah mahroom na rahenge,
Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunegaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,
Jo cheez jis darjah me sabit ho usko usee darjah me rakhna chahiye.
Note: jiske zere naaf <duty ke niche ke baal> aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.
Mirqaatul mafaateeh 3/306
Masaaile qurbaani , islaahee khutbaat se makhooz
Zilhijjah ke 10 dino ki ibaadat ki fazilat
sawal
Zilhijjah ke 10 dino aur raat me ibadat ki koi khaas fazilat hai ? Agar hai to hadis ki roshni me batane ki guzarish.
Jawab
1. Huzur ﷺ ne irshad farnaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna khuda ta'ala ko zilhajjah ke 10 dino ki (ibadat) se ziyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.
Tirmizi
Faaidah
10 wi taarikh se 14 wi taarikh tak ke 4 dino ka rozah haraam hai, is waaste ia rozah ki fazilat 9 taarikh tak ke liye hai.
2. Ek hadis me irshad hai ke, me allah ta'ala se ummid karta hun ke arafaah (ya'ani zilhajjah ki 9 tarikh) ka ek rozah ek saal guzishta aur ek saal aaindah ka kaffarah ho jata hai.
Muslim
3. Jo shakhs edain (eidul fitra, eidul ad'haa) ki dono raaton me sawab haasil karne jaaga uska dil us din zindah rahega jis din sab ka dil murdah hoga. (ya'ani qayamat ke din)
Ibne majah
sawal
Qurbani na karne par kya waeed hai ?
Jawab
Hazrat abu hurairah rd. Se riwayat he ke huzur صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya jis ke paas gunjaish ho (us par qurbani wajib ho) aur us ke bawajud wo qurbani na karey woh hamari eid-gaqh ke qarib bhi na aaye.
(yani us se nafrat aur narazgi ka izhar hai eidgaah ke andar to kya aane ke laiq hota eidgaah ke qareeb bhi na fatke !
Us ka kya munh hai ke eid manane ke liye aaye aur allah ke bandon ki khushi me shareek ho! )
Bayhaqi
Masaile qurbani 31
Qurbani ki fazilat
sawal
Qurbani karne ki kya fazilat hai ?
Jawab
Hazrat aishah رضی اللہ عنھا se riwayat he ke huzur صلہ اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya ke zil hijjah ki 10 tarikh ya'ani eidul azha ke din insan ka koi amal allah taala ko qurbani se ziyadah mahbub nahin hai aur qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo aur baalo our khuro ke saath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle allah taala ki raza aur maqbuliyat ke maqam per puhonch jata hai , pas ae khuda ke bando dil ki poori khushi se qurbaniyan kiya karo.
Dusri riwayat me hai ke qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki milegi sahaabah radeeallahu anhum ne arz kiya ya rasoolallah uun ki bhi yahi fazilat hai.(uun barik hone ki wajah se bahut hota hai) huzoor ﷺ ne farmaya haan har un ke baal ke badle me bhi ek neki hai.(mafhume hadis)
Janwar ke badan par hazaaron aur laakhon baal hote hain. Deendari ki baat yeh hai ke itne bade sawab ki lalach me jis par qurbani wajib nahin hai us ko bhi kar deni chahiye yeh din chale jayenge to itna badaa sawab kaise hasil hoga?
Tirmizi sharif wa ibne maajah bahawala masaaile qurbani 32 bifarqi yasir
Ek ki taraf se qurbani sab ki taraf se nahi hoti
sawal
Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki taraf se qurbani adaa ho jayegi yaa nahi ?
Jawab
Jis ke zimme qurbani wajib hai wo apni taraf se qurbani kare, aur ye samajhna ke ek bakra qurbani kar dene se purey ghar ka wajib adaa ho jayega ye sahih nahi.jis jis ke zimme qurbani wajib hogi us ko apni alag qurbani karna zarooree hoga.
Fatawa mahmudiya bi farq 17/312)
Qurbani ke badle sadaqah
sawal
Agar koi qurbani na kare uske badale qimat sadaqah kar de to durust hai ? Ya qurbani hi zaruri hai ?
Jawab
Qurbani ke dino me (qurbani wajib ho to) qurbani hi zaruri hai, qimat ka sadqah kaafi nahin,bazon ko janwar lane ,katne aur taqsim ka bojh padta hai to in kamon par bhi bahut ajro sawab diya jata hai agar ye cheez na karni ho to chhote janwar ki qeemat dekar us ki qurbani karne ka kisi ko bhi wakeel-zimmedar bana sakte hai ya bade janwar me hissa le sakte hai lekeen qurbani hi karni padegi un paison se kisi ki madad karne se qurbani ka wajib zimme se na utrega aur gunehgar hoga.
Haan agar kisi wajah se un dino me qurbani nahin kar paaya aur din guzar gaye to phir qimat ka sadaqah zaruri hai.
Fatawa mahmudiya jadid 17/310 se makhooz)
Berune mulk (foreign) ki qurbani india me
sawal
A.
Hamare yahaan u.k. Me 10 zil hijjah ya'ani eid ka din ho aur hamen apni qurbani india me usee din karni ho halan ke us din india me 9 zilhijjah ho to hamari qurbani india me us din ho sakti hai ya nahin?
B.
Agar makkah me 13 zil hijjah ho ya'ani qurbani ka waqt nikal gaya ho aur india me 12 zil hijjah ho ya'ani qurbani ka waqt baaki ho to is surat me agar koi haji apni qurbani india me karaye to sahih hogi ya nahin?
Jawab
A.
Jabtak ke india me
Qurbani ke din shuru'a na ho yahan dusre mulk walon ki qurbani sahih nahin hai. Kyun ke qurbani sahih hone ke liye malik aur janwar dono ka fil jumlah aetibar hai ya'ani muakkil ya'ani qurbani karvane wale par qurbani ka wujoob aana chahiye aur janwar jahan hai wahan qurbani ka waqt hona chahiye. Puchhi hui surat me uk wala jo qurbani karva raha hai us ke zimme to qurbani ka wujoob aa gaya hai lekin india me jahan janwar hai wahan qurbani ka waqt nahin aaya hai lihaza uk wale ki qurbani india me 9 zihijjah ko ek din pehle nahin ho sakti hai qurbani sahih hone ke liye india me bhi 10 zihijjah hona zaruri hai.
B.
Mazkoorah surat me qurbani sahih hai us ki pehli wajah
Makkah me 13 zil hijjah hone ki surat me sababe wujoob ya'ani jiske zimme qurbani ho uska qurbani ke dinon me qurbani par qadir hona yeh us haji ke haq me pehle hi se paya gaya aur dusri shart wujoobe adaa ya'ani qurbani ke waqt ka maujud hona. Janwar india me maujud hai yeh shart bhi yahan pai gayi lihaza bila shak woh haji apni qurbani ka vakil kisi ko india me bana de to 12 zil hijjah ko bhi us ki qurbani sahih hai.
Dusri wajah agar woh qurbani ka vakil banane wala khud 13 zilhijjah ko makkah se safar kar ke india aata aur yahan12 zilhijjah ko qurbani karta to durust tha to wahan rehkar vakil banaye to batarike awla hoga
Kitabun nawazil 14/553 se 558 ka khulasah
mas'ala no 51 masaile qurbani
Sawal..
Qurbani ka gosht bech sakte hen???
Jawab..
Qurbani ka gosht bechna jaaiz nahi, Khaale, taqseem karde,
Agar gosht itna zyada ho ke zaaye hone kharab hone ka khatra ho to gosht bechkar us ki qimat garibo ko de sakte hen..
(Mustafad kitabul masail 2/250)
Mas'ala no 52
Sawal..
Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen, khud rakg sakte hen, ??
Jawab..
G haa, Qurbani ki khal apne istemal me la sakte hen,
Agar bechden to phir is ki qimat garib ko dena lazim hoti he..
(Kitabul masail 2/250)
M ibrahim alyani
mas'ala no 49 masaile qurbani
Sawal..
Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen.. ?
Jawab..
Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he our usi ke hukm he, yani aap jis taragmh gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen... (phir jis ko khal dedi wo chahe to bech sakta he)
Albatta agar paiso se bechden to phir wo zakat ki tarah hojati he.. yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he..
Masjid me khal nahi de sakte q ke us me koi malik nahi banraha he,
Our madrase me dena jaaiz balke afzal he, qke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (jis ka sawab aap ko bhi milega)
Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi huk he ke agar wo bech kar garibo ko paise malki bana kar dete hen to un ko de sakte he. Warna nahi..
(Mustafad az, aap ke masail our un ka hal 5/466)
mas'ala no 50
Sawal..
Imam sb our muazzin sb ko khal de sakte hen.. ?
Jawab..
Imam, muazzin, wagera hazraat ko un ki tankhah me khal nahi de sakte,
Un ki tankhah our ujrat alag se he aese hi khushi se de rahe hen to de sakte hen.. (our wo hazraat bechke us ke paise istemal karsakte hen)
(Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466)
M Ibrahim Alyani
BAAL & NAKHUN KAATNE KA HUKM
SAWAL
ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD BAAL AUR NAKHOON KAATNA KESA HAI? IS KI KIYAA MASLIHAT WA HIKMAT HAI?
JAWAB
ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD JIS KE ZIMME QURBAANI HO USE BAAL AUR NAAKHOON EID KI NAMAAZ AUR US KI QURBAANI HONE TAK NA KAATNA MUSTAHAB HAI.TAAKE QURBAANI KA JANWAR US KE HAR HAR JUZ-HISSAH KA BADAL AUR FIDYAH HO JAYE AUR ALLAH TAALA KI RAHMAT SE US ADMI KE JISM KA KOI HISSAH MAHROOM NA RAHE JIN LOGON KE ZIMME QURBAANI NAHI WOH BHI QURBAANI KARNEWALON KI AUR HAJ KE HAJJYON KI MUSHAABAHAT IKHTIYAAR KARENGE TO WOH BHI INSHAA ALLAH RAHMAT SE MAHROOM NA RAHENGE LEKEEN KOI APNE BAAL AUR NAKHOON KATEGA TO NA GUNEGAAR HOGA NA QURBAANI ME KOI KHARAABI AAYEGI IS PAR WAJIB KI TARAH AMAL KARNA AUR AESA NA KARNE WALON KO TOKNA SAHEEH NAHI JO CHEEZ JIS DARJE ME SABIT HO US KO USEE DARJE ME RAKHNA CHAHIYE.
MIRQAATUL MAFAATEEH 3/306
MASAAILE QURBAANI , ISLAAHEE KHUTBAAT SE MAKHOOZ
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
QURBANI KIS PAR WAJIB?
Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10,11,12, zil hajjah me nisaab ke baqadr ka maalik ho qurbani wajib hai.
Nisaab: 52.5 (saade bavan tola), 612 gram 35 mili gram chaandi (silver)
ya uski aaj 7/9/2015 ko us ki qeemat 20600 rs.ka koi bhi maal,saaman qarza ho to ada karne ke baad bachta ho
Ya thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarat aur gaire tijarat ka maal.... in chizon me se kisi bhi do chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandi ya 20600 rs.ko pahuch jaye tab bhi qurbani wajib hai.
Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai ahr 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi,(aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal bilkul na ho to 7.5 tole se kam ho e ki soorat me qurbani wajib nahi hai
MASAILE QURBANI
AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
mas'ala no 48
masaile qurbani
Sawal..
Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??
Jawab
Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne gahr per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi,
Agar hajji hajj ke dino ko milakar 15 din makka me theherne wala he to agar wo maaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare chahe apne ghar per karwale
(Hajj wali qurbani alag he, us ka masala alag he. )
(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran karte hen un per hajj ki qurbani to wajib he hi our agar wo maaldaar our muqeem hen to un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi.. )
Our agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi..
Note.. jadid zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdlifa ab makka ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din hojayenge to wo muqeem kehlayega our maldari ki qurbani wajib hogi..
(Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he..)
M Ibrahim alyani
mas'ala no 47
masaile qurbani
KIN JANWARON KI QURBANI NA JAIZ..?
SAWAL
Janwaron ke wo uyoob (khamiyan) kya hai jin se qurbani jaiz nahi hoti..??
AL JAWAB
★ Qurbani ke janwaron ke uyoob, niche diye huwe janwaron ki Qurbani jaiz nahin.
1. Jiska ek sing jad se ukhad gaya ho.(dimag tak asar hogaya ho)
2. Andhaa ho.(chahe 1 aankh se aandha ho)
3. Itna Kaanaa ho ke uska kaanaa pan malum hota ho.
4. Itna langda ho ke khud chal kar QurbanGaah tak na ja sake.
5. Itna bimaar ho ke uski bimari saaf tor par zaahir ho.
6. Jiska kaan, Aankh, Punchh wagerah aa'za 1/3 (teesre hisse) se ziyada kat gaya ho.
7. Pedaishi Daant na ho, ya aksar daant gir gaye ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.
8. Aisa paagal ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.
9. Khujli wala janwar jo(khujli ki wajah se) bahot dubla aur kamzor ho gaya ho.
10. Jiska Aanchal(than) sukh gaya ho ya cut gaya ho ya 1/3 se ziyada cut gaya ho.
11. Bakri, Ghenti-dumbi ke 1 Aanchal ka siraa na ho, chahe cut gaya ho ya kisi aur wajah se na ho.
12. Jis Gaay, Untni ke Aanchal ki 2 sirey khatm ho gayi ho.
13. Aisa janwar jiska khaana NaaPaki aur Gandki ho.
14. Jis gaay ya bhensh ki zuban puri ya 1/3 se ziyada cut gayi ho.
15. Itna kamzor ya dubla janwar jiska haddi ka gooda baaqi na raha ho.
16. Khunsa-hijdaa jis me Nar aur Maada dono ki sharmgah ho.
masaile qurbani m.rafat
khulasatul fatawa 4/320
fatawa raheemiyah 3/383
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
mas'ala no 45
masaile qurbani
Sawal..
Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ??
Jawab
Janwar ke gale me 4 rag hoti he..
1) hulqoom, jis se saans liya jata he..
2) mari, jis se khana andar jata he..
3 aur 4) do khun ki ragen
In 4 me se 3 rag kaat jaye to janwar halal ho jata he our sharee zabah ho jata he..
(Agar 3 na kati sirf 1,ya 2 kati to janwar halal nahi hoga.)
Mas'ala no 46
Sawal.
Gardan me kis jagah churi chalayi jaye ??
Jawab
Janwar ki gardan ke kisi bhi hisse me churi chala sakte hen..
Us me bich, kinare ki koi qed nahi he..
(Kitabul masail 2,245,246)
M ibrahim alyani
mas'ala no 43
masaile qurbani
Sawal..
Khassi janwar ki qurbani jaaiz he
Jawab..
Khassi janwar ki qurbani jaaiz, balke afzal our masnun he.. q ke us ka gosht zyada acha hota he..
Mas'ala no 44
Sawal ...
Gaabhan (hamal wale) janwar ki qurbani jaaiz he??
Jawab..
Agar wiladat ka waqt qarib he to makruh he warna makruh nahi..
(Kitabul masail 2/239)
M ibrahim alyani
mas'ala no 41
masaile qurbani
Sawal...
Qurbani ka janwar kharida us waqt wo sahih salim tha baad me aib peda hogaya to kya hukm he ??
Jawab
Agar kharidte waqt janwar sahih salim tha, baad me aib peda hogaya to maaldaar per us ki jagah dusra tandurust, be aib janwar qurbani karna zaruri he
Our agar faqeer he to wahi janwar ki qurbani karsakta he.. dusra lana us per zaruri nahi..
Mas'ala no 42
Sawal :
Janwar sahih tha lekin qurbani ke waqt uchal kud me us me koi aib peda hogaya to kya hukm he??
Jawab
Jo janwar pehle se sahih salim tha lekin qurbani ke liye koshish karte waqt uchal kud me aib hogaya to us ki qurbani me koi haraj nahi (maaldaar, garib sab ke liye)
(Kitabul masail 2/240)
ibrahim alyani
mas'ala no 39
masaile qurbani
Sawal..
Qurbani ka gosht gair muslimo ko de sakte hen ??
Jawab..
Qurbani ka gosht gair muslim ko bhi dena jaaiz he..
(Kitabul masail bahawala aalamgiri, aelaussunan, 2,249)
albatta muslim ko dena zya behtar he (fatawa rahimiya qadim 6,165)
Mas'ala no 40
Sawal..
qutbani ki khal qasai ko de sakte hen ??
Jawab..
Qurbani ke janwar ki khal khud istemal karsakte hen, kisi ko de bhi sakte hen, agar khud ne wo khal bech di to is ki qimat garibo me sadqa karna zaruri he,
Qasai ki ujrat me khal nahi de sakte.. us ki ujrat alag se de. Hadye ke tour per de sakte hen...
(Mustafad kitabul masail, 2,53)
M ibrahim alyani
mas'ala no 37 masaile qurbani
Sawal..
Sing tute janwar ki qurbani hogi ? ?
Jawab..
Jis janwar ka sing ka kuch hissa tut gaya he to qurbani durust he,
Lekin agar sing tutne ka asar dimag tak puhonch gaya ho yani dimag ki haddi me surakh hogaya to qurbani durust nahi hogi..
Mas'ala no 38
Sawal..
Pedaishi sing na ho aese janwar ki qurbani hogi,??
Jawab..
Jis janwar ke pedaishi sing na ho us ki qurbani durust he..
(Kitabul masail 2,236)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 35 masaile qurbani
Sawal..
Kuch aadmiyo ne milkar 1 bade janwar me hisse liye hen to gosht taqsim kese karenge???
Jawab..
Agar wo aapas me ajnabi hen our sab apna pura hissa chahte hen to sab ko tol kar barabar dena zaruri he, (andaze se kam zyada dena jaaiz nahi he..)
Our agar aapas ek dusre ko ijazat di he ya sab ghar wale hi hen to is ihtimam ki zarurat nahi he..
Yani sab ka alag alag barabar hissa karna zaruri nahi..
Mas'ala no 36
Sawal...
Bade janwar me sab hisse daar mutayyan hen to zabah karte waqt sab ka name lena zaruri he ??
Jawab..
Hisse daar mutayyan ho chuke to zabah ke waqt har ek name lena zaruri nahi, sirf zabah karne se sab ki qurbani hojayegi..
(Mustafad, kitabul masail 2,235)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 33 masaile qurbani
Sawal..
Chand aadmi milkar 1 hissa lekar Huzure akram sallahu alayhi wasallam ya kisi ko sawab puhoncha sakte hen???
Jawab..
G haa,,
Agar sawab puhonchane ki niyyat se chand aadmi 1 janwar me yaa janwar ke 1 hisse me sharik hokar qurbani ka sawab us ko puhoncha sakte hen..
Is liye ke is me wajib ki adaygi nahi balke sawab maqsad he..
(Mustafad kitabul masail 2/233)
Mas'ala no 34
Sawal.
Qurbani me waleema ya aqiqa ka hisaa le sakte hen??
Jawab..
G haa
Waleema sunnat he sawab he, us ka hissa rakh sakte hen isi tarah aqiqe ka bhi rakh sakte hen..
(Mustafad kitabul masail 2,233)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 31 masaile qurbani
Sawal..
Ek janwar me kitne hisse ho sakte hen.. ?
Jawab..
Bakra, bakri dumbe me 1 hi hissa ho sakta he (yani ek hi aadmi ki qurbani ek janwar me hogi 1 se zyada nahi)
Our bade janwar gaay bhens ount me 7 tak hisse daar ho sakte hen.. (yani zyada se zyada ek bade janwar me 7 aadmi ho sakte hen, us se zyada nahi,, haa kam ho sakte hen, jese 2,3 aadmi milkar pura bada janwar qurbani kare to jaaiz he)
Mas'ala no 32
Sawal..
Bade janwar me sharik log kis kis niyyat se sharik ho sakte hen.. ?
Jawab..
Bade janwar me sharik tamam hazraat ki niyyat sawab our ibadat ki honi chahiye.. (yani sab hisse daar kisi na kisi sawab ke kaam me hissa le rahe ho jese waleema aqiqa qurbani,, kisi ki niyyat sirf gosht ki na ho,, agar kisi ki sirf gosht ki niyyat ho yaa koi gosht ki dukan wala he our hisse se us ko sirf gosht chahiye our koi sawab maqsad nahi to kisi ki bhi qurbani nahi hogi..)
(Kitabul masail 2/233)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 29
masaile qurbani
Sawal..
Qurbani kin janwaro ki durust he.. ?
Jawab..
Qurbani in janwaro ki durust he..
1.. bakri jis me bakra dumba wagera shamil hen
2.. oont
3.. gaay jis me bhens katre shamil hen..
(Mustafad kitabul masail 2/231)
Mas'ala no 30
Sawal..
Fitne ke dar se gaay ki qurbani na karna kesa he??
Jawab..
gaay ki qurbani jaaiz he,, Lekin agar fitne ke andeshe ki wajah se na kijaye to jaaiz he
(Kitabul masail bifarq 2/231)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 27 masaile qurbani
Sawal..
Agar waqt per qurbani na karsaka to ab kya hukm he??
Jawab..
Agar waqt per qurbani na ki ja saki our janwar pehle se mawjud he to usi janwar ko zinda sadqa karna zaruri he,,, our agar janwar mawjud na ho to pure janwar ki qimat ka sadqa lazim he..
Mas'ala no 28
Sawal..
Qurbani waqt per na karsaka to baad me bade janwar me.hissa lekar qurbani karsakta he ??
Jawab..
Agar qurbani wajin thi our qurbani ke dino me nahi kiya to ab 1 bakre ki qimat garibo per sadqa karna zaruri he..
Yani ab bade janwat me hissa nahi le sakta balke pure janwar ki qimat deni zaruri hogi..
(Mustafad kitabul masail 2/229)
M Ibrahim Alyani
mas'ala no 25 masaile qurbani
Sawal... baap apne bacho our ghar walo ki taraf se har saal qurbani karta he to ijazat lena zaruri he??
Jawab...
Agar baap ka mamul he ke wo har saal apne biwi bacho ki taraf se qurbani karta he to sab ki taraf se qurbani durust he.. ghar walo ne ijazat di ho yaa na di ho..
(Kitabul masail 227)
Mas'ala no 26
Sawal...
Huzure akram sallahu alayhi wasallam ki taraf se qurbani karsakte hen???
Jawab..
Koi apni taraf se Huzure akram sallahu alayhi wasallam ke liye qurbani kare to koi haraj nahi balke saadat ke hasil hone ka zarya he..
(Kitabul. Masail 229)
mas'ala no 23 masaile qurbani
Sawal..
Kisi ka. Janwar gum hogaya tha us ne dusra kharida phir wo pehle wala wapas mil gaya to kya hukm he
Jawab..
is ki kai surte hen
1.. agar wo aadmi maaldaar he yani us per qurbani wajib he our us ne dusra kharida tha phir pehla mil gaya to wo dono me se jo bhi chahe zabah karsakta he..
Our dusre ko apne kaam me laa sakta he bech bhi sakta he..
2.. agar wo gatib he qurbani wajib nahi thi our us ne dusra janwar nahi kharida to sirf isi janwar ki qurbani karle..
3.. our agar garib ne dusra janwar kharid liya (jo us per zaruri nahi tha) phir pehle bhi mil gaya to ab is garib ko dono janwar qurbani karna zaruri honge...
Mas'ala no 24
Sawal..
Chhote nabalig bache our pagal agar maalddar ho to un per qurbani wajib he
Jawab...
Nabalig bache our pagal per qurbani wajib nahi chahe maaldaar hon.. Our un ke awliya yani dekhbhal karne walo per bhi in ki qurbani zaruri nahi..
Lekin agar karden to behtar he..
(Mustafad, kitabul masail 2/226)
M Ibrahim Alyani
SAWAL
Qurbani vajib hone ke liye hajate asliyyah se zaid saamaan ko hisab me shumar karna hai,
to hajate asliyyah se zaid saman kon kon se hai?
JAWAB
1. tin jodi se zaid kapde
2. do jodi se zaid jute, chappal
3. showcase ke bartan, showpic
4. TV,vcr
5. istiamal ke sone, chaandi ke zewar
Ahsanul fatawa 3/472 se makhooz
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
masala no 21
masaile qurbani
Sawal..
Koi garib qurbani ki niyyat se janwar kharidle to kya us per qurbani wajib hojati he
Jawab..
G haa.
Garib agar qurbani ki niyyat se janwar kharide to us per qurbani wajib jojati he..
Our usi mutayyan janwar ki qurbani lazim hoti he..
Masala no 22
Sawal...
Qurbani ka janwar kharidne ke baad badal sakte hen yaa nahi
Jawab ..
Agar wo maaldaar he yani us per qurbani wajib thi to wo apna janwar badal sakta he..
Q ke maaldaar ke mutayyan karne se janwar mutayyan nahi hota.
Is liye wo badal sakta he..
Our agar wo garib he.. yani us per qurbani wajib nahi thi to us ke kharidne se wo janwar mutayhan hogaya
Ab us ko badalne ki ijazat nahi he...
(Mustafad.. kitabul masail 2/224,226)
M Ibrahim alyani
mas'ala no 19
masaile qurbani
Sawal...
Maaldaar ne janwar kharida wo margaya to kya hukm he??
Jawab..
Maaldaar ne janwar kharida wo mar gaya to us per dusra janwar kharidna our qurbani karna zaruri he..
Mas'ala no 20
Sawal..
Garib ne janwar kharida wo. MAr gaya to kya hukm he???
Jawab..
Garib ne janwar liya tha wo margaya to dusra qurbani karna zaruri nahi he..
(Kitabul masail.. 2/222,225)
M ibrahim alyani
mas'ala no 17
masaile qurbani
Sawal..
Maaldaar aadmi ne qurbani ke liye janwar kharida our wo qurbani se pehle gum hogaya to kya hikm he???
Jawab :
Maaldaar ne qurbani ke liye janwar kharida tha wo gum hogaya to us ko dusra janwar qurbani karna zaruri he..
Mas'ala no 18
Sawal..
Agar garib ne qurbani ke liye janwar kharida phir wo gum hogaya to kya hukm he??
Jawab :
Garib ne qurbani ka janwar kharida phir wo gum hogaya to us per dusra janwar qurbani karna zaruri nahi...
Us ki qurbani khatam hogayi
Ab dusri karna zaruri nahi..
(Kitabul masail 2/222,225 bahwala badaye ussanaye)
M ibrahim alyani
SAWAL
Haj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?
JAWAB
Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai
To is nemate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye aur apne andar mahsus kijiye ke
Allah taala ne apne muqaddas ghar aur
Apne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki hazri ke movqe ke baat aap ke dil me daali
Aur uske asbaab bhi aapko muhaiya farma diye
Ab is nemate uzma ka shukriya ye hai ke
Apne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husul ke liye apne aapko
Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye
Isliye ke bada hi bad nasib hai wo shakhs jisko
Uska movla behtareen safar nasib kare
Aur wo apne aapko waha ki hazri ke aadab aur tareeqa seekhne ki aur banane sanwarne ki fikr na kare
Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa sanjhi ke sath waha ja pahonche
Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm seekh kar aur apne gunahon se sachi touba kar ke
Aur logo ke huquq baqi ho usko adaa kar ke ya muafi kara kar pak saaf ho kar
Allah taala ke aali darbaar me pahonche
Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai camp-jod bhi hote hai
Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai
Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje aur khud bhi pabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi khareedkar parhna shurooa kar de
Aur aap sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe targeeb dekar haj ke arkan o aehkam sikhne ki, ho sakta hai aap ki mahenat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye
*makhuz hajj sunnat ke mutabiq
Allah taala sabko har amal seekh kar fikro k sath karen ki toufiq ataa farmaye.
MAS'ALA NO 15
MASAILE QURBNAI
SAWAL
Ek aadmi maaldaar tha lekin qurbani ke din aane se pehle garib hogaya to kya us per qurbani wajib he
JAWAB
Qurbani ke din me garib hogaya yani sahibe nisab nahi raha to is per qurbani wajib nahi.
MAS'ALA NO 16
SAWAL
Ek shakh garib tha lekin qurbani ki dino me maaldaar hogaya to us per qurbani wajib he??
JAWAB
Jo pehle faqir tha,
Qurbani ki dino me ya qurbani ke tisre din aakhri waqt me bhi maaldaar hogaya to us per qurbani wajib he..
(Mustafad kitabul masail 2/222)
M ibrahim alyani +919173964404
MAS'ALA NO 13
MASAILE QURBANI
SAWAL
Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani kara sakte hen ??
JAWAB
Sasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani karane me koi haraj nahi he. Lekin maali ibadat me jitna zyada rupya kharch kiya jata he sawab utna hi zyada milta he.
MAS'LA NO 14
SAWAL
Dikhane ke liye mehenge jaanwar kharidna kesa he???
JAWAB
Baaz log dikhane ke liye mehenge janwar kharidte hen our us ka charcha karte hen to is ke sath sawab ki ummid rakhna dhoka he
Allah ke yahan wahi amal maqbul he jo khalis allah ke liye kiya jaye..
(Mustafad kitabul masail 2/219)
M ibrahim alyani +919173964404
MASALA NO 11
MASAILE QURBANI
SAWAL
Agar kisi ne apni qurbani ka intizam dusre sheher me rakha he to kahan ki eid ka aetebar hoga???
JAWAB
Agar dusre sheher me qurbani ka intizam kiya he to jahan janwar he usi sheher ki eid ke baad qurbani sahih hogi
Chahe us malik ke yaha eid na hui ho.
MAS'ALA NO 12
SAWAL
Kisi ne apna janwar gao me bheja jahan eid ki namaz nahi hoti to kab qurbani karni hogi??
JAWAB
Kisi sheher ke aadmi ne apna janwar dihat me rakha ho to eid ke din subah sadiq se hi qurbani durust he
Eid ki namaz ka intizar nahi kiya jayega..
(Mustafad kitabul masail 2/217,218)
M ibrahim alyani +919173964404
MAS'LA NO 9
MASAILE QURBANI
SAWAL
Eid gah me namaz hogayi lekin sheher ki masjido me namaz baqi he to kya qurbani kar sakte hen ??
JAWAB :
Agar eid gah me eid ki namaz hogayi our dusri masjido me baqi he to bhi qurbani durust he
Qurbani ho jayegi.
MAS'ALA NO 10
SAWAL
Sheher me ek jagah eid ki namaz hone se dusri jagah walo ko qurbani sahih he??
JAWAB
Agar sheher me kisi bhi jagah eid ki namaz hogayi to pure sheher walo ke liye qurbani karna durust he...
(Mustafad, Kitabul masail 2/216)
M ibrahim alyani +9191739664404
MASA'LA NO 7
SAWAL..
Qurbani ka waqt kab se shuru hota he ? ?
Jawab..
Qurbani ka asl waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru hokar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta he
Albatta jahan eid ki namaz hoti he (jese sheher ,bada gao) waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahi)
our jaha eid ki namaz na hoti ho jese dihat,chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih he..
Masa'la no 8
Sawal..
Agar eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani kare to hogi ya nahi???
Jawab..
Eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani ki to sahih hojayegi
lekin aesa karna acha nahi he
Behtar ye he ke khutbe ke baad hi qurbani ki jaye..
(Kitabul masail bifaeqin yasir 2/215)
M ibrahim alyani +919173964404
Masala no 5
Sawal: .. agar koi qurbani na kare us ke badle qimat sadqa karde to durust he? Ya qurbani hi zaruri he???
Jawab : (qurbani wakib ho to) qurbani ke dino me qurbani hi zaruri he qimat kafi nahi..
Haa agar kisi wajah se un dino me qurbani nahi kar paya our din guzar gaye to phir qimat ka sadqa zaruri he ..
(Fatawa mahmudiya jadid bi farq 17/310)
Masala no 6
Sawal ..
Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki ada hojayegi yaa nahi??
Jawab ..
Jis ke zimme qurbani wajib he wo apni taraf se qurbani kare..
Ye samajhna ke ek bakra qurbani kardene se pure ghar ka wajib ada hojayega sahih nahi..!!!
(Fatawa mahmudiya bi farq 17/312)
M ibrahim alyani +9191739664404
Masala no 3
Sawal..
Qurbani kis per wajib he??
Jawab...
Qurbani us per wajib he jis me ye chize ho ??
1.. musalman ho
2. Aqal wala ho ,, pagal per wajib nahi
3.. balig ho, , bache per wajib nahi
4.. muqeem ho,,, musafir per wahib nahi (yani jo shakh qurbani ke tino din me safar me ho us per qurbani wajib nahi)
5.. us ke paas 612.35 gram chandi ya us ke barabar saman ho
6.. wo saman zarurat se zaaid ho
7.. wo maal chahe sona ho chandi ho yaa gharelu saman ho ya zarurat se zaaid ke makanat jaaidad wagera ho
8.. is me saal guzarna shart nahiQurbani ki tino din me kabhi bhi itna maal aayega to qurbani wajib hojayegi..
(Masaile qurbai 117 bi farq)
Masala no 4
Sawal..
Qurbani ke kon konse din hen??
Jawab ..
Qurbani ke 3 din he
10 /11/12 zilhajj ( 12 ki sham tak)
Is se pehle yaa baad me qurbani motabar nahi he..
Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wagera
M ibrahim alyani
+9191739664404
Masala no 1
Sawal..
Qurbani karne ki kya fazilat he??
Jawab
Hazrat aaisha r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya ke zil hajja ki 10 tarikh yani eidul azha ke din insan ka koi amal allah taala ko qurbani se zyada mahbub nahi he
Our qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo our baalo our khuro ke sath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle allah taala ki Riza our maqbuliyat ke maqam per puhonch jata he
Pas ae khuda ke bando dil ki puri khushi se qurbaniyan kiya karo
(Tirmizi sharif bahawala masaile qurbani 32 bifarqi yasir)
masala no 2
Sawal..
Qurbani na krne per kya waeed he???
Jawab..
Hazrat abu huraira r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya
Jis ke paas gunjaish ho (us per qurbani wajib ho) our us ke bawjud wo qurbani na kare wo hamari eidgah ke qarib bhi na aaye (bayhaqi)
Masaile qurbani 31
(Maulana rafat qasmi)
M ibrahim alyani
+919173964404
SAWAL
1. pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..?
2. haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?
JAWAB
1. awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai, lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai,
[aap ke masail 4/72]
2. agar kisi ke paas itna maal ho ke, wo haj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aise shakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zrooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye to haj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.
[fatawa. darul uloom-4/518]
[ fatawa mahmudiyah3/178]
SAWAL
1. Qarz-daar ka haj ke liye jane ka kya hukm hai..?
Aur
2. Qarz-daar ka nafli haj ke liye jane ka kya hukm hai..?
Aur
3. Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..?
AL JAWAB
1. Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur wo baa-khushi haj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur wo ijazat de den to wo shakhs haj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko takeed kar den ke agar meri mout ho jaye aur mere zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunzaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf kara dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che fariza adaa ho jayega,
Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunzaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,
intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baqi rakhkar wahan lambi chodi khareedee karne ki ijazar qarz khaah ne nahi dee hoti hai.us ki ijazat alag len)
Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai.
2. Jo shakhs farz qarz adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar ye hai ke qarza adaa karey,(is bare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil gareebee ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.
[fatawa raheemiyah 8/282,
ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191]
3. Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahi, aise qarzon ki wajah se haj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahi kiya jayega.
[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.]
PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ KARE?
SAWAL
Mera makan kiraye ka hai aur mene apna zati makan banane ke liye paise jamaa kiye hai to in paison ki wajha se mujh par haj farz hai pehle apna makan bana lun fir haj jab paisa jama ho to haj karun aesa karne ka kya hukm hai?
AL JAWAB
Jab aap ke paas haj ke muwafiq paisa mavjood hai to haj karna farz aur muqaddam (use pehle ada karna zarooree) hai.us raqam ko makan me kharc karna jaiz nahi.
fatawa darul uloom dewband se makhooz.
SAWAL
(A).Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?
(B).mahram kise kehte hai?
JAWAB
[A]
Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi.
[ma’riful quran-2/122 se maakhuz]
[B]
Mahram se murad wo shakhs hai jike saath nikaah haram hai, chahe nasab ki wajah se, ya susrali ya dudh ke rishte ki wajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, ye sab mahram hai,
Niz mahram ka mu’tamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitne aur shahvat ka khatra na hona bhi shart hai.
[fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj]
Awrat ke liye khalu [maasa], fufaa, apne shohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,Dewar,jethi, mahram nahi hai.
[fatawa rahimiyah-8/307]
[aap ke masail 4/84 se maakhuz]
SAWAL
istita'at-taaqat ke bavjood haj se pehle umra karna kaisa hai?
AL JAWAB
Umra haj ka badal nahi he, jis shakhs par haj farz ho uske liye zarooree he k wo haj kare,
jis shakhs ko haj ke dino me baitullah tak pahunchne aur haj tak waha rehne ki taqat (kharch,intizam,ijazat) ho us per haj farz ho jata he, isliye ese shakhs ko Jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, haj par jana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood haj na karna bahut galat baat he.
Aapke Masail aur unka Hal,
Jild- 4, Safa no 38
Khilafe qanoon hajj karna
Sawal
Haj ke darkhast form me is bat ka bhi iqrara hota hai ke 5 sal ke andar haj na kiya ho. Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kiya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?
Jawab
Haj azeem ibadat hai jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai isliye aesa hargiz na kiya jaye.
*masaile hajjo umrah safa 45
*ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171
SAWAL
Mera makan kiraye ka hai aur mene apna zati makan banane ke liye paise jamaa kiye hai to in paison ki wajha se mujh par haj farz hai pehle apna makan bana lun fir haj jab paisa jama ho to haj karun aesa karne ka kya hukm hai?
AL JAWAB
Jab aap ke paas haj ke muwafiq paisa mavjood hai to haj karna farz aur muqaddam (use pehle ada karna zarooree) hai. us raqam ko makan me kharch karna jaiz nahi.
*fatawa darul uloom dewband se makhooz